Punjab_Police_bharti

Punjab Police Bharti jismein shamil hona bahut logo ka ek sapna hota hai. Ji haan, Punjab Police recruitment mein badi sankhya mein har saal Constable aur Sub Inspector ke liye bharti nikalti hai jismein kaafi saare yuva bhaag lete hai. Is kaaran aaj hum Josh Kosh par aapke liye lekar aaye hai is bharti se judi puri jaankari, toh padhte rahiye yeh article.

ArrowDown

Delhi/NCR mein job ke liye yaha click kare

Iss Article mein aap jaanenge….

Punjab Police Vacancy 2020 Ki Detail

Punjab Police Bharti 2020 Ki Important Dates

Punjab Police Bharti Educational Qualification

Punjab Police Physical Standard aur Eligibility

Punjab Police Constable aur SI ki Salary

Punjab Police Admit Card

Punjab Police Selection Process

Punjab Police Pattern & Syllabus


Punjab Police Vacancy 2020

Punjab Police Recruitment 2020 ki date abhi tak nahin nikali hai, lekin jald hi recruitment nikalne ki sambhavna hai.

Official Website

Punjab Police Bharti 2020 Ki Important Dates

Jaisa ki hum upar bata chuke hai ki Punjab Police Bharti 2020 ki date nahin nikli hai toh yahan abhi koi important dates nahin hai. Jab bharti aayegi toh yahan update kar diya jaayega.

Download Josh Skills App aur Learn Kare Job Paane Ke liye Important Skills

 

Punjab Police Bharti Educational Qualification

Bharti ke liye minimum education aap niche table mein dekh sakte hai

Post Qualification
Constable 10+2
Sub Inspector (SI) Graduate

Note: Constable aur SI ke liye har ummidvar ko aniwarya ya optional subject ke roop mein Punjabi ke saath matric pariksha pass ki hui honi chahiye.


Punjab Police Physical Standard aur Age Eligibility

Punjab Police recruitment mein aapka physical standard bhi achha hona chahiye kyonki iska bhi ek test hota hai bharti ke samay. Toh pahle se hi aapko apne sharir ko fit rakhna hai.

Constable aur SI ke liye age eligibility criteria

Toh Punjab police ki constable aur sub inspector post ke liye eligibility criteria ki agar baat karein toh ismein age 18-25 saal honi chahiye male aur females ke liye.

Iske liye male candidates minimum ki height- 5’ 7” (5 feet 7 Inch) honi chahiye. Toh Female candidates minimum height -5’ 3” (5 feet 3 Inch) honi chahiye.

Punjab police recruitment 2020 mein Sub inspector ke liye male candidates ki chest 86.3 cm aur 5 cm phulana hota hai. Jabki female candidates ka weight – 47 kg hona chahiye.

Lekin sirf constable ke liye height aur education ke anusar bhi numbers diye jaate hai, toh niche table dekhe.

Delhi/NCR mein job ke liye click kare

Qualification Marks
10+2 (ICSE, PSEB, CBSE

 

or equivalent

10
B.A-I,B.Sc-I/B.Com-I or

 

equivalent

11
B.A-II,B.Sc-II/ B.Com-II

 

or equivalent

12
B.A-III,B.Sc-III/B.Com-III

 

or equivalent

13
M.A/LLB/Eng.

 

M.Sc/M.CA/MBBS/MPE

D/ BDS or equivalent

14
M.Phil./ Phd/ LLM 15

Educational Qualification for Ex-Servicemen:

Qualification Marks
Matriculation 10
10+2 (ICSE, PSEB, CBSE

 

or equivalent

11
B.A-I,B.Sc-I/B.Com-I or

 

equivalent

12
B.A-II,B.Sc-II/ B.Com-II

 

or equivalent

13
B.A-III,B.Sc-III/B.Com-III

 

or equivalent

14
M.A/LLB/Eng.

 

M.Sc/M.CA/MBBS/MPE

D/ BDS or equivalent

15

Height (Male candidates)

6’ & above 15 marks
5’-11” & above 14 marks
5’-10” & above 13 marks
5’-9” & above 12 marks
5’-8” & above 11 marks
5’-7” & above 10 marks

Height (Female candidates)

5’-8” & above 15 marks
5’-7” & above 14 marks
5’-6” & above 13 marks
5’-5” & above 12 marks
5’-4” & above 11 marks
5’-3” & above 10 marks

Punjab Police Constable aur SI ki salary

Ab hum baat karne waale hai Punjab police ki salary ke baare mein. Aksar log koi bhi naukri ya job karne se pahle salary jaanna chahte hai, kyonki sab log paise kamane ke liye hi naukri karte hai iss karan salary ek important point hai. Toh chaliye ab hum salary ke baare mein jaante hai.

Constable ki salary Rs. 5200-20200/- aur grade pay Rs. 1800/- hota hai.

Sub inspector (SI) ki salary Rs. 10,300 – 34,800/- aur grade pay Rs. 4,600/- hota hai.

Punjab Police Admit Card

Ab hum baat karenge Punjab Police admit card ke baare mein janenge ki aap kaise download kar sakte hai. Chaliye step by step Punjab Police admit card/hall ticket download karne ke liye link par click karna hai.

Admit Card Download

Punjab Police Selection Process

Jaisa ki aapko pata hi hoga ki kisi bhi sarkari naukri ke liye selection process hota hai, aisa nahin hota hai ki kisi ko bhi le lete hai. Toh yeh zaahir hai ki Punjab Police ke liye bhi selection process hota hai. Toh iske selection ke baare mein jaante hai.

Punjab Police constable selection process

  1. Physical Measurement
  2. Physical Efficiency Test
  3. Interview.
1) Physical Measurement

Punjab Police recruitment 2020 mein constable mein selection process mein sabse pahle Physical Measurement ka test hota hai. Ismein aapka measurement kiya jata hai. Jo candidates educational qualification aur age ke hisab se eligible honge unki sirf height hi dekhi jaayegi. Male candidates ke liye minimum height 5’ 7” hai aur female candidates ke liye minimum height 5’ 3” hai. Ismein jo pass honge unhen agle round Physical Efficiency Test (PET) mein bulaya jaayega.

2) Physical Efficiency Test

Jo candidates physical measurement mein fulfill hote hai unhen hi iss test mein liya jata hai. Physical efficiency test mein running hoti hai and aur bhi kuch steps clears karne hote hai.

Ismein males ko 1600 Meter running karni hoti hai aur female (mahilaaon) ko 800 Meter. Ex-servicemen ke liye physical efficiency test mein male ko 1400 Meter running karni hoti hai aur mahilaon ko 800 Meter daud lagani hogi.

3) Interview

Constable post mein selection ka last round interview hota hai. Ji haan, punjab police constable ke liye interview bhi dena padta hai. Ismein 4 marks milte hai.

Iske baad final selection ke merit list ke aadhar par kiya jaata hai aur appointment ke liye call aata hai.

Sub Inspector selection process

  1. Physical Measurement
  2. Physical Efficiency Test
  3. Written exam
  4. Interview
  5. Merit list
1) Physical Measurement

Punjab Police sub inspector mein selection process mein sabse pahle Physical Measurement ka test hota hai. Ismein aapka measurement kiya jata hai. Jo candidates educational qualification aur age ke hisab se eligible honge unki sirf height hi dekhi jaayegi. Male candidates ke liye minimum height 5’ 7” hai aur female candidates ke liye minimum height 5’ 3” hai. Ismein jo pass honge unhen agle round Physical Efficiency Test (PET) mein bulaya jaayega.

2) Physical Efficiency Test

Jo candidates physical measurement mein fulfill hote hai unhen hi iss test mein liya jata hai. Physical efficiency test mein running hoti hai and aur bhi kuch steps clears karne hote hai.

Ismein males ko 1600 Meter running karni hoti hai aur female (mahilaaon) ko 800 Meter. Iske alava Long Jump aur High Jump bhi hoti hai. Female ke liye long jump 3.25 meters aur male ke liye 3.80 meters hoti. High jump mein female ki 0.95 mtr aur males ki 1.15 meters hoti hai. Iske liye candidates ko 3 chance milte hai. Ismein jo pass honge unhe written test ke liye bulaya jaayega.

3) Written Test

Iske baad agle round mein written test hoga. Yeh SI post ke liye hi hota hai. Yeh test 100 marks ka hoga jismein pass hone ke liye SC/ST/BC categories waalon ko minimum 45% marks laane honge qualify karne ke liye aur others ko minimum 50% marks.

4) Interview

Jo candidates written test mein pass ho jaate hai unhe iske baad interview ke liye bulaya jata hai. Interview mein pass hone waalo ko 15 marks milte hai.

5) Merit list

Toh iske baad written aur interview mein aane waale marks ke anusar merit list nikali jaati hai aur final selection hota hai. 

Punjab Police Exam Pattern & Syllabus

S. No. Topics Min Marks Time Duration
1 GK/ Current Affairs 50 1 hour 30 minutes
2 Reasoning 35
3 Numerical Ability 15

Note:

  • Written exam sirf Sub Inspector waalo ka hoga.
  • Yeh ek objective type mein exam hoga. 
  • Written Exam mein total 100 marks honge.

Delhi/NCR mein job ke liye click kare

Syllabus

GK/Current affairs Numeral Ability Reasoning
National news (current).

 

International issues.

Scientific observations.

Indian Culture.

New inventions.

Political Science.

About India and it’s neighboring countries.

National and international current affairs.

Countries and Capitals

History of India.

Geography of India.

Economic issues in India.

Calculus.

 

Statistics 

Percentages. Mensuration.

Fractions.

The relationship between Numbers.

Fundamental arithmetical operations.

Number Systems.

Computation of Whole Numbers.

Operations Research & Linear Programming.

Algebra.

Verbal Classification.

 

Essential Part.

Logical Problems.

Statement and Conclusion.

Theme Detection.

Cause and Effect.

Statement and Argument.

Logical Deduction

Number Series.

Letter and Symbol Series.

 


Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein


Q. 1) Kya Punjab Police Bharti Nikal Gayi hai?

Answer: Nahin, abhi tak Punjab police ki bharti ki date nahin aayi hai.

Q. 2) Constable ke liye qualification kya hai?

Answer: Punjab police mein constable post ke liye minimum qualification 12th pass hona jaruri hai.

Q. 3) Sub inspector ke liye qualification kya hai?

Answer: Punjab police mein sub inspector (SI) post ke liye minimum qualification graduate pass hona jaruri hai.

Q. 4) Punjab police mein constable aur sub inspector ki salary kitni hoti hai?

Iski jaankari aap niche dekh sakte hai –

Constable ki salary Rs. 5200-20200/- aur grade pay Rs. 1800/- hota hai.
Sub inspector (SI) ki salary Rs. 10,300 – 34,800/- aur grade pay Rs. 4,600/- hota hai.

Humein umeed hai ki iss article se aapko Punjab Police Bharti ki puri jankari mil gayi hogi jaise recruitment, eligibility, vacancy, selection process etc. Humne poori koshish ki hai ki shuruwaat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaaye. Agar aapko kisi anya jankari ki zarurat hai toh humein comment section mein likhke, hum zarur batayenge.

Josh Skills App par Sikhe Job Paane ke Liye Essential Skills

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

35 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here