Daily Routine Sentences for Students in English

October 27, 2020

date

10 Minutes

Table of Contents

Yaha humne badi hi detail me baat kari hai ki daily English practice karne ke kitne fayede hai. Agar aap ek student hai, to aapke liye sabse easy aur kam samay lagane wali tarkeeb hogi apna daily routine english me batana. Isiliye aaj aapko yaha daily routine of a student in english dekh sakte hai.

To chaliye aaj isi badi hi important cheez ko dhyan me rakhte hue baat karte hai ki kaise students English ka daily use karne ke liye apna daily routine english me bata sakte hai.

Daily routine me vo sare cheeze aajati hai jo aap din bhar me karte hai. Subah uthne se lekar vapas bed time tak aap roz jo bhi activities karte hai vo aapke daily routine me included hota hai.

To chaliye aaj hum kuch aese most common sentences ke bare me baat karenge jo ki aapko English me apna daily routine batane me help karenge!

Easy sentences to start telling the daily routine of a student in English

Apne sone or uthne ka samay batana – Some important sentences to include in daily routine of a student in English

  • (Main roz subah 7 baje sokar uthta hu)

I wake up/get up every morning at 7 am.

  • (Main roz raat me 10 baje so jata hu)

I sleep/go to bed every night at 10 o’clock.

  • Main weekends par subah thodi der se sokar uth ta hu.

I wake up/get up a little late on weekends.

  • Main weekends par thodi der raat me sone jata hu.

I sleep/go to bed a little late on weekends.

  • Main sayad hi kabhi subah 5 baje se pehle sokar uthta hu.

I hardly ever wake up before 5 am.

Apne breakfast ke bare me batana – Some important sentences to describe breakfast in daily routine of a student in English

  • Mujhe nashte me bread aur butter khana pasand hai.

I like to eat/have bread and butter in breakfast.

  • Mujhe nashta karne se pehle coffee pina pasand hai.

I like to drink/have coffee before breakfast.

  • Main subah 9 baje se pehle apna nashta kar leta hu.

I have my breakfast by 9 o’clock.

  • Mujhe subah bahut jada khana pasand nahi hai.

I don’t like to eat a lot in the morning.

  • Main apna nashta apne office me hi karta hu.

I have my breakfast in my office.

Daily routine me use hone vale english ke words janne ke liye yaha click kare!

Apni subah ke habits ke bare me batana – Routine habits to include in daily routine of a student in English

  • Main roz subah exercise karta hu.

I exercise every morning.

  • Main roz subah apni pasandida kitaab ke kuch panne padh leta hu.

I read a few pages of my favorite book every morning.

  • Main fit rehne ke liye roz subah jogging karta hu.

I jog daily in the morning to stay fit.

  • Main jadatar subah basketball field jata hu.

I usually go to the basketball field in the morning.

  • Main zadatar nashta karne ke baad bartan saaf kar leta hu.

I usually do the dishes after breakfast.

School/College ya aur kisi jagah aane aur jane ke bare me batana

  • Mera school subah 8.30 baje se shuru hota hai.

My school is at 8.30 in the morning./ My school starts at 8.30 am.

  • Aaj mere school ki chutti hai.

Today is a holiday in my school.

  • Mujhe aaj school jane ka man nahi hai.

I do not want to go to school today.

  • Mere tabiyat kharab hone ki vajah se aaj mujhe college jane ka man nahi hai.

I do not want to go to college today because of my poor health.

  • Aaj main apne friend ke sath school jaunga.

Today i will go to school with my friend.

Apne study routine ke bare me batana

  • Main roj sham ko 2 ghante padhta hu.

I study for 2 hours every evening.

  • Main updated rehne ke liye roz newspaper bhi padhta hu.

I also read the newspaper daily to be/stay updated.

  • Main sham ko 4 baje tution jata hu.

I go tution at 4 in the evening.

  • Main apne padhne ka routine imandari ke sath follow karta hu.

I follow my study routine with discipline.

Khelne ke bare me batana

  • Main har Sunday ko Football khelta hu.

I play football every sunday.

  • Main sham ko padhne ke baad basketball khelta hu.

In the evening, I play basketball after studying.

  • Main apne toys se khelne ke baad unko sambhal ke rakhta hu.

I organize my toys properly after playing with them.

  • Main sham ko apne friends ke sath video games khelta hu.

I play video games with my friends in the evening.

Sham ke routine ke bare me batana

  • Main sham ko 4 baje chai aur toast khata hu.

I have tea & toast at 4 in the evening.

  • Main sham ko 5 baje apna pasandida TV show dekhta hu.

I watch my favorite TV show at 5 pm.

  • Main kuch der apne chote bhai ke sath khelta hu.

I play with my little brother for some time.

  • Main apni mother ki kitchen me help karta hu.

I help my mother in the kitchen.

  • Main apni mother ki ghar ke kaam me madad karta hu.

I help my mother in house chores.

  • Main apne father ke sath cricket dekhta hu.

I watch cricket with my father.

Raat ke khane ke bare me batana

  • Main raat ka khana 9 baje tak kha leta hu.

I have my dinner by 9 pm.

  • Hum sab weekends par bahar khana khane jate hai.

We go out to dinner on weekends.

  • Mai zadatar apna dinner apni family ke sath karta hu.

I usually have dinner with my family.

Kuch aur common sentences jo daily routine ko batane me kaam aayenge

  • Main har Sunday ko church jata hu.

I go to church every Sunday.

  • Main subah coffee peene ke baad naha kar apne baalo ko comb karta hu.

After having my morning coffee, I take a shower and comb my hairs.

  • Main sham hone par apne dog ko ghumane le kar jata hu.

I take my dog for a walk in the evening.

  • Padhne ke baad main jadatar apna favorite gaana sunta hu.

After studying, i usually listen to my favorite music for some time.

  • Main apni family ke sath har weekend par beach par jata hu.

My family and I go to the beach every weekend.

Kya aapne in sare sentences me ek common cheez notice kare?

Ye sare sentences ek pattern follow kar rahe hai, kya hai vo pattern?

Starting me “I” aur “We” jaise shabdo ka jada use hua hai. Iske sath hi Sentences ke end me “karta hu”, “jata hu”, “dekhta hu” jaise words aa rahe hai.

Is tarah ki formation ko hum kehte hai “Simple present tense”.

Simple present tense me hum sentence likhte samay ye rule follow karte hai-

SUBJECT + VERB KI FIRST FORM + REST OF THE SENTENCE.

Daily english speaking practice ke liye Daily routine batate time hum “past tense” ko ignore karte hai. Jaise ki- Hum jo ho chuka hai uski baat nahi karte hai. Isliye was, were, had vagerh ka use yaha nahi kiya jata hai.

Ye sab dekh ke aap jada confuse na ho kyuki english me apna daily routine bata kar daily english speaking practice karna bada hi easy kaam hai. Upar diye gaye common sentences ki madad se aap English ki achi practice kar sakte hai jisse aapki English jaldi improve hogi.

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Download Josh Skills App

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

Table of Content

Easy sentences to start telling the daily routine of a student in English

Join Josh Skills Spoken English Course

Recommended for you

Find Josh On:

facebookinstayoutube
copyright

Josh Talks Part of Josh Group . All rights reserved.

copyright

Josh Talks Part of Josh Group .
All rights reserved.

Find Josh On:

facebookinstayoutube