Teaching Mein Career Kaise Banaye in Hindi

teaching_career_shruti

Teaching ek esa professional hai jisko humesha hi kaafi important mana gaya hai aur isey kaafi noble profession mana gaya hai. Society ko change karne mein ek teacher ka hi sasbe bada role hota hai. Aur badalte daur ke sath sath aj teaching ek esa profession ban gaya hai jisme acchi kamai bhi hoti hai aur kaafi izzat bhi milti hai.

CTET 2019 Ke Apply Kare Button Click Karke

CTET Exam Apply Now

Teaching career ki zaruri jaankari ke liye click kare

Teaching career kya hai aur kiske liye sahi hai

Teacher banne ke liye yogyata 

Teacher banne ke liye courses

Government teacher kaise bane – CTET aur TET

Army Public School mein 8000 teacher vacancies nikali hai. Apply karne ke liye click kare.

Ye article Krishna Upadhyaya Ji ki help se banaya gaya.

Krishna Upadhyaya [MA, M.ED., (NET)]
Work Experience: 2002 se Delhi Sarkar mein ‘Teacher’ ki post par hai. 18 years se ka teaching experience hai.
TGT Sanskrit | Associate NCC officer (ANO)

Teaching career kya hai aur kiske liye sahi hai

Teaching career ek esa profession hai jis mein aapka padhai likhai ke tarah interest hona bahut jaruri hai. Ye career unke liye hai jinhe padhana accha lagta hai aur jinke liye padhai se jude topics ko samajhna aasan hota hai. Aur isme toh aap apne aap ko aasani se parakh sakte hain agar aap bhi apne education ke time pe apne doston ko padhai aur exams ke waqt ek teacher ki tarah madad ki ho.

Toh agar aapme bhi ye quality hai jissey aap kaafi asani se kisi ko bhi padha sakte hain, toh teaching apke liye best profession hai.

Teacher banne ke liye yogyata

Teaching career ko hum kayi levels mein baant sakte hain. Jaise nursery school teacher, primary/middle school teacher aur high school teacher. In sabhi categories ke liye Yogyata bhi alag alag hoti hai. Yani agar aap primary school teacher banna chahte hain toh aapki degree alag hogi aur agar aap high school teacher banna chahte hain toh aapki degree kuch aur hogi jiske bare mein hum agey batayenge.

Teacher banne ke liye sabse pehle toh aapko 12th pass hona chahiye. Dhyaan rahe ke aap jis stream se yani Science, Commerce, Humanity, jissey bhi 12th karenge, aap agey jaker usi stream mein teaching career shuru kar sakte hain.

12th ke baad aapko graduation karna hoga. Graduation aap kisi bhi degree se kar sakte hain, jaise BA, B.Sc., B.Tech. Graduation ke bad hi aap teaching profession mein jane ke liye apply kar sakte hain. Chaliye ab baat karte hain ke wo kon se courses hain jo aapko teaching mein career banane ke liye bhot jaruri hain.

Teacher banne ke liye courses

Niche diye gaye image mein humne bataya hai ke wo kon se course hain jinko after 12th ya after graduation kiya ja sakta hai.

teaching_career

Teaching mein career banane ke liye 12th/graduation ke bad aapko in mein se ek course karna hoga –

NTT

B.El.Ed

D.El.Ed

B.P.Ed

DPE

B.ED

Ayiye ab baat karte hain ke ye courses kyun karna jaruri hai aur inke kya fayede hain.

NTT course

NTT course yani Nursery Teacher Training program ko Diploma in Nursery Teacher Training program bhi kaha jata hai. Iske naam se hi samjha ja sakta hai ke ye courses aapko nursery level ke liye teacher banne ke liye jaruri hai. Ye course 1 year ka hota hai aur minimum eligbility 12th pass hoti hai.

Eligibility

  • Recognized board se 12th qualified
  • Minimum qualification marks – 50%

Admission process

NTT mein admission 12th ke score se merit basis pe bhi ho sakta hai ya fir aapko kayi institutes ke liye entrance dena hoga. Entrance ke liye ye rounds follow karne padenge –

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Entrance test mein 10+2 level ke questions ayenge jo ki 12th ke subjects se related honge.
  • Entrance test ke bad ek interview round aur GD ho sakte hain.

Career prospects

NTT ke bad aap nursery level ke schools mein teaching ke liye eligible ho jate hain. Is course ke bad aap in profiles mein kaam kar sakte hain –

  • Nursery teacher
  • Assistant Pre-Primary teacher
  • Day care teacher
  • Play school teacher

D.El.Ed Course

D.El.Ed course yani Diploma in Elementary Education teaching career ke liye esa course hai jisey sidha 12th ke bad kiya ja sakta hai. Ye course full time diploma course hai jo ki 2 years ka hota hai.

Eligibility

  • Recognized board se 12th qualified or Graduation
  • Minimum qualification marks – 50%

Admission process

D.El.Ed mein admission ke liye 2 step hain –

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Entrance test mein 10+2 level ke questions ayenge jo ki 12th ke subjects se related honge.
  • Entrance test ke bad ek interview round hoga

Career prospects

D.El.Ed karne ke bad aap in job options mein career shuru kar sakte hain –

  • Private schools
  • Primary School (Class 1 – Class 5)
  • Upper Primary (Graduation + D.El.Ed) (Class 6 – Class 8)
  • Nursery
  • Daycare centers
  • Private tuition classes

Aap is course ke bad Government teacher ke liye bhi apply kar sakte hain magar uske liye aapke pas CTET (Central Teacher Eligibility Test) ka score hona jaruri hai. Is test ki jankari hum aapko agey pure detail mein batayenge.

B.El.Ed

Bachelor of Elementary Education course, ek undergraduate degree course hai jo ki 4 years ka hota hai aur isey bhi 12th ke bad kiya ja sakta hai. Is course ke bad aap elementary level ke students ke education ke sath deal karenge yani 6-12 years age group.

Eligibility

  • Recognized board se 12th qualified
  • Minimum qualification marks – 50%
  • 12th passed either Science, Arts, Commerce

Admission process

B.El.Ed mein admission ke liye bhi aapko entrance test se gujarna hoga jo har ek institution ka alag alag hota hai. Kuch ese bhi institutes hain jo ki 12th ke result pe merit basis pe admission de dete hain, magar jyadatar institutes mein aapko common entrance test hi dena hoga.

B.El.Ed mein admission ke liye 2 step hain –

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Entrance test mein 10+2 level ke questions ayenge jo ki apke 12th ke subjects ke basis pe hoga.
  • Entrance test ke bad GD (Group Discussion) aur ek interview round hoga.

In test ke basis pe merit list niklegi jissey apki ranking decide hogi.

Admission fee

Is course ki fee waise toh har institute ki alag alag hoti hai, magar dekha jaye toh fee Rs. 20,000 – 1,50,000 tak ho sakta hai.

Career Prospects

B.El.Ed karne ke bad aap in job options mein career shuru kar sakte hain –

  • Primary and upper primary schools
  • NGOs
  • Nursery
  • Day care centres
  • Tuition classes

Is course ke bad aap CTET ka exam dekar apne aap ko TGT (Trained Graduate Teacher) ke liye bhi applicable bana sakte hain jiske bad aap elementary ke sath sath secondary level yani class 10 tak ke students ko padhane ke liye eligible ho jate hain.

Aap is course ke bad Government teacher ke liye bhi apply kar sakte hain magar uske liye aapke pas CTET (Central Teacher Eligibility Test) ka score hona jaruri hai. Is test ki jankari hum aapko agey pure detail mein batayenge.

B.P.ED

Bachelor of Physical Education ek undergraduate degree program hai jo ki physical education pe focus karta hai. Is course ke bad aap schools mein physical education teacher ya fir sports instructor ke role pe kaam kar sakte hain.

Eligibility

  • Recognized board se 12th qualified
  • Minimum qualification marks – 50%
  • 12th passed either Science, Arts, Commerce
  • Students jinke pas physical education tha during school, unhe prefer kiya jata hai.

B.P.Ed ke course ki do tarah ki eligibility hoti hai. Ek jisme aap 3-4 years ka course kar sakte hain aur dusra jisme 1-2 years tak ke liye course kar sakte hain.

3-4 Year Duration B.P.Ed Eligibility Criteria

3-4 years duration ke course ke liye eligibility criteria uper di gayi criteria ki tarah same hai.

1-2 Year Duration B.P.Ed Eligibility Criteria

  • Candidate ko graduation degree holder hona jaruri hai aur minimum qualification mark 50% – 60% ka hona chaiye.
  • Jin students nein graduation level pe physical education as subject liya ho ya college level pe koi sports mein participate kiya ho unhe prefer kiya jata hai.

Admission process

B.P.Ed admission process mein baki course se thoda difference hota hai. Apko is course ke liye bhi entrance exam dena hoga.

Entrance exams ka exam pattern generally ye hota hai –

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Entrance test mein 10+2 level ke questions ayenge jo ki general aptitude, GK, science, social science aur english language se hoga.
  • Iske alwa ek physical efficiency test bhi dena hoga jisme alag alag sports ke through aapke skill ko test kiya jayega.
  • Entrance test ke bad GD (Group Discussion) aur ek interview round hoga.

In test ke basis pe merit list niklegi jissey apki ranking decide hogi.

Admission fee

Is course ki fee waise toh har institute ki alag alag hoti hai, magar dekha jaye toh fee Rs. 10,000 – 60,000 per annum tak ho sakta hai jo ki apke college pe depend karegi. Yani ek government institute ki fees kaafi kam hoti hai aur private ki jyada.

Career prospects

  • Physical education teacher in school (Private + Government)
  • Sports instructor / teacher
  • Yoga instructor
  • GYM instructor

DPE

Diploma in Physical Education (DPE) ek 2 years diploma program hai jo ki physical education pe focus karta hai. Is course ke bad aap schools mein physical education teacher ya fir sports instructor ke role pe kaam kar sakte hain.

Eligibility

  • Recognized board se 12th qualified
  • Minimum qualification marks – 50%
  • 12th passed either Science, Arts, Commerce
  • Students jinke pas physical education tha during school, unhe prefer kiya jata hai.

Admission process

DPE mein admission ke liye bhi entrance exam dena hoga. Kuch institutes 12th ke score ke merit basis pe bhi admission lete hain magar jyadatar institutes mein aapko entrance exam dena hoga.

Entrance exams ka exam pattern generally ye hota hai –

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Entrance test mein 10+2 level ke questions ayenge jo ki general aptitude, GK, science, social science aur english language se hoga.
  • Iske alwa ek physical efficiency test bhi dena hoga jisme alag alag sports ke through aapke skill ko test kiya jayega.
  • Entrance test ke bad GD (Group Discussion) aur ek interview round hoga.

Admission fee

Is course ki fee waise toh har institute ki alag alag hoti hai, magar dekha jaye toh fee Rs. 15,000 se lekar Rs. 50,000 per annum se shuru ho sakta hai.

Ye fees government aur private institutes ki alag alag hoti hai. Isiliye aapko admission se pehle jis university ya institute mein aap apply karna chahte hain, uska fee structure pata kar lein.

Career Prospects

  • Physical education teacher in school (Private + Government)
  • Sports instructor / teacher
  • Yoga instructor
  • GYM instructor

B.Ed Course

B.Ed yani Bachelor of Education ek kaafi valuable course mana jata hai. Is course ke bad aapke pas bachelor degree ki manyata ho jati hai.

Eligibility

B.Ed course ke liye ek candidate ko graduate hona mandatory hai. Agar aap post graduate hain toh bhi ye course kar sakte hain. Is course ko karne ke liye jo minimum eligibility hai wo ye hai –

  • B.A, B.Sc., ya B.Com mein graduate hona compulsory hai.
  • Minimum qualification marks 50% tak hona chaiye.
  • Post graduation ki minimum qualification 55% tak honi chahiye.

Admission process

  • Pehle aapko ek entrance test dena hoga. Ye entrance test, state level institutes, independent educational bodies ya unversitites dwara conduct karwayi jayegi.
  • Entrance test mein graduation level ke questions ayenge jo ki general aptitude, GK, science, social science aur english language se hoga.
  • Entrance test ke bad GD (Group Discussion) aur ek interview round hoga.

In test ke basis pe merit list niklegi jissey apki ranking decide hogi.

Admission fee

Is course ki fee waise toh har institute ki alag alag hoti hai, magar dekha jaye toh fee Rs. 15,000 se lekar Rs. 50,000 per annum se shuru ho sakta hai.

Ye fees government aur private institutes ki alag alag hoti hai. Isiliye aapko admission se pehle jis university ya institute mein aap apply karna chahte hain, uska fee structure pata kar lein.

Career prospect

B.Ed generally teaching mein entry ke liye best course hai. Is course ke bad aap aasani se teaching mein apna career shuru kar sakte hain. Iske alawa aap in kuch options mein bhi career bana sakte hain –

  • Teacher
  • Administrator
  • Content Writer
  • Assistant Dean
  • Counsellor
  • Instructor
  • Librarian
  • Principle
  • Educational Researcher
  • Syllabus Designer

Government teacher kaise bane – CTET aur TET

Army Public School mein 8000 teacher vacancies nikali hai. Apply karne ke liye click kare

CTET (Central Teacher Eligibility Test) aur TET (Teacher Eligibility Test), government dwara conducted ek exam hai jiske bad aap kisi bhi government school mein job ke liye eligible ho jate hain. CTET exam Central Board of Secondry Education dwara conduct ki jati hai aur iska motive hota hai ye test karna ke aap teacher banne ke yogya hain ya nahi.

Isi tarah TET exam hota hai jo ki state level pe teacher banne ke liye jaruri hai. Ye test state level pe hota hai aur isey state government conduct karwati hai.

CTET / TET ke liye eligibility

  • CTET / TET mein appear hone ke liye aapko Indian citizen hona jaruri hai.
  • Iske alawa minimum age limit 17 years ki hoti hai.

Ab baat karte hain ke alag alag level pe is test ko dene ki kya eligibility hai.

StageQualification
Primary stage (Class 1 to 5)*Senior secondary qualified (10+2) + 2 year diploma in elementary education / 4 year degree in elementary education,
*Senior secondary qualified (10+2) + B.Ed degree.
Secondary stage ( Class 6 to 8)*Graduation + 2 year diploma in elementary education
*Graduation + B.Ed degree
*Senior secondary qualified (10+2) + 4 years bachelor course (B.El.Ed)
Senior secondary aur Higher secondary (Class 9 to 12)*Post Graduation + B.Ed degree

Note – Hum aapko bata dein ke CTET / TET ka exam dene ke bad aap kisi bhi government school mein teacher banne ke liye eligible ho jayenge. Magar jis kisi bhi government school mein aapko apply karna hai aapko us particular school ka bhi entrance test dena hoga jaise Kendriya Vidyalaya, Jawahar Navodya Vidyalaya etc.

CTET Exam 2019 ki puri jaankari ke liye click kare

Humne kosish ki hai ke is article ke madhyam se hum aapko India mein teaching career shuru karne ke liye jo bhi jankari chaiye wo mil jaye. Agar abhi bhi aapke mann mein teaching career se jude koi sawal hain toh humse comment mein jarur pucchein.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here