MS EXCEL KAISE SIKHE.

Excel kya hai aur kaise (FREE mein) sikhe in Hindi

Aapko kuch bhi batane se pehle mai kehna chahoon gi ki ye sawaal ki MS-Excel ya Microsoft Excel kaise sikha jaye ek bahut acha sawal hai aur ye sikhna aaj ki jarurat hai 🙂

Iss article mein main aapko bataungi ki

MS Excel kya hai

MS Excel versions

MS Excel ke uses

Maine MS Excel mein Excel karna kaise sikha

MS Excel Kaise Sikhe- ONLINE / OFFLINE

Sabse pehle hum jaante hain ki MS Excel kya hai.

MS Excel kya hai

Microsoft Excel poori duniya mein ek sabse zyada use kiya jaane wala spreadsheet program hai. Excel sabse zyada popular bahut saare data ko organised aur effective way mein store karne ke liye hai. Ismein bahut saare features and functions hain jaise ki list banana, charts, information, etc., ko track aur organise karna.

MS Excel Kaise Sikhe- Excel kya hai

MS Excel versions

MS-Excel ke kai versions hain aur ye Microsoft company update karti rehti hai. Maine jab MS-Excel use karna start kiya tha vo version Microsoft Excel 2007 tha. Fir maine 2010, 2013 aur ab 2016 version ka use kara. Microsoft 2016 abhi ka sabse latest version hai.

Josh talks ke courses harazo logo ko help kar rahe hai career mai aage badne ke liye. Iss link par click karke App download kare aur janiye courses ke baare mein

MS Excel ke uses

Microsoft Excel aajkal sabhi industries aur professions mein use hota hai. Pehle ye software usually analysts, consultants, marketing professionals, bankers, aur accountants consistent basis par use karte the.

MS Excel Kaise Sikhe- Excel ke uses

Aajkal ye bahut log apne personal use ke liye bhi use karte hain jaise teachers apne students ke marks ko store karke total aur percentage nikalne ke liye, students apne daily expense ko store karne ke liye, businessmen apni sales ya inventory ke data ko store karne ke liye.

Excel skills hone se bahut logon ke job chances bhi badh jaate hain kyonki har office ke kaam mein data store hota hi hai aur agar aapko iska experience hoga toh aapke liye ye plus point hoga.

Chaliye ab main aapko apna experience bataati hun ki maine MS Excel kaise sikha.

Maine MS Excel mein Excel karna kaise sikha

Maine sabse pehle MS Excel jab mai 6th ya 7th class mein thi tab maine apni teachers ko meri class ke marks ka data ek table form mein store karte hue dekha tha par tab mujhe nahin pata tha ki vo iske liye excel use karte hain, vo mujhe baadme pata chala.

Baad mein jab maine MS-Powerpoint apne school projects ke liye use karna shuru kiya toh mujhe usmein tables aur charts create karna aaya, phir mujhe pata chala ki excel mein data enter karke hum tables directly bana sakte hain aur unke charts bhi bana sakte hain.

Phir maine aise hi Excel khud se sikhni ki koshish ki. Maine aise hi excel sheet mein data enter karke usse format karna shuru kar diya aur phir unke charts create karna shuru kiya, un tables aur charts ka kuch meaning nahin hota tha but mujhe kaise ye cheezein karni hain vo isse pata chal gayi thi.

Aise karte karte maine Excel ke baare mein internet par search karna shuru kiya aur kuch articles aur videos dekhna shuru kara aur un cheezon ko Excel mein saath saath apply karna shuru kiya kyunki mere according agar koi cheez aap sikh bhi le aur usse apply karke na dekhe tab tak uska koi benefit nahin hai. Aise cheezein sikh kar aur unhe apply karte karte maine excel sikha aur aaj mujhe Excel ki Intermediate level ki information hai ye keh sakti hu.

Aapke liye maine ek FREE excel course bhi banaya hai jiska link main is article ke Excel kaise sikhe section mein dala hai.

Bahut hui mere baare mein jankari 😉

Ab chaliye jante hai ki aap MS Excel kaise sikh sakte hain.

MS Excel Kaise Sikhe in Hindi

Ab aayiye jaaniye sabse important sawaal ka javab ki Excel kaise sikhe. MS-Excel aap kai tariko se sikh sakte hain.

Excel Offline aur Online dono tariko se sikha ja sakta hai.

MS Excel Kaise Sikhe-Online/Offline ways

Online

MS-Excel online sikha ja sakta hai jaise ki maine aapko bataya online sources ka use karke. Internet par Excel ke kai courses hain, inmein se kuch free hai aur kuch paid hain.

FREE EXCEL COURSE ONLINE

Pehle hum baat karenge Online Free courses ki. Inpar Excel sikhne ke courses free mein available hote hain.

Josh Kosh FREE Excel full course in Hindi

Maine ek free Excel course banaya hai aapke liye jisko karke aap shuruaat se Excel sikh sakte hai. Yeh course 4 parts mein hai jo basic level se shuru hota hai aur phir advance level tak jata hai.

Iss course ki khaas baat yeh hai ki main aapko Excel examples ya उदाहरण ke madhyam se batayenge.

Tutorial 1: Excel basic level training

Yeh is course ka pehla part hai. Aapko agar Excel bilkul bhi nahi aati to yahan se shuru kare. Is tutorial mein hum sikhege ki MS Excel ki worksheet kya hai aur is mein kaam kaise karte hai aur sheet ki styling kaise karte hai aur basic formulas ke bare mein.

Yahan click karke Excel basic course par jaye

Tutorial 2: Excel basic training part 2 – Excel data analysis basics

Iss tutorial mein hum Excel mein data analysis kaise karte hai woh janenge. Hum sort aur filter functions ke bare mein janenge example ke saath. Phir main aapko Find and replace function sikhaungi.

Yahan click karke Excel basic course part 2 pe jaye

Tutorial 3: Excel formulas aur functions part 1

Iss part mein hum Excel mein functions apply karna sikhenge jaise date,time aur autosum functions . Inn formulas ko kaise apply karna hai iski practice ke liye hum ek example leke chalenge jisse aapko sahi se samajh aa jayega.

Yahan click karke Excel formulas tutorial pe jaye

Tutorial 4: Advance Excel formulas aur functions

Iss tutorial mein hum aapko advanced Excel functions jaise logical aur lookup functions ek example ke saath sikhayenge.

Yahan click karke Excel advanced formulas tutorial pe jaye

Aap niche diye hue top 4 free MS Excel courses ke links ko use karke bhi Excel sikh sakte hain.

1.Microsoft’s Excel Training Center
Yeh website Microsoft ki official help aur support ke liye hai. Ispar apko bahut accurate information aur detailed chapters english mein milenge jisse apko MS Excel ke bare mein sab samajh ajayega.

2.Alison
Ye ek free online courses ki website hai. Yaha par alag alag levels ke courses available hain. Course ko complete karne ke baad aapka ek assessment liya jayega and phir aapko certification ya diploma bhi diya jayega.

3.Coursera
Iss site par aap free mein enroll kar sakte hain. Iss site par content english mein hai. Ismein beginner se lekar advance tak ke courses hain.

PAID EXCEL COURSES

1.Udemy
Iss site par aapko MS Excel ka full course english mein bahut acche se sikhaya gaya hai. Iss site par free courses bhi hain. Ismein Excel sikhaane ke liye examples ka bhi use kiya hai.

2.Lynda
Iss site par aap one month ke liye free mein enroll kar sakte hain but uske baad aapko uss course ke liye pay karna padega.

3.Goskills
Ye bhi ek bahut acchi site hai. Iss site par aap first month trial le sakte hain aur baadmein aap inn courses ke liye pay karke inhe continue kar sakte hain.

Offline

Excel offline sikhne ke kai tarike hain jaise ki aap excel ki coaching classes join kar sakte hain, inke baare mein aap nearby excel classes online search karke bhi pata laga sakte hain. Unke ratings and reviews se unki reputation ke baare mein pata laga sakte hain.

Aap excel ki books bhi khareedkar unse excel sikh sakte hain. Excel ki books aap amazon, flipkart, etc., jaisi online websites par bhi check kar sakte hain.

Agar aap excel ka thoda sa bhi basic jaante hai toh Excel ko better sikhne ke liye koi job jis mein excel ka use ho bhi join kar sakte hain .

Ek aur option hai self-learning, jaise ki maine kiya. Iske liye aap internet ki help bhi le sakte hain.

I hope iss article ko padkar ab aapko ek idea hogaya hoga ki aap excel kaise sikhe. Aur agar aapko iss article ya Excel se related koi bhi query ya doubt hai to aap niche comments section mein comment zarur kare.

Join Josh Skills Basic Computer Skills Course

Aaj kal computer ka zamana hai. Har voh kaam jisme pehle bahut time,effort aur money waste hota tha abh asani se computer pe kiya ja sakta hai. Computer ka istamaal aaj kal har taraf kiya jata hai. Basic computer skills ana aaj ke waqt mai bahat hi zaruri hai. Basic computer skills sikhna isliye zaruri hai take aap apne worklife ko easy aur efficient bana sako. Aur is computer technology ka wisely istamaal kar sako.

Is course mai aap Computer ke Basics pe gaur denge jaise:

  • Basics of a Computer system and it’s operation.
  • Internet Technology
  • Email and Communication
  • Use of Microsoft word, Microsoft Powerpoint and Microsoft Excel
  • Introduction to Advanced Computer skills and tools
  • Jobs that require computer skills

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

Himanshi is an economics student at Delhi University. She likes to juggle around with numbers and take part in data-driven analytical projects. In her spare time, she likes to watch political comedies and is also an aspiring member of ’The Avengers’ ;)

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here