English me Interview kaise de? Jane sirf 5 aasan steps me!

english me interview kaise de

“INTERVIEW” ye shabd sunte hi beshak hum sab ki hawayiya ud jati hai kyuki humko pata hota hai ki jo hamara interview lene vala vyakti hai vo humko judge karne vala hai. Hamari har ek cheez par gaur karne vala hai. Un saari cheezo me ek or bhi kayi zada important cheez hai hamari English. Aajkal to har jagah English ka bada hi use hai. Isliye humko pehle se hi English me interview kaise de? Is question ka hal nikalna chahiye.

To aayiye aaj hum isi badi hi zaruri cheez par baat karte hai taaki aapko hum kuch english job interview tips and tricks de paye, jisse aap ye jaan paye ki interview kaise de in English- 

English me interview kaise de? English job interview tips and tricks

1. English ke alawa baki sare factors ko perfect rakhe!

English me interview kaise de? Other factors affecting interview

So, ab aap soch rahe honge ki ye baki sare factors se inka kya matlab hai? Humlog jadatar ye sochte-sochte ki English me interview kaise de, hum ye bhul jate hai ki or bhi kayi sari cheeze hai jispe humko dhyan dena hai.

Firstly Aayiye kuch examples dekhe-

A. CV ya resume basically ek record hota hai jisme hamare bare me sare important information mention hoti hai. Jaise ki-

  • Ki hamare education qualification kya hai,
  • Hamare pas koi experience hai ya nahi
  • Hamare interests kya hai
  • Our contact details etc
    Dhyan rakhe ki ye saare cheeze to the point ho.

Iske bare me or janane ke liye yaha click kare!

B. Attire – “First impression is the last impression” (pehli chaap aakhiri dhaarna hai) is famous saying ke bare me to aapne bilkul hi suna hoga! Jab hum interview dene jate hai to interviewer ki nazar sabse pehle hamare looks ki taraf jati hai. Isliye hamara decently and formally dressed hona bada hi zaruri hai.

C. Grooming – So, ye point bhi iske just upar diye gaye point se mel khata hua hai. Jaise ki humne baat kari ki interviewer ki nazar sabse pehle looks par jati hai, ab looks me sirf attire to nahi hota hai na? Balki hamara hairstyle, cleanliness vagerah bhi to usi me included hai, isliye ispe dhyan de.

D. Etiquettes – Har cheez ke apne hi taur tareeke hote hai, so bas usi tarah ek interview ke bhi apne hi etiquettes hote hai. Dhayn rahe ki aap un etiquettes ke bare me interview se pehle jaan le

So, ayiye dekhe Iske kuch examples-

  • Jab tak interviewer aapko baithne ke liye na bola aapko khade rehna chahiye.
  • Apne documents ya files ko hmesha left hand me pakde taki aapka right hand hamesha hand shake ke liye sweat free rahe.

2. English me Greeting and introduction kaise de?

Two people shaking hands

English me Interview dene ke samay hone vali conversation ka sabse jada easy part hota hai unhe greet karna or apna introduction dena (i.e. to talk about yourself in English interview)

Halaki log apna introduction dene me hi sabse jada darte hai!

To is point pe hum yahi baat karenge ki how to talk about yourself in English interview

Aapko ye baat dhyan me rakhni hai ki introduction hi to aapka ek aesa question hai jo ki fixed hai. Aapko pata hai ki ye to aapse pucha hi jayega. Baki sawalo ki tarah ye uncertain nahi hai.

So, iska fayeda aap kaise utha sakte hai? Apna introduction pehle se hi English me learn kar ke jaye.

Ab learn karne ka matlab ye nahi hai ki aap rattafication ka use kare. Learn karne ka matlab ye hai ki aap apne bare me jo sochte hai usse related english me ache se padh le so that aap apna answer dete samay ruke nahi.

Yaha hai kuch common introduction ke english me exmples, jisse aap or ache se jan payenge ki how to talk about yourself in English interview-

Example 1: Good morning, Thank you so much for giving me the opportunity to introduce myself. My name is Sushmita, I am from Karnataka. Coming to my qualification, I have completed my graduation from XYZ University where I secured 77% in BCA degree. I live with my Father, mother, brother & my Aunt. My father is in the textile business. So, now coming to my hobby, watching TV, learning new things, etc. If we talk about my goals, I would like to become successful in my profession. This is all about me. Thank you Sir/Madam.

Example 2: Hello, Good morning Sir. My name is Amish Singh. I have completed my graduation in 2012 with an aggregate 60%. I live in a nuclear family. My father is working as a bank manager and my mother is a homemaker. My hobbies are playing cricket and surfing the internet. Basically, I am a Hard working person and I have the ability to do work effectively and efficiently even under pressure. That’s all about myself. Thank you.

3. Pehle se interview me hone vali conversation ko English me padh ke jaye

English me interview kasie de ye janane ke liye Candidate is reading an important document

Ye upar wale hi point ka ek extention hai. Aajkal aapko har jagah, chahe vo youtube ho, websites ho ya koi mobile application hi kyu na ho. Aapko bade hi aasani se kuch aese questions mil jayenge jo ki bahut commonly puche jaate hai jo aapki madad kar sakte hai ye janane me ki interview kaise de in English.

So, ab halaki ye questions “Tell me about yourself” ke jitne 100% puche jane vale to nahi hote lekin in questions ke puche jane ki probability kafi high hoti hai. 

Aap aasani se interview attend karne se pehle in Most common interview questions ki madad se English me interview dene ki practice kar sakte hai.

Interview me puche jane vale kuch common questions and unke english me answer-

Q1. What are your strengths? (Aapki khasiyat kya hai?)

A1. Dedication (Nishtha), Hardwork (Kathor parishram), Enthusiasm (utsukta), Creativity (Rachnatmakta), Trustworthiness (vishwas) jaise saare examples aapki strength me aa sakte hai. Upar di gayi strengths ke alawa bhi aapki kuch or strengths ho sakti hai. Pehle aap apni strength jane uske baad uska English me matlab khoje. 

For example: Dedication, Hardwork and ability to make decisions in complex situations are some of my strengths. 

Q2. What are your weaknesses? (Aapki kamzoriya kya hai?)

A2. Jaise humne strengths ke case me baat kari hai, vaise hi weaknesses me bhi aapko pehle apni kamzoriyo ke bare me janana hoga jisse aap fir uska English me matlab khoj sake. Weakness jaise ki – Being too honest (Jada sach bolna), Less technological know how (kam takneeki jankaari), too sensitive (jada sanvedanasheel) etc.

For example- One of the down points can be the perfectionist nature that I have. I also tend to ignore my health over work.

Q3. What are your hobbies and interests? (Aapki ruchi kin-kin cheezo me hai?)

A3. Aap yaha un cheezo ke baare me baat kar sakte hai jinme aapko ruchi hai. Aesa jaruri hai hai ki vo kaam se related hi ho, aap koi bhi interest ke bare me bata sakte hai. Jaise ki – Listening to music (gaane sunana), Painting, Playing Tennis, Playing video games, reading etc.

For example – One of my interests is nature Photography, it helps me to stay creative and connect to nature. It soothes my mind and I really enjoy it. Furthermore, I also enjoy listening to music and playing tennis which again helps me to stay fit and focused.

Q4. Why should we hire you? (Hum aapko naukri kyu de?)

A4. Is sawal ka jawab aapko kaafi soch samajh ke dena chahiye. Yaha aap apne andar present un khubiyo ke bare me bata sakte hai jo ki ye prove kare ko aap apply ki hui position ke liye ek acche candidate hai. Jaise ki agar aapne manager ki position ke liye apply kiya hai to aap yaha apne experience ke bare me, koi aese situation ke bare me jisse ye dikhta ho ki aap ache manager hai etc. Ke bare me baat kar sakte hai. 

For example I think my skills match with the requirements of the job position that I have applied for. I also have work experience of 5 years and hence I know how to complete the work on time and with efficiency.

Q5. Where do you see yourself in 5 years? (Aap agle 5 saal me apne aap ko kaha dekhte hai, aapke next 5 years ke kya plans hai?)

A5. Is question se interviewer ye janane ki koshish karta hai ki aapke mind me cheezo ko leke kitni clarity hai, aapka individual vission kya hai, aap kitne ambitious ho etc. Pehle ye sochle ki aap kya karna chahte hai upcoming year me fir uske hisaab se english sentences form kare. 

For example- Well in 5 years, I’d like to be seen as someone with deep expertise in the textile sector, and I know that’s something that I’ll have an opportunity to do here. I’m also really excited to take on more managerial responsibilities in the next few years and potentially even take the lead on some projects. 

In sare upar diye gaye examples ko study karke aap ye or jada ache se samajh sakte hai ki English me interview kaise de or kaise interview questions ke liye prepare kare.

4. Interview dene se pehle kafi jada English TV shows ya movies dekhe

TV screen showing numbers of platforms to watch shows and movies

English me interview kaise de? Is question ka answer sirf mechanical nahi hai. Aapko ye bhi samajhna hoga ki insaan ka mind kaise work karta hai, iska ek example hai-

So, Human psychology ke hisaab se hum jadatar jo cheez dekhte hai use jada jaldi apna lete hai.

For example, kya kabhi aapne notice kiya hai ki koi bollywood movie dekhne ke baad aap apne aapko uske characters se kahi na kahi compare karne lagte hai or kabhi-kabhi to unki tarah react karna bhi shuru kar dete hai.

English movies ya TV shows dekhne ke fayede ye hai ki aap English bolne ki accent ko ache se pakad sakenge, so isse aapki English me fluency badhegi, kuch naye words bhi vocabulary me judenge or aap English bolte samay right expressions ka bhi use kar payenge jisse aapko ye janane me madad milegi ki interview kaise de in english.

In sabse aap English me interview dene ki preparation bade hi aasani se kar sakte hai!

English movies and TV shows dekhne ke fayede or detail me jananne ke liye yaha click kare!

5. Youtube par dusro ke English me interview dekhe

Screenshot of a youtube video showing job interview conversation

Jaise ki humne upar baat kari ki koi bhi cheez read karne se jada usko dekhne me samajh aati hai. Isi vajah se ye English job interview tips and tricks ka kafi important point hai.

So, Ab usi principle ko follow karte hue hum aage badhenge interviews ke sath, dusre logo ke interviews dekhne se hamko idea milta hai ki interviews exactly kaise hote hai, usme kis tareeke ke questions hote hai, or candidates un questions ko kaise answer karte hai.

Aap ye bhi jaan sakenge ki kya pattern hota hai interview ka. Furthermore, aap Is cheez ko bhi notice kare ki jab koi candidate beech me koi answer nahi kar pata hai ya koi galti kr deta hai to use kaise cover up karta hai.

Jis tarah alag alag interviews hote hai usi tarah aapko kayi saare videos mil jayenge jise aap study kar sakte hai or or jaan sakte hai ki english me interview kaise de

To ye hai aapke 5 bahut hi important English job interview tips and tricks jo ki aap istemaal kar sakte hai apna English me interview crack karne ke liye. But Dhyan rakhe ki jitne resources yaha mention hai un sare resources ko jarur padhe taki aapko or jada in depth knowledge mil sake. 

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here