ITI electrician jobs

Hum sabhi apne rozmarra ke kamo ko karane ke liye bijli par bahut adhik nirbhar rehte hain. Lekin bijli jitni humare liye upyogi hai,bina gyan ke wo utni hi khatarnakh bhi hai. Adhikaansh log ek thekedaar ke maadhyam se bijli ka kaam seekhate hain aur kaam karna shuru kar dete hain jo ki sahi hai, lekin kya apko pata hai ek skilled electrician banne ke liye apko kin kin chizo ki jarurat hoti hai? Kyuki sahi jaankari ki kami ke karan humare desh me electrician ki availability demand se kam hai. Iss article mein aapko electrician career se judi jaankari jaise ITI electrician course, license ITI electrician jobs etc ke baare mein batayenge. 

Iss Article me aap padenge:

Electrician Kya Hai Hindi Mein

Electrician Training In Hindi

ITI Electrician Course Details

ITI Electrician Apprenticeship

Electrical License Type

ITI Electrician Jobs 

Electrician job salary

Electrician kya hai hindi mein:

Bijli se chalne wale kisi bhi yantra jese pankha,tv,motor etc. jinme bijli ka use hota hai uski marramat or nirmaan karne wale vyakti ko electrician kehte hain. Bijli ke fitting aur marammat ke liye ek trained or skilled electrician ki aavashyakata humesha hoti hai, jo kisi bhi tarah ki kharabi ko sambhaal sake.

Electrician training in Hindi:

Kisi bhi organization me ya badi company ya govt. sector me jyaadaatar unhi logon ko mauka diya jata hai jinhone koi professional training li hai . Kisi company me electrician ke roop mein kaam karne ke liye apko Industrial Training Institutes (ITI) se electrician ka course karna jaruri hota hai.

Trade Course : Electrician

Duration: 2 yr.

Eligibility Criteria‎: ‎10th passed

ITI Electrician Training Course

Electrician course ya training  karne ke liye ITI yaani Industrial Training Institute sabse acha vikalp hai India mein. ITI ke centres har chote badhe shehar mein hote hai aur inki training course kafi acha maana jaata hai. 

ITI electrician course details ke liye click kare

ITI Electrician Apprenticeship

ITI electrician job ke liye course khatam karne ke baad aapko kisi bhi company ya Government sector ke under ITI electrician apprenticeship training karna zaruri hai. Apprenticeship training me apko electrical theory, blueprint reading, mathematics, electrical code requirements, safety aur first-aid ki vishesh training di jati hai. Training ke baad apko ek certificate diya jata hai jo apko naukari ki talaash karte samay ek experience certificate ke roop me kaam karta hai.

Qualification: 10 + ITI from Electrician Trade

Age: 16+ years

Duration: 1 – 1.5 Years

ITI Electrician Apprenticeship Vacancies

Har Saal Railway, ONGC,IOCL, PSU jaise HAL, BEL etc. me apprentice vacancies nikalti rehti hai.

Railway Apprenticeship:  Railway me naukari karne ka bahut acha mauka hota hai Railway Apprenticeship. Railway se apprenticeship karne wale ko aksar railway me hi permanent job bhi milne ke bahut chances hote hai.

ONGC Apprenticeship:  ONGC me har saal alag alag  jagahon ke liye apprentice bharti nikalati hai. Electrician diploma wale ONGC apprentice bhartee ke liye aavedan kar sakate hain.

ITI Apprenticeship Kaise Kare

Bharat me apprenticeship karne ke liye Govt. ne  National Apprenticeship Training Scheme (NATS)  lagu ki hai jiske liye apko online registration karna jaruri hai. Online registration ke ye niche diye gaye link pe click kare:

Online Apprenticeship Registration ke liye click kare  

Electrical License Type

Apprenticeship training ke baad agar aap  bijli mistri ya bijli thekedaar banna chahte hain ya phir apni bijli ki dukaan kholna chahte hai to apko commercial aur residential license ke liye apply karna hoga. Electrical contractor/thekedaar license ke liye A aur B Grade ka license lena hoga.

Ye licence 3 tarike ke hote hain jaise:

A- Grade License:

A class license un logon ke liye hai jo master contractor hai ya supervisor hai. Ye log extra high voltage par kaam karte hain aur kisi bhi bade project or labour ko handle kar sakte hai. A-class license wale electrician residential or commercial dono tarah ke kaam kar sakte hai.

B- Grade License:

B class license wale electricians Industrial electrician ke taur pe kaam kar sakte hai.Ye residential yani gharelu electrician ke mukable jyada bade project par kaam kar sakte hai.

C- Grade License

C class license ki jarurat un logon ke liye hai jo bijli mistri yani domestic electrician ke taur pe kaam karna chahte hain. Jisme  gharo ki wiring, fitting jese anya kaam shamil hai.

Electrical license in India

Electrical license pane ke liye apko ye steps follow karne honge:

Step 1: Sabse pehle apke pas C grade license hona chahiye ya apne kam se kam 2 saal grade A license holder ke under kaam kiye hone ka proof tabhi aap B grade  license or A grade license ke liye apply kar sakte hai.

Step 2: Apko C license ke liye apne state ke Electrical Licensing Board Office ja kar application form bharna hoga. Waise to Electrical contractor ka license state wise alag alag hota hai. Humne ek form ka sample niche diya hai lekin ye form ka sample sirf Delhi me license prapt karne ke liye hai.

 

Step 3: Aapko apne sath diploma certificate ki original copy le jani hogi

Step 4: Address proof ke liye adhaar card  ya voter card ka photocopy le jani hogi

Step 5: Bank se demand draft banvake lejana hoga

Step 6: Pass port size photos deni hogi

ITI Electrician Ke Baad Kya Kare

ITI electrician career mein 3 options hai India mein:

ITI Electrician Jobs

1) Aap Public sector undertaking (PSU), MNC, Private aur Govt. Industries me electrician ka kaam kar sakte hain. Aap kisi bhi rajya me bijli board aur vibhag me kaam kar sakte hain.

State Electricity Board List

2) Aap license lekar khud ka kaam jese gharo me bijli fitting, wiring ka kaam shuru kar sakte hain. Iske liye apko C License lena avashayak hai. License  ki puri jaankari ke liye yahan click kare.

3) Aap electrical contractor ka license lekar Wiring Contractor bhi ban sakte hai. Electrical contractor banne ke liye apko License A & B lena jaruri hai.

Business

 Electrician ka course karne ke baad aap apni bijli ki dukaan bhi khol sakte hain.

Urban Clap

Aap electrician ka course karne ke baad apne aap urban clap me ek electrician ke taur pe jud sakte hain.

Urban Clap me khud ko register karne ke liye aap yaha click kare

Urban Clap Partner

ITI Electrician job salary

Waise to electrician ki salary mukhy roop se us project  par nirbhar karata hai jis par wo kaam kar rahe hain. Apne career ke shuruwat  me, jo log private job kar rahe hain, wo prati maah 12000- 15000 rupaye ke vetan ke saath shuroo kar sakate hain. Lekin anubhav ke saath apki salary Rs..25,000- 30,000 ke aas paas kahi bhi kama sakate hain.

Sarkari sector me railways, electricity board, Indian oil rigs and companies, Telephone Department, Airport, etc. kuch aese department hai jaha aap exam ke liye apply kar sakte hai. Sarkari naukri praapt karane ke liye apko PSC examinations clear karna padta hai.

Electrician skills

  1. Communication Skills: Ek electrician alag alag logon ke saath, alag alag jagah  par kaam karata hain isliye unka nature friendly hona chaahie aur customer ke savaalon ka samaadhaan karane mein saksham hona chahiye
  2. Color Vision: Rang ki sahi pehchan hona jaruri hai kyuki rang dvaara hi bijli ke taaron ko pehchana jata hai.
  3. Interpret technical diagrams: Technical diagram or electric circuits ko padh kar samasya ka kaaran aur unhe theek karane ka sabse acha tareekaek electrician ko pata hona chahiye.
  4. Physical stamina: Ek electrician ka intelligent hone ke sath sath sharirik roop se swasth hona bohot jaruri hai kyuki field me pure din ghumna or bhari bhari wires ke bundle ko uthane me bohot takat lagti hai.

 

Doston is post me humne apko electrician se sambandhit sari jaankari dene ki koshish ki hai hai. Ise aap dhyan se pade. Agar is post se related apke koi bhi sawal hai to niche comment karke humse puche hum apke saare sawalo ka jald se jald jawab dene ki koshish karenge.Aur agar yeh jaanakari aapko pasand aye to dusro ke sath share jarur kare .

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here