Home Spoken English Learning Tips

13 Beginner Books English Sikhne ke Liye

English Sikhne Ke liye Books

Jab baat aati hai English improve karne ki tab sabse pehla khayal hamare dimag me English sikhne ke liye books ke baare me. Chahe or kitne bhi sources kyu na ho English Improve karne ke, books ki importance to kabhi kam nahi ho sakti. 

Lekin dariye mat, hum aapki classroom vali books ki baat nahi kar rahe hai. Hum baat kar rahe hai un books ki jinko padhne me aapko maza ayega or aap bore bilkul bhi nahi honge. 

Ye English imrove karne vali books aapko kahaniya sunayengi, aapke brain ko sochne me majbur karengi or aapko naye or mazedaar tareeko se sanjha karayengi jisse aap apni English badi hi tezi se improve kar payenge.

English jaldi improve karne ke liye books padhne ki ek habit banana bht zarurui hai, isse hume ye sare fayede hote hai, jaise ki

  • Books read karne se hum roj naye words seekh sakte hai, jisse hamari vocabulary badhti hai.
  • English books padhne se aapki English me sochne ki aadat bhi ban jati hai.
  • English improve karne ke liye books read karne se hamari imagination power badhti hai or hamare andar ki creativity bahar aati hai
  • Jitna jada hum English books read karenge utni jada hamare communication habit achi hogi

To chaliye shuru karte hai aur jaante hai English sikhne ke liye books ke baare me.

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

Hum yaha jo bhi English sikhne ke liye books hai unko 2 categories ke andar batenge

  1.  English speaking course books
  2. English improve karne ke liye Novels

English sikhne ke liye books – English speaking course books se improve kare apni grammar or vocabulary!

English sikhne ke liye ye category me woh books hai jo directly aapki English speaking improve karne me madad karengi. Isme aap basic se advance level tak ki English seekh sakte hai. Aayiye dekhe isme konsi books aapke liye fayedemand rahengi

Book No. 1: “Word Power made easy” by “Norman Lewis

Cover of the book ‘word power made easy’

Jab baat ati hai English speaking course books ki, to ye book aapke liye best option hai. Is book ki madad se hazaro logo ne apni vocab or grammer achi ki hai or aap bhi aesa bht aasani se kar sakte hai.

Is book ki kuch khas bate-

  • Ye book aapki vocabulary kafi had tak achi kar degi.
  • Is book me english speaking practice ki jo exercises hai unki madad se aap words ko bhulenge nahi.
  •  Is English speaking course book se aap alag-alag tareeko se apni vocab or grammar par kaam kar payenge.

Aap is English speaking course book ki pdf yaha se download kar sakte hai.

Book No. 2: “Talk English” by “Ken Xiao”

English sikhne ke liye books - cover of the book ‘Talk english’

Kitni bar aesa hota hai na ki hum grammer ke rules yaad karte hai, vocab ke words yaad karte hai tab bhi English bolte time ya likhte time hame sayad hi kuch yaad rehta hai? Aesa sirf aapke sath hi nahi balki sabhi ke sath hota hai or ye English speaking course book aapko ye sudharne me madad kar sakti hai.

Is book ki khas bate-

Ye aapko words ko pronounce karna ya fir words ko sahi tareeke se bolna sikhati hai. Jo ki English speaking ke liye bahut zaruri hai.

Ye aapki grammer achi karne me help karti hai or iske liye aapko koi grammar ka rule ratne ki zarurat bhi nahi padegi

Agar aap kaam me kafi vyast rehte hai to ye book aapko aapke busy schedule me bhi English improve karne me help karegi

Aap is English speaking course book ki pdf yaha se download kar sakte hai.

Book No. 3: “30 days to a more powerful vocabulary” by “Norman Lewis”

English sikhne ke liye books - Cover of the book ‘ 30 days to a more powerful vocabulary'

Ye English speaking course book bhi Norman Lewis ne likhi hai. Ye book aapko dedicated rehne me madad karegi kyuki ye aapko ek tarah ki deadline deti hai. 30 din yani ki ek mahine ke andar aap apni vocabulary ko sudhar sakte hai.

Vocabulary sudharna kyu hai zaruri?

  • Apne ideas ko dusro tak pahuchane ke liye hame sahi time pe sahi words pata hone chahiye isliye yaha strong vocabulary hamare madad karti hai.
  • Vocabulary achi hone se hame confidence bhi aata hai kyuki hum cheezo ko ache se samajh sakte hai.

Aap is English speaking course book ki pdf yaha se download kar sakte hai.

Book No. 4: “Objective General English” by “S.P Bakshi”

Cover of the book ‘Objective general English’ - English sikhne ke liye books

Agar aap basic level se English improve karna ke liye book chahte hai to ye aapke liye kafi achi rahegi. Isme aap sirf vocabulary hi nahi balki grammer, English ke phrases etc. bhi seekh payenge.

Is book ki khas bate-

  • Isme sab kuch bahut basic level se diya gaya hai jisse ki aap shuruwaat se sab ache se samajh sakte hai.
  • Isme har topic samjhane ke bad aapko practice ke liye exercise bhi milegi jisse aap ko sab kuch clear ho jaye.
  • Aap is book se kisi competitive exam ke liye taiyari bhi kar sakte hai.

English improve karne ke liye Best English Novels

English improve karne ke liye english novels padhne ka ye sabse bada fayeda hai ki aap bore bhi nahi honge or ise padhte padhte aapki communication skills bhi acha ho jayegi. Ye English ki vocabulary sudharne ka bhi bahut acha tareeka hai kyuki aap isme situation ke hisab se us word ko use karna seekh jaynge. To aayiye ab hum apni nazar kuch Best English novels ki taraf late hai-

Book No. 1: “The Alchemist” by “Paulo Coelho”

Cover of the book ‘The Alchemist’ -Books to improve English

Agar aap abhi book read karne ki habit me nahi hai ya aap apni pehli English novel choose karna chahte hai to fir bilkul “The Alchemist” se shuru kare, iske kuch reasons hai ki-

  • The alchemist me author ne kafi saral shabdo ka istemaal kiya hai jisse ki aapko ise padhne me koi dikkat nahi hogi.
  • Ye book jada badi nahi hai to aapko ise dekhke dar nahi lagega.
  • Kyuki is book ki strory kafi interesting hai to aapko ye apni reading habit banane me madad karegi.

English novels for beginners pdf (The alchemist)

Book No. 2: “The Hardy Boys Adventure” by “Franklin W. Dixon”

Book bundle of ‘The hardy boys adventure’ - English sikhne ke liye books

Ye ek series hai 21 books ki, or jo apni English basic level se improve karna chahta hai unke liye ye ek kafi achi choice rahegi. Kyuki ye book series baccho ke liye likhi gayi hai isliye ye beginners ke liye best English novel choice hai

Is book ki khas bate-

–   Isme chote and easy sentences ka istemaal kiya gaya hai jisse padhne me or English improve karne me aasani rahegi

–   Isme readers ki engagement banaye rakhne ke liye mystery or adventure ka ache se use kiya gaya hai, jisse aapki reading habit badhegi.

–   Isme aapko basic vocabulary words bhi milenge jisse aap achi shuruaat kar sakte hai.

English books for beginners pdf (The hardy boys adventures)

Book No. 3: “The old man and the sea” by “Ernest Hemingway”

Cover of the book ‘The old man and the sea’ - English sikhne ke liye books

Ye ek classic American novel hai jiski vajah se isme kayi American expressions ka use kiya gaya hai. Kyi sare school is novel ko apne subjects ke sath me pdhate bhi hai. Ye beginners ke liye best English novel hai.

Is book ki khas bate-

  •  Isme aapko kayi sare English phrases samajhne ke mauke milega jisse aapki English speaking bhi improve hogi.
  •  Aap American writing style ko jaan or samajh payenge.
  • Isme seedhe sentences ka istemaal kiya gaya hai jisse aap confuse nahi honge.
  • Ye book aapki imagination ko use karayegi jisse aap English me sochna bhi seekh sakenge.

English novels for beginners pdf (The old man and the sea)

Book No. 4: “Giant’s Bread” by “Agatha Christie”

Cover of the book ‘Giant’s Bread’ - Books to improve English

Ye book ek chote bache ke nazariye se likhi gayi hai, isme ye darshaya gaya hai ki vo puri duniya ko kis tarah se dekhta hai or kaise vo nayi nayi cheese samajh pata hai. 

Is book ki khas bate-

  • Is book me kayi sare jagah jo difficult words use hue hai unka matlab bhi bataya gaya hai. 
  • Ye read karne me kafi easy or mazedaar hai jisse aap bore nahi honge.

English Novels for beginners pdf (Giant’s Bread)

Book No. 5: “Animal Farm” by “George Orwell”

Cover of the book ‘Animal Farm’ - English sikhne ke liye books

Is book me animals ko insaano ki tarah baat karte hue dikhaya gaya hai. Isme aapko English ki figures of speech ke bare me bhi seekhne ko milta hai.

Is book ki khas bate-

  • Isme animals chote or clear sentences me baat karte hai. Jisse aapko padhne me aasani rahegi.
  • Ye book jada lengthy nahi hai or aasani se aapki attention capture karke rakhegi.

English novels for beginners pdf (Animal Farm)

Book No. 6: “The harry potter series” by “J.K Rowling”

Book bundle of ‘The Harry Potter series’ - English sikhne ke liye books

Harry potter ki movies to bahut famous hai, aapne bhi isko dekha ya iske bare me beshak suna to hoga hi. Ye jitni interesting hai utni useful bhi hai beginners ke liye. Ye aapko English seekhne me kafi madad karegi.

Is book ki khas bate-

  • Isme aap naye naye vocabulary ke words seekh sakte hai.
  • Isme sabkuch kafi easy shabdo me diya gaya hai. Or seedhe sentences ka use kiya gaya hai jisse aap bore nahi honge.
  • Ye ek badi series hai, isse aapki reading habit bhi achi hojayegi.

English Novels for Beginners pdf (The harry potter series)

Book No. 7: “Tuesdays with Morrie” by “Mitch Albom”

Cover of the book ‘Tuesdays with Morrie’

Is book me ek professor or student ke beech ho rahi baat cheet ko dikhaya gaya hai. Aap unki conversation ko observe karke apne communication skills ko acha kar sakte hai.

Is book ki khas bate-

  • Ye ek emotional book hai, iske vajah se ye aapko apne emotions ko ache se English me badalne me madad karegi.
  • Is book se aap roj ke din me ho rahi bato or phrases ko English me smajh payenge. Isse aap un sentences ko roj use bhi kar sakte hai.

English novels for beginners pdf (Tuesdays with morrie)

Book No. 8: ‘The Jungle book’ by ‘Rudyard Kipling

Cover image of 'The Jungle book' - English sikhne ke liye books

Jaise ki Animal farm me janvaro ko bat karte hue dikhaya gaya hai usi tarah The jungle book me bhi dikhaya gaya hai. Ye bhi baccho ke liye likhi gayi thi jiski vajahse is novel ki language kafi easy or clear hai, aap apni english improve karne ke liye ise aaram se chun sakte hai.

Is book ki khas bate:

  • Saaf or saral sentences ka istemaal kiya gaya hai jisse beginners aaram se smjh sakte hai.
  • Aap ye english novel padhte hue english ki figures of speech bhi samjh payenge.

English books for beginners pdf (The Jungle Book)

Book No. 9: ‘The Arabian Nights- The best known tales by Smith, Wiggin and Parish

Cover image of 'The Arabian Nights'

The Arabian Nights ek kafi jani maani kahani hai. Aapko ise padhne me bhi kafi maza ayega or aap bore to bilkul bhi nahi honge. Jaise ki hum upar bhi baat kar chuke hai ki beginners ke liye reading ke flow me aana ek bahut important baat hai. Or vo flow shuru karne ke liye aapka novels ko enjoy karna bahut hi zaruri hai, isliye The Arabian Nights aapke liye ek achi novel choice rahegi.

English novels for Beginners pdf (The Arabian Nights)

Apni pehli book humko kafi soch vichar karke select karna chahiye, kyuki agar aapko vo pasand nahi aayi ya aapko uska koi acha asar nahi dikha to aap apna interest kho sakte hai. Or jitna hum books ka istemaal karenge utni tezi se hum apni English improve kar sakte hai.

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

NO COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Sikhe Nayi Skills aur Paye Apni Dream Job. Download Josh Skills App

X