indian coast guard female recruitment ki puri jaankari

Indian Air Force, Indian Navy aur baaki ki tarah hi Indian Coast Guard mein bhi mahilaon ke liye bhi vacancy nikalti hai. Ji haan, Indian Coast Guard matlab Bhartiya Tat Rakshak. Toh chaliye aaj hum un post ke baare mein aapko batayenge jismen females/women apply kar sakti hai. Indian Coast Guard Female Recruitment 2020 ki puri jaankari aapko iss article mein milegi.

Aap neeche diye gaye topic par click karke padh sakte hai…

Assistant Commandant General Duty

Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA)

Assistant Commandant (Law Branch)

Jaruri Documents

Aise hota hai Selection


Click Karke Humare Facebook Group Se Jude

Join Indian Coast Guard


Assistant Commandant General Duty (SSA)

Indian Coast Guard (Bhartiya Tat Rakshak) mein women ke liye ek post hoti hai Assistant Commandant (GD) ka. Toh sabse pahle hum iske baare mein hi jaanenge ki women ki Indian Coast Guard eligibility criteria kya hona chahiye, qualification, education aur physical standard kya hona jaruri hai iske baare mein.

Indian Coast Guard Qualification dekhein

AgeAge RelaxationEducation Qualification
Minimum Age – 18 years Maximum Age – 22 yearsSC/ST – 5 years

OBC – 3 years

(i) Kisi bhi recognized university se 60% marks ke saath (B.E./B.Tech) mein chaar saal ka graduation.

(ii) Mathematics and Physics as subjects up to intermediate or class XIIth of 10+2+3 scheme of education or equivalent. (Jin Candidate ki 10+2 (Intermediate) Physics and Maths nahin the wo General Duty (SSA) ke liye eligible nahin honge.

Medical Standards

PostHeightWeightChestEyesight
Assistant Commandant (GD) SSA152 cmProportionate to the Height and Age, + 10 % acceptableAchha fitness hona chahiye aur 5 cms phulana padta hai6/6 6/9 – Uncorrected without Glass,

6/6 6/6 – Corrected with Glass

Note: Short Service Appointment (SSA) – Short Service Appointment as Assistant Commandant is for a period of 08 years which may be extended to 10 years and further extendable up to 14 years.

Short Service Appointment (SSA) – Assistant Commandant ke roop mein Short Service Appointment ka period  8 saal hai lekin ise 10 se 14 saal aage badhaya jaa sakta hai.

Assistant Commandant (GD) ka selection process

Indian Coast Guard Recruitment mein selection 4 stage se hota hai.

1. Shortlisting of Application
2. Preliminary Selection
3. Final Selection
4. Medical Examination

Selection Process ke baare mein adhik jaankari ke liye yahan click karein.

Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA)

Indian Coast Guard mein desh ki seva karne ke liye Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA) Short Service Appointment ke liye bhi female ko recruit kiya jata hai. Iss post ke liye mahiloan ko kya qualification paas ki hui honi chahiye wo niche batai gayi hai.

Indian Coast Guard Qualification dekhein

AgeAge RelaxationEducation Qualification
Minimum Age – 19 years Maximum Age – 27 yearsSC/ST – 5 years

OBC – 3 years

Candidates holding current /valid Commercial Pilot Licence (CPL) issued/ validated by Director General of Civil Aviation (DGCA). Minimum educational qualification – XIIth pass (Physics and Mathematics)with 60% marks in aggregate.

Aap niche medical aur physical standard ke baare mein jaan sakte hai jo is Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA) ke liye jaruri hai.

Medical Aur Physical Standards

PostHeightWeightChestEyesight
Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA)162.5 cmProportionate to the Height and Age, + 10 % acceptableAchha fitness hona chahiye aur 5 cms phulana padta hai6/6 in one eye and 6/9 in other correctable to 6/6.

Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA) ka selection process

Indian Coast Guard Recruitment mein Commercial Pilot Entry (CPL) (SSA) ki post ka selection 4 stage se hota hai.

1. Shortlisting of Application
2. Preliminary Selection
3. Final Selection
4. Medical Examination

Assistant Commandant (Law Branch)

Inn sab ke alava Mahilaye (females) Indian Coast Guard mein Assistant Commandant (Law Branch) ki post mein bhi jaa sakti hai. Iske liye minimum education Law mein degree honi chahiye with minimum 60% marks. Toh chaliye ab iske baare mein aur jaankari table mein dekhte hai.

Female ki Indian Coast Guard Qualification kuch aisi honi chahiye

AgeAge RelaxationEducation Qualification
Minimum Age – 21 years
Maximum Age – 30 years
SC/ST – 5 years

OBC – 3 years

Kisi recognized university se Law mein degree with minimum 60% marks.

Medical Aur Physical Standards

PostHeightWeightChestEyesight
Assistant Commandant (Law Branch)152 cmProportionate to the Height and Age, + 10 % acceptableAchha fitness hona chahiye aur 5 cms phulana padta hai6/60 6/60- Uncorrected without Glass. 6/6 6/12 – Corrected with Glass.

Assistant Commandant (Law Branch) ka selection process

Indian Coast Guard Recruitment mein Assistant Commandant (Law Branch) ki post ka selection 4 stage se hota hai.

1. Shortlisting of Application
2. Preliminary Selection
3. Final Selection
4. Medical Examination

Indian Coast Guard Female Recruitment ke liye jaruri Documents

(a) Do computer generated pre-filled online E-admit card form aur saath mein colour passport size photo jo 3 mahine se jyada purana nahin hona chahiye.

(b) Original class Xth ka pass hone ka certificate aur mark sheet.

(c) Original class XIIth ka pass hone ka certificate aur mark sheet.

(d) Original Degree Certificate sabhi semesters/saal ki mark sheets ke saath.

(e) Identity proof jaise passport, driving license, Aadhaar Card, voter I card, college ID card yaa koi bhi photo identity proof.

(f) Original Caste Certificate (yadi jarurat hai toh). Ismen OBC candidates (Non creamy layer) hona jaruri hai. Aur SC/ST ka original Caste Certificate hona chahiye.

(g) Character certificate. (Yeh 6 mahine se jyada purana nahin hona chahiye).

(h) Twelve (12) recent colour passport size photo jiski background blue honi chahiye.

(j) Jin Candidates ke paas yeh documents nahin honge unhen written examination mein nahin baithne diya jayega.

Aise Hota hai Indian Coast Guard mein selection

1. Shortlisting of Application

Iss post ka selection 4 stage se hota hai jismen sabse pahle Short Listing ki jaati hai Applications ki. Short listing criteria higher percentage marks ke upar aadharit hota hai in the qualifying examination and the qualifying cut off for a particular branch or centre may be increased more than 60% if more applications with higher % are received.

Ismen qualifying examination aur kisi particular branch yaa centre ke liye qualifying cut off 60% se adhik badhaya bhi jaa sakta hai agar higher % waale applications aate hai toh.

2. Preliminary Selection

Iske baad agla stage hai Preliminary Selection ka. Shortlisted candidates ko Preliminary test ke liye bulaya jata hai aur Mental Ability Test/ Cognitive Aptitude Test and Picture Perception & Discussion Test (PP&DT) liya jata hai. Saath hi aapko bata de ki ismen aptitude tests sirf English language mein hi conduct kiya jata hai. PP&DT ke dauran candidates ko jitna ho sake utna english language bolne ka prayas karna chahiye. Yadi we nahin bol sakte hai toh Hindi bol sakte hai.

3. Final Selections

Jo candidates Preliminary Selection exam ko qualify kar dete hai unhen Final Selection ke liye bulaya jata hai. Iske liye date and venue Final Selection Board (FSB) Indian Coast Guard ki official website www.joinindiancoastguard.gov.in. par upload karti hai.

4. Medical Examination

Iske baad jin candidate ne Final Selection ko pass kar diya hota hai unhen Medical Examination ke liye bulaya jata hai. Medical Standard kaisa hona chahiye iske liye upar ke table dekhein.

5. Tattoo

Indian Coast Guard mein Permanent body tattoos sharir ke kisi bhi partpar allowed nahin hai. Halanki un candidates ko tattoo allowed hai jo tribal areas yaa kisi khaas communities se belong karte hai.

Toh baki logo ko Tattoo sirif bazu ke andar pe ya kalai ke upar hi allowed hoga. Koi bhi aur tatto hai to reject kar diya jaayega.


Toh Shayad aapko inn sabhi posts ke baare mein samajh aa gaya hoga aur agar nahin aaya please humein comment mein bataye aur uska javab hum dene ki poori koshish karenge.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here