Safalta Ki Seedhiyan: Dr. Aditya Sharma Ki UPSC Ki Kahani
February 26, 2024

4 Minutes

Dr Aditya Sharma ki IAS success story
UPSC Civil Services Examination pass karne aur IAS banne ka sapna to shayad kai saare aspirants dekhte honge. Magar ise bahut kam students hi poora kar paate hain kyunki is sapne ko poora karne ke liye zaroori hai mehnat, sangharsh aur chunauti. Iske baad hi aap apne goal ko haasil kar sakte hain. Isiliye aaj hum aapke liye Dr. Aditya Sharma ki kahani lekar aaye hain. Aditya ne 2022 mein apne pehle attempt mein hi 70 rank ko haasil kiya aur aaj voh IAS ke pad par karyarat hain. Aaj hum is article mein jaanenge ki Aditya ne apni tayyari kaise ki?
Medical ke Dauraan Kiya UPSC ki Tayyari
Looking for UPSC Coaching?
Aditya aaj ke samay mein ek IAS officer hain aur inka talluk Chandigarh se hai. Vahi Aditya ne apni padhai Chandigarh se hi ki hai. Aditya bachpan se hi padhne mein kaafi hoshiyaar student rahe hain. Vahi unhein ghar mein bhi hamesha padhai ka mahaul mila hai. Unki badi behan bhi medical kar rahi hain aur unki maa ek teacher hai. Isliye Aditya ko aisa laga ki unhein medical field se thoda hatkar kuch karna chahiye. Is par unki behan ne unhein salah diya ki tum UPSC ki tayari karo. Kyunki tumhein bachpan se akhbaar padhna, likhna ye sab bahut pasand hai to tum civil services mein apna bhavishya bana sakte ho.
Vahi jab Aditya apne medical ke third year mein pahunch gaye tab unhone UPSC ki tayyari shuru ki. Is dauran unka internship bhi chalta raha. Magar woh kabhi bhi kisi cheez se compromise nahi karte the aur saari activity mein participate karne ke baad padhai bhi kiya karte the. Is dauraan Aditya ki maa unhein kaafi prerit karti thi. Vahi shuruaat ke dino mein Aditya ko laga ki voh nahi 5,6 class ke NCERT ko woh nahi padh payenge. Isliye unhone sirf 11vi ki NCERT se tayari shuru ki.
Apne Goal Par Karein Focus
Samay ke saath-saath kayi saare students apne goal se bhatak jaate hain. Magar apni tayyari ke samay apna poora focus sirf padhai par rakhna chahiye. Halanki Aditya ke saath bhi kayi baar aisa hua hai. Aditya ko kayi baar aisa lagta tha ki unke dost aage badh rahe hain. Koi trip par ja raha hai, koi masters ki tayyari kar raha hai, maine kahin galat decision to nahi le liya. Magar aise samay par Aditya ne khud ko sambhala aur UPSC ki tayyari mein khud ko jhonk diya. Ye faisla Aditya ke liye kaafi ahem hua. Kyunki voh apne pehle attempt mein pre aasani se aur achhe score ke saath nikal liye. Isiliye sabhi aspirant ko hamesha in cheezon ka dhyan rakhna hai aur apni tayyari par focus karna hai.
IAS Aditya Sharma on Josh Talks
Also read: IPS Manjita Vanzara: Weaving Empathy and Transformation in Policing
Looking for UPSC Coaching?
Self-study hai Sabse Bada Mool Mantra
Aditya ka manna hai ki koi bhi teacher ya koi bhi mentor aapka exam nahi qualify karwayega. Iske liye aapko khud prepare karne ki zarurat hai. Jab tak aap apni tayyari mein khud ko nahi lagayenge aapko uska benefit nahi milega. Isiliye aap khud se tayyari karen. Aditya apna study material khud banate the aur use padhte the. Iske alawa GK, GS ka test voh alag-alag institute ka dete the aur unke questions ka material banate the. Isse unki tayyari kaafi achhi hone lagi. Vahi Aditya ka mains bhi kaafi achhe marks se clear ho gaya.
KSG Test se Mila Motivation
Aditya apne mains ke baad interview ki tayyari mein lag chuke the. Iske liye unhone KSG ka mock test Delhi mein diya. Is test ke baad unhein ek alag sa confidence aaya. Kyunki is mock test ke baad unhein Khan Sir ka personal review mila. Iske baad woh apne un sabhi points par kaam karne lage, jiski zarurat unhein interview mein thi. Iske baad jab Aditya ne interview diya to unka interview bhi bahut achhe marks se qualify ho gaya. Vahi unhein 70 rank haasil hui.
Nishkarsh
Looking for UPSC Coaching?
Aditya ne apne do saal ki tayyari mein UPSC ko pehle attempt mein clear kiya. Aapko bata dein, ye bilkul bhi aasan nahi hai. Magar Aditya kuch cheezon mein khud ko hamesha involve rakhte the, woh hamesha question practice karte the aur current affairs padhna nahi chodte the. Iske karan unka exam pehle attempt mein clear ho gaya.
Aditya ka kehna tha ki voh apni tayyari lagataar kar rahe the. Ismein unhone kabhi break nahi liya. Poore syllabus ko point se padha. Uska material khud taiyaar kiya. Iske baad jaakar unka UPSC clear ho paaya hai. Agar ye sabhi mool mantra aap apni tayari mein bhi shamil karte hain to aap bhi apne jeevan mein kaafi aage badh sakte hain. Agar aap ye kahani khud Aditya se sunna chahte hain to niche diye gaye link par click karen.
Also read: From a Mischievous Kid to an IAS Ranker: Aaditya Pandey’s Journey of Finding UPSC Motivation Within
Looking for UPSC Coaching?
More news and ideas from Josh Talks
Table of Content
Medical ke Dauraan Kiya UPSC ki Tayyari
Apne Goal Par Karein Focus
Self-study hai Sabse Bada Mool Mantra
KSG Test se Mila Motivation
Nishkarsh
Recommended for you
