
Life Insurance Corporation of India (LIC) ne Assistant recruitment 2019 ki notification publish kardi hai. Ye LIC Vacancy All India hai aur 8 zones mein nikali hai. Interested candidates LIC Assistant Recruitment ki eligibility aur baaki jaankari niche padhe.
LIC Assistant Recruitment Notification aa gayi hai. Online application process shuru hogayi hai.
Iss article mein LIC Assistant Recruitment ke baare mein jaane:
LIC vacancy recruitment eligibility
LIC assistant selection process
LIC Assistant recruitment 2019
Life Insurance Corporation of India (LIC) ne eligible Indian citizens ke liye LIC Assistant post ke liye All India recruitment shuru ki hai. Selected candidates ko LIC ke alag alag branch offices mein recruit kiya jaayega. Ye recruitment process online kia jaata hai. Assistants ki appoitment clerical duties karne ke liye hoti hai jaise cashier, single window operator, customer services executive etc.
Salary: Basic pay Rs. 14435/- per month hai. Iske alava allowances diye jayenge jaise ouse Rent Allowance, Travel Allowance and Dearness Allowance. Gross salary Rs 30,000/- per month tak hoti hai.
LIC Vacancy Exam Dates 2019
Event | Date |
Online application start date | 17-09-2019 |
Online application Last date | 01-10-2019 |
Date for Download of Call Letter of Online Preliminary Exam | 15 to 22-10-2019 |
Date for Preliminary Exam | 21 & 22-10-2019 |
LIC assistant vacancies 2019
Iss post ki vacancy 8 zones mein 7871 vacancies nikali gayi hai.
Zones | Vacancies |
Northern Zone | 1544 |
North Central Zone | 1242 |
East Central Zone | 1497 |
Eastern Zone | 980 |
Central Zone | 472 |
South Central Zone | 632 |
Southern Zone | 400 |
Western Zone | 1104 |
Note: Har zone ki alag alag notification hai. Notification ke liye niche link par click kare.
LIC Assistant zone wise notification 2019
LIC Assistant eligibility
Age limit: Minimum 18 years (02.09.2001) aur Maximum 30 years (02.09.1989) as on 01.09.2019. Ye age limit unreserved candidates ke liye hai. Reserved categories ke candidates ke liye upper age limit mein relaxation di jaati hai.
Age relaxation
Sl. No. | Community/categories | Relaxation in upper age limit |
1 | SC/ST | 5 Years |
2 | OBC | 3 Years |
4 | PwBD (Gen) | 10 Years |
5 | PwBD (SC/ST) | 15 Years |
6 | PwBD(OBC) | 13 Years |
7 | Ex-serviceman | Defence service period + 3 years (maximum age of 45 years) |
8 | Confirmed LIC employees | 5 years |
LIC Assistant educational qualification
Bachelor’s degree hona zaruri hai kisi bhi recognized University/Institution se. Graduation kisi bhi field mein ho sakti hai.
LIC vacancy Online Apply 2019
Step 1: LIC ki official website par jaaye licindia.in aur niche ‘Careers‘ par click karke ‘Recruitment of Assistant’ par jaaye.

Step 2: Iske baad Next page par click karke Zone wise notification ka page open hoga. Apne zone ki notification download karke use ache se padhlein.
Step 3: ‘Click here to Apply Online‘ par click karke ‘New Registration‘ par jaaye aur apne aapko register kare.

Step 4: New Registration mein apni details jaise Name, email Id, Phone number etc fill karne ke baad ek Provisional Regsitration number aur password generate hoga jisse aapko note down karna hoga. Ye details aapko email aur SMS ke through bi send kardi jayegi.
Step 5: Registration ke baad application form fill kare. Saari details sahi fll kare aur aapki details documents se match honi chahiye. Details fill karne ke baad apni Photo, Signature, Declaration upload kare rules ke according.
Rules ke liye notification padhe
Step 6: Submit karne se pehle apni application ka ‘Preview’ karlijiye kyunki ek baar submission ke baad changes nahi kar sakte. Application ko submit karne ke liye ‘FINAL SUBMIT Only’ button par click kare aur ‘Payment’ kare.
Step 7: Payment successful hone ke baad ‘Submit’ button par click kare.
Application fees
SC/ST/PwBD candidates | Rs. 85/- + GST+ Transaction charges |
Baaki sab candidates ke liye | Rs. 510/- + GST+ Transaction charges |
IBPS Clerk 2019 ki application khul chuki hai. Notification ke liye yahan click kare
LIC Assistant selection process
LIC iss post ki recruitment 3 phase mein karega:
Phase 1: Online Preliminary Exam
Phase 2: Online Mains Exam
Phase 3: Pre recruitment Medical Exam
LIC Assistant recruitment exam pattern
Phase 1: Ye exam online conduct hoga aur Objective exam hoga jismein total 100 marks puche jayenge.
Section | Questions | Marks | Exam Medium | Minimum Qualifying marks SC/ST/PwBD | Minimum Qualifying marks Others | Duration |
English/Hindi Language | 30 | 30 | English/Hindi | 11 | 12 | 20 minutes |
Numerical ability | 35 | 35 | English/Hindi | 13 | 14 | 20 minutes |
Reasoning Ability | 35 | 35 | English/Hindi | 13 | 14 | 20 minutes |
Total | 100 | 100 | 1 hour |
Phase 2: Ye exam online conduct hoga aur Objective exam hoga jismein total 200 marks puche jayenge.
Section | Questions | Marks | Exam Medium | Minimum Qualifying marks SC/ST/PwBD | Minimum Qualifying marks Others | Duration |
General English | 40 | 40 | English | 14 | 16 | 30 minutes |
Quantitative Aptitude | 40 | 40 | English/Hindi | 14 | 16 | 30 minutes |
Reasoning Ability & Computer Aptitude | 40 | 40 | English/Hindi | 14 | 16 | 30 minutes |
Hindi Language | 40 | 40 | Hindi | 14 | 16 | 30 minutes |
Total | 200 | 200 | 2 hour 30 minutes |
Phase 3: Selected candidates Medical test kiya jayega aur Medically fit candidates ko appointment dedi jayegi.
Latest Sarkari Naukri Updates
IBPS Clerk 2019 ki application khul chuki hai. Notification ke liye yahan click kare