Network Marketing Plan in Hindi

network marketing business

Network Marketing ya phir Multi Level Marketing (MLM) India mein start kareeban 1960 aur 1970 mein hua tha. Yeh marketing scheme starting mein sirf small saving schemes offer karti thi large returns ke saath jaise ki chit funds. Iske alawa baaki schemes apne members ko stainless steel, jewelery, etc. offer karti thi aur logon ko enroll karwane pe. Magar inn schemes ke aane ke kuch hi mahinon mein yeh schemes kaafi buri tarah se fail hogayi. Saath hi saath uss waqt pe Indians ke paas itna paisa bhi nahi hota tha ki woh inn schemes mein invest karein.

Network Marketing ka concept India mein toh naya hai magar Duniya mein kaafi purana hai. Network Marketing ka concept sabse pehle Avon ke naam ki ek company ne start kiya tha jo 1886 mein New York mein form hui thi aur jo women ke liye fraganances aur beauty products bechti thi.  

Aaj ki date mein bhi kaafi log network marketing ke idea se kaafi darte hain, magar woh iske peeche ki asli opportunity aur munafe ko dekh nahi paate hain.

Iss article mein hum padhenge

Network Marketing ka Meaning

Network Marketing ke Advantages

Network Marketing ke liye Skills

Network Marketing Procedure

Network Marketing ki Legality India mein

Network Marketer kaise bane

Network Marketing Compensation Plan

Network Marketing mein kamaee

Indian Network Marketing Companies

Network Marketing Ka Meaning

Network Marketing ka matlab bahut hi basic hai, jo hai ki ek product ki marketing, promotion ya selling ek network ki mada se. Iss case mein yeh network logon se banta hai. Iss network ki koi limit nahi hoti, iss mein aapki family members, friends, parosee, kaam wale log aur koi bhi aur jur sakte hain. Ek network mein jitne zyada log honge utna apka aur company ka munafa hoga.

Network Marketing ke program mein bahut hi kam upfront nivesh ya investment hoti hai jo ki zyada tarr product ko ya sample kit ko khareedne mein lagti hai.

Network Marketing mein do cheezein hoti hai pehli product ki sales aur dusri aur naye sales representatives ko recruit karna. Yahin se hume ek Pyramid Scheme aur network Marketing scheme ke beech mein difference pata chal sakta hai, jo network zyada focus sales representatives ki recruitent mein kare woh ek pyramid scheme khelaayi jaafi hai.

Network Marketing ke Advantages

  • Yeh ek aisa business hai jo part time bhi kar sakte hain.
  • Yeh ek aisa Business opportunity hai jahan log apni full time job se zyada Kama sakte hain.
  • Network Marketing students, housewives, retired logon aur special needs wale logon ko bhi zindagi mein ek chance deti Jairo achi kamai kamane ke liye.
  • Yeh business bahut kam nivesh aur kai baar toh 0 nivesh mein bhi start kar sakte hain
  • Iss buisness mein koi infrastructure ki jarurat nahi padti hai.
  • Koi bhi academic qualification koi jarurat nahi padti hai

Network Marketing ke liye Skills

Jaisa ki humne pehle padha Network marketing mein koi bhi degree ya qualification ki koi bhi jarurat nahi padti hai, aap kissi bhi field ke ho sakte hain jaise ki medical, engineering, design ya phir bina kissi field ke bhi ho sakte hain.

Aaj bhi kaafi logon ko aisa lagta hai ki ek acha Network Marketer banane ke ek salesman hona bahut jaruri hota hai, magar asal mein baat kuch aur hi hoti hai. Ek acha Network Marketer banane ke liye sales se zyada communication skills achi hona important hota hai. Apne product se related experiences aur stories share karna aana chahiye dusron logon ke saath jisse woh bhi uss product ki taraf aakarsht hojaye.

Network Marketing Procedure

Network Marketing ka system kaafi simple hota hai aur isse samajhna bhi ek tarah se kaafi simple hota hai. Ek baar jab aap ek Network Marketing company ke saath enroll kar lete hain tab aap unke associate ban jaate hain, iska matlab yeh nahi hota ki aap uss company ko represent kar rahe hain par yeh hota hai ki aap uss company ke products ko aage beech rahe hain.

Iska mota mota matlab yeh hota hai ki aap company se khareedte hain aur phir aage customer ko beechte hain. Matlab ki aapki buying aur selling price ke beech mein jo antar hoga woh hi aapka munafa banega.

Iske alawa aur munafa kamaane ke liye aap apne alawa aur Network Marketers ko recruit kar sakte ho apne under company ke liye, aur inn pe aapko incentives milte hain. Iske alawa kabhi kabhi inn naye recruits se entrance fee bhi charge hoti hai, iss entrance fee mein se kuch hissa unn logon ko diya jata hai jinhone unko recruit kiya tha.

Network Marketing Companies ki Legality India mein

Aaj ke time mein India mein jitni bhi nutritional supplements wali companies hain woh FSSAI ke andar aati hain, FSSAI ka full form (Food Safety and Standards authority of India) hota hai. Iske saath yeh companies Food and Drug administration ke bhi andar aati hain.

MLM schemes jo Financial products offer karti hain woh India mein gairkaanoonee maani jaati hain under Prize Chit and Money circulation (Banning) Act 1978. Aisa karna criminally offence maana jaayega.

Humare desh mein GST lagoo hone ke baad abh harr ek Nertwork Marketer ke liye compulsory hai iss nayi taxation scheme par switch karna.

Network Marketer kaise bane

Network Marketing hai toh ek kaafi munafe wala business chaahe woh full-time ho ya phir part-time ho. Magar iss business ka laabh uthaane ke liye pehle yeh pata hona chahiye ki ek Network Marketer kaise bane, neeche kuch steps diye hue hain jo aapki madad karenge ek acha Network Marketer banane mein.

Step 1 : Market ko ache se padhe

Kissi bhi business mein ghusne se pehle sabse pehla aur mahatvapoon step hot hota hai ki ek baar market ko ache se jaanle, taaki kiss bhi business mein aap Kadam rakhein woh aapko munafa hi de. Zyada tarr Network Marrketing ki companies healthcare aur beauty ki field mein hi hoti hain.

Step 2 : Affordability

Affordability ka matlab hota hai ki jo product ya service aap beechna chahate hain woh aapka  consumer ya phir graahak aaram se khareed paye. Jinn bhi products ki market mein price thik thak hoti hai unn products ki sales ki chances humesha zyada high hoti hain.

Step 3 : Network Marketing Companies dhoondein

Network Marketing ke Business mein ghusne ke liye ek aur important step hota hai aur woh ek achi Network Marketing company dhoondna jinke saath aap kaam karenge. Achi ke saath aapko yeh bhi dekhna padega ki company sachi hain ya phir dhookaadhee yani ki fraudulent hain.

Step 4 : Target ko jaane

Pehle ke steps ke baad next step hota hai ki aap apni target audience ya target graahakon ko jaane. Aapki. Target audience koi bhi ho sakti hai, aapke kareebe doston se leke aapke family members tak. A aapko ek cheez ka Dhahran dena hoga ki Network Marketinh mein word-of-mouth sabse shaktishaalee saadhan hota hai prachar ka. Toh agar aapke graahak ek ache network mein connected honge toh aapke products ki promotion ki chances bhi higher hoti hain

Step 5 : Dhyan se Invest karein

Harr ek Network Marketing ki company aapko batayegi ki kaise unn ke saath aap lakhon ya phir croreon kamaa sakte hain, magar yeh aapki duty hai ki harr Network Marketing ki company ko ache se aur dhyan se study karna aur apne paise soch samajh ke invest karna.

Step 6 : MLM Company ko approach karna

Ek Netwok Marketing ya Mukti Level Marketing ki company ko join karne ke kaafi tareeke hote hain,jaise ki ya toh aap seedhe uss company ko approach kar sakte hain jinn ke saath aap kaam karna chahate hain ya phir aap dusre Network Marketers ko bhi contact kar sakte hain jo pehle se uss company ko represent kar rahe ho.

Step 7 : Apne credentials lelin

Jaise hi aapk ek Network Marketing ki company ko join kar lete hain waise hi aapko sss company se kaam ke credentials lelene chahiye. Jaise ki – brochures, flyers, promotional material aur satisfied graahakon ke remarks.

Iske alawa aapko aur bhi mahatvapoon cheezon ki jarurat pari jaise ki business cards, cash receipts, quotation books aur letterheads. Yeh sabh cheezein aapko thoda bahut toh cost karengi magar inse apke Network Marketing ke business mein professionalism aayega.

Step 8 : Opportunities ko identify karein

Pehle wale saare steps ki samaapti ke was next mahatvapoon step hai ki apne business ke liye opportunities ko identify karna padega. Opportunities ka matlab hota hai aapke target customers ya graahak.

Aap and Network Marketing ke Business ko online aur offline dono tareekon se bhada sakte ho. Offline prachar mein pamphlets, door to door prachar, family functions men prachar aur kaafi aur tareeke hote hain. Aur online prachar mein aap Facebook, LinkedIn, Whatsaap aur etc ki madad se apna Network Marketing ka business bhada sakte hain.

Step 9 : Apne representatives ki madad

Kaafi baar dekha gaya hai ki Network Marketers apne downlink was logon ki zyada mara nahi karte hain aur unki sabse bare galti hoti hai. Aapko apna kaafi time invest karna padega apni team ki madad karne ke liye isse aapki Network Marketing business ki team majboot banegi, saath saath aapke team members ka Network Marketing ka business bhi strong banega.

Network Marketing Income Plan

Kissi bhi company ke Network Marketing ke Business ko join karne se pehle bahut hi important cheez hoti hai uss company ke compensation plan ke bare mein ache se jaana, waise toh aise bahut saare compensation plans hote hain magar sabse popular compensation plans jo hain woh hain:

Generation Plan: yeh sabse puraana aur safest compenstion plan hota hai. Zyada tarr bari bari companies jaise ki Amway, Herbalife, etc. iss plan ka isstamal karti hain. Iss plan ke hisabh se pyramid ke upper ke level wale log zyada kamaate hain aur jaise jaise level neeche hote jaate hain waise waise logon ki kamaai kam hoti jaati hai.

Matrix Plan: yeh MLM marketing ka sabse popular compensation plan hota hai, iss plan ke hisab se jo pyramid structure banta hai uski width (chaudaee) aur columns fixed hote hain. Iss plan se aap sirf ginee chune logon ko sponsor kar sakte hain yani ki apna representative bana sakte hain.

Binary Plan: iss compensation plan mein aap do logon ko recruit karenge aur aapke recruit aur do logon ko recruit karenge aur aise hi dheere dheere ek pyramid structure ban jaayega.

Network Marketing mein kamaee

Network Marketing ke business mein aapki kamaee ya munafa aapke Network pe depend karta hai. Jitna bara aur majboot aapka network hoga utni zyada aapki kamaee hogi. Iss business mein kamaee do tareekon se aati hai ek hai saaman bech ke aur dusri hai naye representive ko sponsor yani ki recruit karna.

Saaman ko bech ke ek networker entry level pe lagbhag 10% se 15% tak aaram se kama sakta/sakti hai. Yeh commission aapke experience ke saath saath bharta hai.

Iske saath saath ek Networker recruitment ke zariye bhi paise kama sakta hai. Iss prakriya mein jitne bhi recruits ek Networker sponsor karta hai utna usse commission milega aur saath hi saath utna uska network majboot banega.

Indian Network Marketing Companies

  1. Amway- home, beauty aur healthcare products
  2. Herbalife- beauty aur nutritional supplements
  3. Forever Living- body aur healthcare products
  4. DXN- traditional products aur herbal drinks
  5. Avon- cosmetics aur beauty products

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here