Airport Ground Staff Work In Hindi Ki Puri Jaankari

airport ground staff work in hindi

Agar aapne 12th standard pass karliya hain aur aapko ek acha rewarding career banana hain aviation sector mein, toh aapko ye article se puri help hogi. Badhte aeroplanes aur passangers ke saath qualified aur efficient Airport Ground Staff ki demand bhi din ba din badh rahi hain. Airport Ground Staff work hota hain passangers ka safar smooth rahe aur sabse bada trait jo ismein help karta hain vo hota hain humble aur kind rehna. Inka work hota hain customers ya passangers ko treat karna pehle,baad mein aur flights ke beech mein. Airport Ground staff work in Hindi ki puri jaankari hum aapke liye leke aaye hain iss blog ke madhyan se,toh isse pura padhein.

Airport Ground Staff ka work hota hain overall management mein aur iske saath passangers ke luggage ki puri dhek rekh aur carrier se cargo tak rakhna ki zimmidaari bhi Ground Staff nibhata hain. Ek passanger ki safety , unke comfort ka pura dhyaan uss moment se jis se plane land hota hain pura Airport Ground Staff nibhata hain aur air traffic surviellance mein bhi role nibhane ke.

Airport Ground Staff Meaning In Hindi

Airport Ground Staff Kaise Bane

Eligibility

Airport Ground Staff Work

Course

Airport Ground Staff career opportunities

Salary

Airport Ground Staff career se jude sawal javab


Airport mein kaafi staff ki zarurat hoti hain aur kisi bhi staff ke absent hone pe kaam ruk jata hain. Plane ki udaan bharne se pehle kaafi checking hoti hain aur iske liye bahut human resource chahiye hota hain. Airport Ground Staff ka career aur future bahut bright hain India aur abroad mein.

Airport management sirf pilots aur cabin crew se related nahi hota hain. Uske piche kaafi professional work involved hota hain jaise security, cargo handling passanger handling, customer service,etc aur ye sab professional services AIRPORT GROUND STAFF ki category ke andar aati hain. In short, abhi bahut demand hain skilled aur efficient Airport Ground Staff ki aur job opportunites bhi kaafi hain.

Airport Ground Staff Meaning In Hindi

Ground staff ek aisa person hota hain jo airlines isliye hire karti hain taaki vo airport pe kaam kare na ki aircraft ke andar. Airport Ground Staff ek professional career option hain jismein aapko passangers ka dhyaan rakhna hota hain uss samay se jis se plane ground pe land hota hain. Airport Ground Staff work bahut hi diverse aur flexible hota hain airports pe aur vo security aur management mein bhi dhyaan dete hain.

Airport Ground Staff Kaise Bane

Airport Ground Staff banane ke liye kuch eligibility criteria hota hain, jo niche bataya hua hain

Eligibility– 10+2 pass ya graduate kisi recognised board se. Chahe Science ya Arts ya Commerce koi si bhi field se pass hoke minimum number ke saath Airport Ground Staff ban sakte hain.

Age limit– 18-27 years tak.

Languages Jo aani chahiye :- English aur Hindi.

Minimum marks– Institute to institute vary karta hain aur 45- 50% ho toh achi baat hain kam se kam.

Ground Staff job mein height aur weight ka koi importance nahi hota hain.

  • Candidate chahe male ya female ki thodi pleasing personality honi chahiye.
  • Candidates jo koi dusri language jaantein hain English Hindi ke alava unhe thoda zyada benefit rehta hain.
  • Candidates jinhe thoda experience hota hain iss field mein chahe technical ya customer service mein vo zyada preferred hote hain.
  • Dono male aur female ye job ke liye apply kar sakte hain.

Airport Ground Staff Work

  1. Candidate ache se baat karne layak hona chahiye aur sun ne mein acha ho aur uska likhne aur bolne ka tarika bhi acha hona chahiye.
  • Planning aur organise karna aana chahiye kaam ko pressure ke andar. Deadline mein kaam karne ki aadat honi chahiye unhe.
  • Candidate ko problem solve karni aani chahiye aur multiple kaam karna bhi jaise apne assignments aur pura kaam ache se manage hona chahiye.
  • Team work bahut zaruri hota hain aur aapas mein team mein baat shit achi honi chahiye.

Ground Staff ki responsibility aur roles 2 hiso mein bate ve hote hain-

Commercial Role :Ek hogya commercial role jismein direct interaction hota hain customers ke saath aur unki koi bhi query ko solve karna ek Ground Staff member ki duty hoti hain.Kuch commercial roles hain-

  1. Airline passanger ki safety aur comfort ka dhyaan rakhna.
  2. Passangers ko up-to-date information dena flight ki.
  3. Aircraft ko stock kardena refreshments se jo passangers ko chahiye hongi flight ke dauraan. Purane stock ko ensure karna vo replace hojaye fresh supply ke saath ka work bhi ek Airport Ground Staff member ka hota hain.
  4. Aur ek high level ki customer service provide karna jis se  vo ussi airline mein dubara travel kare aur life long customers bane rahe.
  5. Passangers ko utarne mein aur flight mein chadne mein help karne ki puri duty Ground Staff ki hoti hain.

 6. Ground Staff responsible hote hain passanger’s ki stairs dhang se lagane aur hatane mein aur unn passangers ko bhi help karne mein jo wheelchir pe hote hain.

7. Aircraft ki refueling ki responsibility bhi Ground Staff ki hoti hain aur agar ice ya snow hoti hain airplane ke surface pe toh usse bhi hatana hota hain. Ground Staff  passenger’s check-in counters aur arrival aur departure gate pe bhi active rehti hain aur dhek rekh karti hain.

8. Ground staff dhyaan rakhta hain ramp pe ya aas paas koi garbage na pada ho aur koi aisa experience na face karna pade passangers ko jo unhe pasand na aaye.

9.Airport Ground Staff work hota hain passangers se baat karke unhe batana flight delay kyun hain, aur koi bhi information jo unhe chahiye boarding ke time. 

Technical Role:

  1. Coordinate karna staff ko jab flight ki landing ka time ho.
  2. Zaruri documents handover karna pilot ko jab flight ke time ho.
  3. Weather condition check karna , fuel check karna aur zaruri information ka dhyaan rakhne ka pura kaam ek Ground Staff nibhata hain.
  4. Airport Ground Staff ka management take-off slots mein kaam hota hain aur air traffic bhi control karte hain. Jismein unhe flights ki management dhekni hoti hain jo hava mein hain ya land karne vaali hain.

Ticketing, Baggage claims, Passanger handling,cargo loading,cargo unloading,security processes aur inter department coordination aur jobs hoti hain jo ek Airport Staff member nibhata hain.

Course

Diploma in Airport Ground Staff

Diploma in Airport Ground Staff ek job-orineted diploma course hota hain.Iss course ki duartion zyada nahi hoti hain. Job seekers ke liye ye kaafi acha course maana jata hain.

Duration- 6-12 months

Admission

Admission har institute ka alag hisaab se hota hain aur kaafi institute meit based admission lete hai, kaafi entrance test organise karvate hain.

Ye training course aur bhi naamo se jana jata hain jaise-  Diploma in Ground Staff Training, Diploma in Airport Ground Staff Training, Diploma in Ground Staff handling etc.Courses ke naam different hote hain par andar ka content aur curriculum same hote hain.Iss field ke aur bhi kahi courses hain jo aap karsakte hain Airport Ground Staff Training Certificate Course,Ground Staff Training Course, IATA Training Courses and Certifications, Diploma in Airport Ground Staff Training Course, Airport Handling Ground Duty Course

Fees

Course fees jo hoti hain vo institute pe depend karti hain. Approx jo institutes ki diploma fees hoti hain vo hain Rs.40,000-1,00,000 

Kuch institute aur colleges jo ye course karvate hain unka naam niche di

  • Indira Gandhi Institute of Aeronautics, Chandigarh, Delhi, Kotdwar, Rohtak
  • PTC Aviation Academy, Chennai, Bengaluru
  • Remo International College, Chennai
  • Kaplon Overseas, Vadodara
  • Master Aviation Academy, Vijayawada
  • Patrick Academy, Bengaluru
  • Fledge Institute of Aviation & Hospitality, Bengaluru
  • S.C. Moitra Air Technical Training Institute, Kolkata
  • Frankfinn Institute of Air Hostess Training Institute

Airport Ground Staff career opportunities

Airport Ground Staff professionals  ke paas diverse job opportunities hoti hain jismein se vo choose kar sakte hain. Job options sirf private hi nahi government sectors mein bhi hote hain.

Airport Ground Staff ki Jobs aap ya toh official website pe jaake dhek sakte hain agar koi vacancy nikle varna alag alag job portals pe bhi dhek sakte hain. Niche humne kuch job portals ke link diye hain jispe click karke aapko job ke baare mein pata chal jaega.

Monster.com.

Quikr Job

Naukri

Times Job

Airlines ki websites pe jaake bhi aap Jobs ke liye dhek sakte hain jaise

Indigo Spicejet Vistara AirIndia GoAir, etc.

Training kaafi airline companies hire karne ke baad bhi deti hain aur aapko aapke kaam ke aur airport ke rules ke baare mein inform aur educate karti hain.

Job Selection Procedure

1. Group discussion: Selection procedure jo start hota hain vo hota hain GD Round se jaha groups banake koi topic dija jata hain jiske upar charcha hoti hain.

2. Personal Interview: Jo candidates select hojate hain group dicussion round mein unhe aage jake personal interview dena hota hain.Personal interview round mein candidate se questions puche jaatein hain aur purana experience aur background ki jankaari li jaati hain. Iss round mein aapka behaviour check karte hain aur aap confident rahe toh bahut achi baat hain kyunki iss se ek acha impression padta hain. 

3. HR round: Aakhri round HR Round hota hain jo airlines ke HR conduct karte hain.In this round. HR aapse question puchenge kuch aur uske hisaab se aapka communication skills aur personality judge karenge. Udharan ke taur pe jo question puche jaatein hain iss round mein vo hain-

  • Tell me something about yourself.
  • Why do you want to work with our company?
  • Why do you choose this career?
  • What do you know about Ground staff?
  • Why do you want to join aviation industry despite knowing it will be strenuous?

Iska ek hi sabse zaruri tip hain ki aap confident rahe aur ache se sahi javab de har question ka. Airport Ground Staff ek aisa profession hain jismein aap kaise dusre se baat karte hain, unki problem samajh ke solve kar paatein hain aur unse relation banate hain kaafi maniye rakhta hain.

Salary

Airport Ground Staff ki salary depend karti hain airline to airline. Iss chiz se farak padta hain vo domestic ya international airport pe operate karte hain aur uska size kya hain jaise ek choti city hain ya badi metropolitan jisse va handle karte hain. India mein ek fresher ki salary iss field mein takriban Rs.18,000-25,000 tak hoti hain jo experience ke saath badhti hain. Baad mein salary Rs.35000-40000 ho sakti hain.

Agar international airlines mein job ho toh ye salary ka amount double triple bhi ho sakta hain.International airlines mein aapki salary Rs.1,00,000 tak pahunch sakti hain.

Airport Ground Staff ke career ke liye diploma courses compulsory nahi hote hain kaafi companies after 12th recruitment karti hain aur interview ke basis pe jobs dedeti hain. Par kuch experience ho aur course kiya ho toh opportunities khulti hain aur job milne ke chances bhi bad jateein hain. Course karne ke baad aap kaafi fields explore kar sakte hain jaise tourism industry aur hospitality sector.  Diploma in Airport Ground Staff ke baad aap Post Graduate Diploma in Airport Ground Staff Training kar sakte hain jiska again 1 year ka course hota hain aur uske liye eligibility koi bachelors degree ya diploma course hona zaruri hain.

Airport Ground Staff se jude sawal javab

Q1. Vacancy kab nikalti hain airlines mein?

Ans- Ground staff ka recruitment interview ke basis pe hota hain aur vo koi offical notification nahi nikalte SSC ya UPSC ki tarah. Isliye aapko regular updates lete rehna honge internet se vacancy ke baare mein. Ya toh aap airlines ki official website mein careers section mein jaake dhek sakte hain varna kaafi job portals pe bhi iska update aata rehta hain.

Q2. Kis hisaab se job lagti hain?

Ans- Jo basic eligibility criteria hota hain vo hota hain ki 10+2 pass hona kisi recognised board se aur uske saath mein acha communication skills, achi personality, team work aur patience aur har weather ki adaptability hain kuch chizo jo alag-alag airlines ek candidate mein dekhti hain.

Q3. Secondary language aani zaruri hoti hain?

Ans- Dusri language aani zaruri nahi hain par English aur Hindi toh aani chahiye aur uske alava bhi koi language aati hain toh kaafi achi baat hain. Uss se international scope badhta hain aur airline ko bhi fayda hain kyunki utna acha customer ya passanger se baat ho pati hain.

Q4. 12th ke baad job lag jaegi airport mein?

Ans- Airport mein kahi positions hoti hain aur ground staff ki baat kare toh 12th ke baad kaafi airlines job interview ke through deti hain par sirf 12th pass hi nahi aur bhi kahi chize depend karti hain. Minimum eligibility 12th class pass hain.

Q5. Dress code kya hota hain interview ka?

Ans- Agar aap male hain toh western formals pehne jaise formal shirt aur pant aur agar aap female hai toh formal shirt ke saath knee-length skirt pehen sakte hain. Tie, blazer aur scarf optional hain ismein. Airline interview ke time aapko aapke attire pe judge karta hain. Baaki aapke nails aur hair groomed hone chahiye ache se aur total look aapka clean aana chahiye.

Q6. Working hours kya hote hain Airport Ground Staff ke?

Ans- Generally, 8-10 hours ki shift hoti hain iss job mein aur vo vary karti hain. Jaise- 

Morning – 6AM – 2PM

Afternoon – 2PM -10PM

Night – 10PM – 6AM

General Shift- 10AM – 6PM

Aviation sector kaafi ache rate se grow kar raha hain India mein aur number of flights bhi din ba din badhti jaari hain.Issi growth ke kaaran , airports mein skilled aur efficient Airport Ground Staff ki zarurat padti hain taaki daily operations ache se manage aur run ho paaye. Airport mein Ground Staff ke bina passangers travel nahi kar sakte aur iska scope day-by-day badh hi raha hain.Agar aapko lagta hain aapke andar vo qualities aur passion hain jo aviation industry mein chahiye toh yeh field aapke liye hi hain.

Iss article mein humne Airport Ground Staff work in Hindi ki puri jankari dene ki koshish kari hain phir bhi aapke man mein koi doubt hain toh niche comment section mein daale aur hum uska reply karne ki puri koshish karenge.

Vansh is a career coach and has helped many people realize what they are actually meant for. He believes making the right career choice is an important decision in one's life. To ask any question ping him on Instagram - @vangujral

36 COMMENTS

    • Sure, if you are eligible you can do this job. We have mentioned various job portals and airline websites, you can check if there are any openings.
      Good luck and thanks for reading.

    • Hey Rizwan, no doubt it is an outstanding job. Hope our blog helped you in getting all the information about it.
      Good luck and thanks for reading.

    • Hey Kavita, there is a section in the blog that is all about job opportunities.
      You can look for vacancies in various job portals and airline websites. Good luck and thanks for reading.

    • That is great. Hope our blog helped you in getting all the information related to it. Good luck and thanks for reading.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here