rrb paramedical recruitment 2019 ki jaankari

RRB Paramedical exam har saal medical se juri railway mein selection ke liye exam conduct karvata hai. Iss saal yeh exam 1937 posts ke liye conduct ho rha hai. RRB Paramedical ne iss saal paramedical exam 19th July se 21st July tak conduct karvaya tha. RRB Paramedical Exam 2019 inn posts ke liye hua tha Dietician, Staff Nurse, Dental Hygienist, Dialysis Technician, Extension Educaser, Health aur Malaria Inspecser Grade II, Lab Superintendent Grade III, Opsemetrist, Perfusionist, Physiotherapist, Pharmacist Grade III, Radiographer, Speech Therapist, ECG Technician, Lady Health Visiser aur Lab Assistant Grade II. RRB Paramedical Admit Card ki puri jaankari ke liye iss article ko dhyan se padhein.

RRB Paramedical Admit Card 2019 kaise download kare?

STEP 1: Sabse pehla RRB paramedical ki official website par jaye apna RRB paramedical admit card 2019 nikalne ke liye. Aapko uss website ko kholna hai jis state se aap yeh exam de rha hai.

STEP 2: Official website kholne ke baad , Notice Board aayega ussme agar aapko amit card aa gya hoga toh uski update aayegi. Agar update aayi hui hai toh aap uss par click kare.

STEP 3: Uske baad ek login ka page khulega jis mein aapko apna date of birth aur registration number fill karna hoga. Fir submit par click kare apna RRB Paramedical admit card 2019 nikalne ke liye.

STEP 4: Submit par click karne ke baad aapki details ka ek page khulega.

STEP 5: Issi page par neecha scroll kare aur ‘Click here to view city intimation’ par click kare.

STEP 6: Aur uske baad jo page khulega uss par ‘click here to download’ par click karke apna RRB Paramedical admit card 2019download kare.

STEP 7: Aapka admit card download ho chuka hai. Iss par aapko saari details milegi ki aapka paper kis city mein ho rha hai.

RRB Paramedical Selection Process

RRB Paramedical ka selection do phases mein hota hai.

PHASE I : Sabse pehla aapka Computer Based Test hota hai. Yeh test aisa hota hai-

  • RRB Paramedical exam computer based MCQ paper hota hai
  • Paper mein 100 questions aate hai jisko karne ke liye 90 minutes diye jaate hai aur PwBD candidates ko 120 minutes diye jaate hai.
  • Paper mein one-third negative marking hogi wrong answer ke liye.

RRB Paramedical 2019 paper format

SubjectQuestion NumberMarks
Professional Ability7070
General
Awareness
1010
General
Arithmetic
1010
General
Science
1010
Total100100

PHASE II: Jo bhi candidate computer based test clear kar leta hai uska phir medical examination test hota hai. Eligible candidates ko railway hospital bulaya jaata hai. Medical standard ki range B1 se C2 category tak hoti hai. Jin bhi candidates ko koi physical defect hota hai jaise glasses pehna vaale, color blindness, flat foot etc unah final appointment ke liye nahi bulaya jaata hai. Yeh humne last year ki information ke basis par diya hai.

RRB Paramedical Syllabus 2019 ki puri jaankari ke liye click kare

Hum umeed ki aapko RRB Paramedical Admit Card 2019 ko kaise download kare ki sari jankaari mil gayi hogi agar aapko aur bhi koi sawaal hai toh neecha comment box mein likhein.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here