Self Introduction Kaise de English me

October 27, 2020

date

10 Minutes

Table of Contents

Impressive Self Introduction, English me dene ke bahut saare benefits hai. Yeh apko naye connection banane me help karega or unko yeh show karega ki aap kis chiz me unique or apke essential details kya hai. 

Agar apka introduction koi third-party nahi de rahi hai, toh self introduction dene me peeche na rahe or English me introduction de.

Apna introduction essa de jo engaging or memorable ho. Self Introduction kaise de english me, iski saari tips isme mentioned hai. 

Self Introduction kyun zaroori hai English me ?

Apna Introduction ek vo part hai jaha aap apna naam or purpose batate hai kisi dusare person ko. Yeh professional person bhi ho sakta hai or koi relative ya casual person bhi ho sakta hai.

Ek acha Self Introduction apko ek positive impression banane ko help karega. Iss article me vo sab chize included hai jo apko apne introduction me batani chahiye.

Self Introduction explain karta hai aap kaun ho, aap kya karte ho or dusro ko apke baare me kya details pata honi chahiye. Yeh sab chize self introduction me include ki jaati hai.

Jab bhi aap kisi naye person se milte hai or koi third party apka introduction nahi de rahi hai toh apko ek self introduction dena chahiye.

Aapko self-introduction offer karna chahiye jab aap interview shuru karne wale ho, koi hiring event attend kar rahe ho, naye connection bana rahe hai, koi presentation de rahe hai ya kahi par naye logo se mil rahe hai toh.

Yeh short, precise or engaging hona chahiye. Isme aap ka name, occupation or key details jo ho apki vo aani chahiye.

Self Introduction kaise de English me – Casual Setting

Aap apni life me 2 type ke logo se milte hai. Ek jo apki professional life se associated hote hai or ek vo jo apki personal life se associated hote hai. Personal life wale logo se mil kar conversation karna bahut alag hota hai professionals ke sath conversation karne se.

Jab aap apni personal life se associate logo se milte hai jo usko bolege casual setting me self introduction dena. Or jab professionals se milte hai toh usko bolege professional setting me introduction dena.

Iss section me self Introduction kaise de sakte hai casual setting me vo bataya gaya hai. Yeh saari tips effective bhi hai or easy to use bhi hai. 

1. Conversation start kare

Jab bhi aap kisi naye person se milte hai toh conversation start kare. “Break the ice” ek common english phrase hai jiska matlab hota hai kisi ke sath comfortable hona. Isliye use kare yeh phrases to “Break the ice”.

Esse bahut saare phrases hai jinka use karke aap conversation start kar sakte hai but vo phrases recommend kiye jaate hai jo aap easily memorise kar sake or aap jinko frequently use kar sake.

Ek easy way hello bolne ka or apna name batane ka: 

John: Hello. I’m John. (Apna hand offer kare)

Tom: Hello. I’m Tom. (Hand shake kare)

John: Nice to meet you.

Aap koi greeting phrase bhi use kar sakte hai, jese “Good Morning”, “Good Evening”, “Good Afternoon”.

Agar aap kisi se first time mil rahe hai toh aap unse unke baare me bhi kuch puch sakte hai jese:

How are you ? (Hindi: Aap kaise hai)

Where are you from ? (Hindi: Aap kaha se aaye hai)

What are you doing here ? (Hindi: Aap yaha kya kar rahe hai)

Are you doing good ? (Hindi: Apko yaha kesa lag raha hai)

Iske alawa aap unko compliment bhi kar sakte hai jese:

You have a beautiful dog. (Hindi: Aapka dog bahut pyara hai)

Is that your car? It’s really good. (Hindi: Yeh aap ki car hai ? Bahut hi achi hai) 

2. Apne baare me basic answers prepare Rakhe.

Apke baare me basic questions ke answers ready rakhe jisse aap confidence ke sath perfect moment par english me self introduction de payege.

Answers ko short and simple rakhe, jisse aap koi mistake nahi karege or kisika interest bhi lose nahi hoga. Jese kuch questions:

Where are you from? (Hindi: Aap kaha se hai ?)

What do you do ? (Hindi: Aap kya karte hai ?)

Do you like your job? (Hindi: Apko apni job pasand hai ?)

Iske alawa kuch specific questions ke liye aap apne kuch positive response bhi English me ready rakh sakte hai. Apne positive response me bhi aap kuch additional details daal sakte hai conversation ko interesting banane ke liye.

Question: How do you find the movie ? (Hindi: Apko movie kaisi lagi)

Answer: It’s really interesting. I especially liked the climax. What did you think ? (Hindi: Mujhe interesting lagi. Mujhe especially climax pasand aaya. Apko kaisi lagi ?)

3. Questions puchte rahe. 

Zyada or relevant and sabse important appropriate questions puche. Isse samne wale ko lagega aap unki baat dhyan se sunn rahe hai or apko unki baat me interest hai. Isse unhe apse positive vibes milegi or connection acha banega.

Iske sath hi dhyan se sune unki baat, har baat me kuch expressions se apne thoughts convey kare. Attentive rahe or mobile ka use na kare kisi bhi in-person conversation me. Mobile ke use se essa dikhta hai ki aap interested nahi hai ya aap bore ho rahe hai.

Kuch basic questions jo aap puch sakte hai: 

Have you seen [movie/show] ? (Hindi: Kya aapne yeh movie/show dekha hai ?)

Do you read the updates on [some appropriate topic] ? (Hindi: Kya aap [topic] ke updates padhte hai ?)

Iske alawa bhi apko kisi type ka question ya kuch information puchni ho toh vo bhi puch sakte hai. But dhyan rahe vo relevant or appropriate hona chahiye. Isse self Introduction effective hota hai.

4. Exit Plan Rakhe 

Exit plan se matlab hai ki apko iss baat ko end karke jaana kese hai, vo part bhi ready rakhe. Aap kisi conversation ko beech me chod kar nahi jaa sakte or na hi ekdum “Bye” bol kar jaa sakte hai. Yeh ache morals nahi hote.

Isliye ek exit plan ready rakhe. Or Zaroori nahi saare conversations hi bahut ache hoge. Kuch me aap ko lagega ki baat khatam hogyi hai or ab aapko jana chahiye.

Kabhi apko lagega ki aap properly connect nahi kar paa rahe hai dusre person se, toh aapko vo conversation leave karna padega. 

Agar aap koi conversation leave karte hai toh apko sure hona padega ki aap politely leave kar rahe hai. Otherwise, bahut awkward silence or weirdness aa jayegi. 

Kuch lines hai jo apko politely conversation leave karne me help karegi:

Excuse me, I need to go to a meeting. (Hindi: Excuse me, Mujhe ek meeting me jaana hai)

Well, It’s been lovely talking to you. (Hindi: Apse baat karke acha laga)

Nice to meet you, Tom. (Hindi: Aap Se mil kar acha laga Tom)

Inme se kuch line bol kar conversation ki proper ending kare or final handshake ke baad conversation leave kare.

5. Smile kare or confident Rahe

Aap hi khud ke sabse bade judge hote hai. Aur apko bhi acha lagega agar koi aapse aakar baat karega.

Issi tarah, or logo ko bhi acha lagta hai agar aap unse jaa kar baat karenge toh. Unse baat karte time bhi agar aap istake kardete hai, toh bhi baat karte rahe. Smile or confident rahe baat karte time.

Agar aap smile karte hai or confident rehte hai toh logo ko apki mistakes nahi but apka confidence or smile yaad rahegi. Isliye yeh sab bolne ki practise kare mirror ke samne and isse aap prepare ho jayenge.

Try to Improve public speaking skills here.

Self Introduction kaise de English me – Professional Setting

Professional setting matlab ki professional person ke sath conversation karna. Yeh jab hota hai jab aap kisi client se baat karte hai ya koi interview dete hai ya apne kisi senior/employer se baat karte hai.

Iss pure conversation me jo sabse important cheez hai jo aap ko yaad rakhni chahiye, vo hai ki apna introduction dete time enlgish me mistake kum se kum kare or confident rahe. Kuch pretend na kare, jo aap hai vahi dikhaye. Kahi bhi, inappropriate ya slags ka use na kare.  

1. Background Information Ready Rakhe.

Jese aap casual setting me samne wale person ko confortable karne ke liye phrases use karte hai to “Break the Ice”, Vahi idhar bhi use kare. But unko exactly waise hi use na kare.

Professional setting me aapko bahut formally baat karni hoti hai. Context ke hisab se proper sentence or words use kare. 

Iske sath hi, samne wale person ko yeh vishwas dilaye ki aap bhi ek professional insaan ho or aap team me aayenge toh unko bahut benefit milega.

Isliye hi khud ke baare me thoda basic self introduction english me prepare kare jisme aap apne baare me thodi chize bata sake. Or yeh ache se prepare kare kyun ki yeh apka first impression hoga or yeh kabhi change nahi ho sakta.

Iske alawa, samne wale person ko greet karna na bhule. Slags or short forms ka use na kare. “Yaar”, “Dude”, “Bro” jese words ka bhi use strictly na kare. Or kuch sentence jo aap use kar sakte hai vo hai:

Good Morning, My name is Rohan. Nice to meet you Mr. Singh. 

(Hindi: Good Morning, Mera naam Rohan hai. Aap se mil kar acha laga Mr. Singh.)

It’s a pleasure to finally meet you, Mr. Singh. My name is Rohan. 

(Hindi: Apse finally mil kar acha laga Mr. Singh. Mera naam Rohan hai.)

2. Apne baare me Relevant Information bhi Ready Rakhe.

Aap ko apne bare me relevant information batane ke liye koi presentation ya koi slide show ki zarurat nahi hai. But just apne mind me ready rakhe key points.

Key Points yaad rahenge to aap confident rahege, kuch important bhulege nahi or conscious bhi nahi hoge. Isliye prepared rakhe key points.

Self introduction kaise de sakte hai yeh apki preparation or situation par bhi depende karta hai. Isliye introduction dete time specific points add kare jo apki position/role se relevant ho. 

Make sure ki aap kisi ko apne hi detailed introduction se bore na kare. Or zyada bhi over smart na bane or na zyada flaunt kare. Isliye sirf precise rahe or unke questions ka answer bhi precisely or relevant de.

Iske baad yaad rakhe ki aapko unka bhi dhyan se sune. Dusre log jab bol rahe ho to ek acha listener bane.

Iske alawa apne introduction/presentation ke end me aap interactive question bhi puch sakte hai like:

What about you, Mr. Singh? (Hindi: Aapka kya kehna hai iss baat par, Mr. Singh)

What’s your experience in IT? (Hindi: Aapka kya experience hai isme)

3. Unn chizo ko mention kare jo apko unique banaye 

Agar aap kisi professional person ko apna introduction de rahe hai english me to aap grammar mistakes avoid kare. 

Iske alawa agar aap unhe convince kar rahe hai ki aap kyu suitable hai role ke liye, toh pehle se hi prepare rahe unn chizo ko mention karne ke liye jo apko uss role ke liye unique banate hai.

Isliye kuch vo points or key words yaad rakhe or brilliant tarike se answer kare. Yaha aap thoda flaunt kar sakte hai. But unique zaroor rahe or repetitions avoid kare. Koi bhi chiz baar baar na bole.

Iss point par unn chizo ko mention kare jo apne achieve ki hai, jinke liye aap proud feel karte hai. Apne purane work experience or volunteer works ko mention kare.

Avoid kare vo chize jo irrelevant hai batane ke liye jese aap kaha ghumne gaye hai ya kuch or unrelevant jo other person ko bore kare.

4. Appropriate body language or phrases use kare – Most Important Self Introduction Tips

Apki body language kaafi kuch bina mention kiye hi convey kar deti hai. Aap kitne confident ho or kitne nervous ho yeh bhi apki body language se bataya jaa sakta hai.

Frequently move karna, hand movements karna, idhar udhar dekhna, regular face par hath lagana, baal thik karna, Yeh sab negative language ke sign maane jate hai. Isliye inhe avoid kare.

Appropriate language and phrases ka use kare. Vo phrase na use kare jo situation ko match na kare kyuki isse samne wale ko lagega ki aapne sirf isliye bola hai kyuki aap smart banna chah rahe hai.

Situation/Role se matching cheez hi mention kare kyon ki koi bhi boredem ko accept nahi karega.

Or professional/formal dress up me jaye hamesha ki professional setting ke liye. Informal dress log bilkul entertain nahi karte hai. 

5. Apna Introduction kaise de English me – Professional

Apko koi bhi type ke introduction me practise karne ki bahut zarurat hai kyuki aapko uss situation me weak nahi lagna hai. 

Professionals ko introduction dena kaafi difficult hota hai but agar aapne prepare kar rakha ho already toh fir aap easily acha conversation kar sakte hai.

Professional me mostly esse puchte hai questions like “Tell me about Yourself”. Iska ek sample introduction kaise de sakte hai, english me, mentioned hai:

Good Morning,

My name is [apna name]. I am a recent graduate from [university/college/school name] with a major in [major stream ka name]. I have pursued my 10th grade with [10th class ke grades] and 12th grade with [12th class ke grades].

Coming to my family background, I have [number of family members] in my family. [Mention kare apna relation unke sath jese, mother, father, brother, sister]. My father is a [father ka occupation] and my mother is [mother ka occupation].

(Agar apka koi sibling kisi tarah se apki stream ya job position se related hai tabhi unki details mention kare otherwise mat mention kare)

In my spare time, I like to [apki hobbies mention kare].

I have previously worked for [previous employer] as [previous work position] for [time period mention kare].

Isi hisab se aap bhi apna introduction kaise dena hai english me ready kare or uski continuous practise kare.

Try How can I introduce myself in English.

Conclusion

Iss Article ke points ko follow karke aap self introduction kaise de english me seekh payenge or apna first impression bahut hi acha bana sakte hai.

Saare nahi toh kuch main or easy chizo ko follow kare or apko results dikhne lagege. Aapko khud me ek confidence feel or aap dusro ko bhi bata sakte hai ki english me self introduction kaise de sakte hai.

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Download Josh Skills App

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

Table of Content

Self Introduction kyun zaroori hai English me ?

Self Introduction kaise de English me – Casual Setting

Self Introduction kaise de English me – Professional Setting

Conclusion

Join Josh Skills Spoken English Course

Recommended for you

Find Josh On:

facebookinstayoutube
copyright

Josh Talks Part of Josh Group . All rights reserved.

copyright

Josh Talks Part of Josh Group .
All rights reserved.

Find Josh On:

facebookinstayoutube