receptionist work in hindi

Aaj ke time kisi bhi profession ko choose karna bahut mushkil hota hai. Agar aap mein achi coomunication skills hai, aap aram se bahut saare kaam ko organize karke kar paate hai toh aap bilkul sahi jagah aaye hai. Hum iss article mein aapko Receptionist kaise bane ki saari jankaari denga. Receptionist ek bahut acha career option hai kyonki har organisation mein receptionist ki jarurat hoti hai. Iss blog ko padhne ke baad receptionist work in hindi saari jankaari appko mil jayegi. Yaha aapko receptionist work in Hindi ke baare mein janane ko milega.

Iss article mein hum aapko batayenge:

Receptionist job kya hai

Receptionist ke liye qualifications

Receptionist ka kaam kha kare

Receptionist skills

Receptionist ka kaam kya hota hai

Receptionist salary

Front desk job interview questions

Receptionist work in hindi career opportunities


Receptionist job kya hai

Receptionist jise front desk job ke naam se bhi jaana jaata haiAap kisi bhi organisation mein jaye bhale hi voh koi corporate office ho ya school aap sabse reception par hi jaate hai. Receptionist ko dhyan rakhna hota hai ki puri organisation mein kya ho raha tabhi voh visitors aur clients ko saari information se paate hai. Iss job mein aap phone calls attend karna, appointment fix karna, visitors ko information dena aur sabse important yeh sabhi kaam smile aur patience ke sath handle karna hota hai.

Receptionist ke liye qualifications

  • Receptionist banane ke liye aapko 12th complete karna jaruri hai.
  • Lekin kuch companies Bachelor’s Degree bhi maangti hai.
  • Agar aap kisi hotel mein receptionist ban rahe hai toh aapko hospitality course kara hona chahiye.
  • Aap chahe toh receptionist ka course bhi kar sakte hai . Bhaut sare private institutes receptionist ka course karvate hai.

Receptionist Skills

Receptionist banane ke liye aap mein yeh sab skills honi chahiye:

  • Communication Skills – Aapki verbal aur written communication skills dono hi bahut acchi honi chahiye. Iske alawa aap listening skills bhi acchi honi chahiye tabhi aap logo ki madad kar payenga.
  • Multitasking Skills – Aapko multitasking hona bahut jaruri hai kyonki tabhi aap apna saara kaam kar payenga. Jaise ki jab aap phone par baat kar rahe tabhi dusare kaamo par bhi dhysn de jside ki kisi client se face to face baat karna ya koi paperwork karna.
  • Organizational Skills – Jaise ki aap jaante hai aapko iss job mein ek hi waqt par bahut saare kaam karne hoge isliye aapko humesha organize rehna jaruri hai.
  • Technical Skills – Receptionist ki job mein aapko computer, phone, printer etc  use karna hoga isliye aapko basic tehnical skills aana jaruri hai. Receptionist ki job mein Microsoft Excel ka bahut use hota hai isliye agar aapko yeh skill ache se aani chahiye.
  • Interpersonal Skills – Aapko iss profession mein organization mein sab se inreract karna hoga. Isliye aapko sabke sath ek acha relation rakhna hoga.
  • Initiative aur Problem solving ability – Agar koi problem aaye toh aapko usse solve karne ki shamta honi chahiye aur sath hi mein initiative lena ki quality honi chahiye.

Receptionist ka kaam kya hota hai

Aapki iss profession mein yeh duties aur responsibilities hogi:

  • Answer phone calls – Jitne bhi company ke important calls aayenga jaise ki meetings schedule karna, appointment lena ya koi message karna voh sabhi aapko receive karna hoga. Aapko messages ko organisation ke baaki departments mein deliver bhi karna hoga.
  • Schedule meetings (with client) – Organisation mein jitni bhi meetings hogi voh aapko schedule karni hogi. Aapko aapointments, availability inn jab cheezon ko dhyan mein rakhte hue meetings schedule karni hogi.
  • Receive visitors – Jitne bhi company mein visitor’s aayenga unn sabhi se deal aapko karna hoga. Aapko vistors ko kabhi- kabhi person ya location ke liye bhi direct karna hoga.
  • Collect information – Jitne bhi important messages, mails, information ko aapko collect karna hoga Aur jaha bhi uski requirement hai vaha deliver karna hoga.
  • Respond to mails – Jitni bhi organisation ki important mails hai usse aapko time to time respond karna hoga aur saari important information ko aage convey karna hoga.

Receptionist ka kaam kha kare

Aap receptionist ki job ke liye inn jagah par apply kar sakte hai:

Locations

Humne yaha kuch corporate aur government offices ki list di hai jaha har saal receptionist ki profile ke liye job nikalti hai. Aap yaha par apply kar sakte hai-

Corporate Offices

 

·        Q Mac Technologies

·        Hi Fi Technologies

·        Accenture

·        CTS

·        Nexii IT Labs

·        Trident Hotels

·        Agile Enterprises

·        Calypso

·        Abide HR Services

·        Iris software

·        United simulation Private Ltd.

·        Madhav Biotech

Government Offices

 

·        WBIC

·        Neyveli lignite Corporation

·        Jammu and Kashmir Service         Selection Board

·        NIELIT Assam

Receptionist Salary

Iss carrer mein aap har saal lag bhag 3-4 lakh rupee starting mein kama sakte hai. Aap ache experience ke baad isse bhi zyada kama sakte hai.

Receptionist ki salary har organisation mein different hoti hai. Corporate offices aur hotels mein receptionist ki salary bahut zyada hoti hai sath hi mein yaha bahut zyada carrer opportunities bhi hoti hai.

Receptionist work in hindi career opportunities

Receptionist profession mein bahut saari career opportunities hai –

  • Agar aap kisi badi organisation mein kam kar rahe hai toh aapko bahut saari career opportunities aur promotions ka chance milega.  Aapka promotion aise hoga :
Receptionist Career Opportunities
  • Agar aap organisation mein bahut ache se kaam kar rahe hai toh aapke Office Manager banana ke bhi bahut zyada chances hai.
  • Iske alawa aap aur bhi bahut saari fiels mein kaam kar sakte hai jaise ki  management sector etc.

Iss article mein humnein receptionist work in hindi ki saari jankaari di hai. Agar aapko iske ilawa aur bhi koi sawaal hai toh neecha commeny box mein likein.

Receptionist ka interview dena se pehla ek acha resume banana jaruri hai. Ek acha resume kaise banaye janane ke liye yahan click kare.

Front desk job interview questions

Q. Apne baare mein kuch btaye?

Ans. Iss question mein aap kabhi bhi apne name se start mat kare.  Sabse pehla apna work experience ya kisi internship ke baare mein btaye phir apni educational qualification aur family background ke baare mein. Aap chahe toh apni unn skills ko bhi bta sakte hai jo receptionist ki job ke liye relevant hai.

Q. Apni strengths aur weakness btaye?

Ans. Iss mein apni sari strengths btaye.  Jabni aapko apni weakness ko bta rahe hai toh usse aise  btaye ki aap kuch cheezon mein improve karne ki koshish kar rahe hai. Aap yeh bhi bta sakte hai ki aap unah thk karne ke liye kya kar rahe hai. Apni strengths aur weakness aise btaye jo aapke work se relevant ho.

Q. Aap receptionist ki job kyu karna chahte hai

Ans. Yaha btaye ki aap mein voh saari skills hai jo iss profession mein chahiye hoti hai aur aapko yeh profession ek career opportunity ki tarah kyu pasand hai.

Q. Aap iss organisation kyu join karna chahte hai?

Ans. Aap jis organisation ko join karna chahte hai uske baare mein interview se pehla aise padh nisale. Iss question mein aap bta sakte hai ki aapko iss organisation mein kya pasand hai aur kaise yaha kaam karke aapko apni skills ko improve karne ka chance milega.

Q. Apni sabse badi achievement btaye?

Ans. Yaha aap apni aisi achievement btaye jo ki receptionist ki job se relevant ho.

Q. Pehli job kyu chori? (Agar aap pehla kahi aur job karte hai toh)

Ans. Aap bol sakte hi ki aapko apni pehli job mein bahut kuch seekhna ko mila par aaproki growth vaha stagnant ho gayi thi aur agar aap iss organistion ko join karte hai toh aapko bahut sari nayi cheezon ko seekhna ko milega aur apni skills ko improve karne ka chance.

Q. Receptionist ek organistion ke liye kyu jaruri hoti hai?

Ans. Yaha aap btaye ki bina receptionst ke organistion mein kaam karna kaise mushkil ho jayega aur kaise receptionist organisation mein coordination rakhti hai.

Q. Aap bahut zyada pressure mein kaise karega jaise ki aap jaante hai ki receptionist ko ek hi waqt mein bahut sare kaam karne hote hai?

Ans. Aap koi live example dekar explain kar sakte hai ki aapne kaise bahut zyada pressure mein sara kaam handle kiya tha. Aap batye ki agar aisi koi situation aati hai toh aap kaise kaam karega.

Q. Hum aapko kyu select kare iss job ke liye?

Ans. Yaha aapko btana hai ki aap kaise baaki candidates bahut ache hai. Aapko apna aisa unique selling point batna hoga jisse aisa lage ki aap aaye hue sare candidates se sabse zyada best hai.

Hum umeed karte hai ki aapko receptionist work in hindi ki sari jankaari mil gayi hogi. Agar aapko aur bhi koi sawaal hai toh neecha comment box mein likhein.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here