sports career ki puri jaankari

Bachpan se bade hone tak, aur uske bad bhi, har kisi ko kisi na kisi sports yani kehl kud mein interest raha hai. Kayiyon me sports ko lekar by birth passion raha hai aur agar aap unme se ek hain jo sports mein apna career banana chahte hain, toh apko janker khusi hogi ke sports industry aapko kaafi saari opportunities de sakti hai. Toh ab ye kehna galat nahi hoga ke

Padhoge likhoge hoge nawaab, par kheloge kudoge toh banoge naayaab

Toh ayiye, is article se jante hain ke hum sports mein career kaise bana sakte hain aur kaise pa sakte hain ek naayaab jindagi, jo apko kamyabi tak lekar jaye –

Toh ayiye, jaane ke kaise bana sakte hain sports mein ek behtareen career aur kaise pura karein apne sapne ko –

Sports mein career kaise banayein?

Sabse pehle toh aap ye decide karein ke wo kon sa sports hai jiske taraf apka bachpan se rujhaan raha hai. Wo kon sa khel hai jo aapne bachpan se dekhna aur kehlna pasand kia hai aur agar apka career usi sports mein ban jaye toh aapki ek bhot badi khwaish puri ho jayegi. Jaise hi aap ye decide kar lenge ke apka interest kis sports mein hai, aap us sports mein career banane ka pehla step clear kar lenge.
Sports industry mein variety of job options available hain aur kayiyon ki apko jaankari bhi nai hogi. In jobs ko paane ke liye, hum apko kuch general tips bata rahe hain jo ki apka sports career start karne me kaafi help karega.

Sports career – Beginners Tips

Apne Interest ko follow karein — sochiye ke wo kon sa sports hai jisme apko sabse jyada interest hai aur aap us field mein kya banna chahte hain.

Guidance lein — agar apke school, college mein ya apka koi known sports ki jankari rakhta hai toh ussey guidance jarur lein, aur wo sports select karein jo apke liye perfect fit hai.

Apne Skill ko develop karein — ye determine karein ke kaise aap apne skill ko sports career mein convert karenge.

Plan banayein aur follow karein — Ek plan banayein aur goal set karein. Humesha dhyaan rakhein ke apko apne goal tak pahunchne ke liye apne plan ko follow karna jarurui hai.

Expereince lein — Chosen field mein experience gain karne ki kosish kariye, wo experience apko apke career mein grow karne me help karega. Iske alawa internships, work-study, part-time aur summer jobs, or even volunteer opportunities ko hath se jane na dein.

Entry level job — entry-level positions or jobs ko dhyaan mein rakhein. Ye apke career me ek stepping stone ki tarah kaam karega aur apko experience aur career ke liye path chunne me help karega.

Network badhayein — professional organizations, online professional networks and conferences attend karke apna knowledge base aur reach badhayein.

Sports mein career banane ke fayede

Kayi logon ko lagta hai ke sports me career banane ke liye apko athletic ya kisi ek sports me accha performer hona jaruri hai. Jabki sports industry kaafi badi hai aur isme variety of jobs available hain jiske liye apko athletic hone ki jarurat nahi hai aur koi bhi is field mein career pursue kar sakta hai. Toh kaha ja sakta hai ke sports ek esa versatile field hai jisme har kisi ke liye opportunity hai. Isilye hum kuch ese points lekar ayein hain jo apko batayega ke sports mein career banane ke kya fayede hain –

Job options
Sports mein career banane ka ek sabse bada benefit hai ke isme multiple job opportunities hain. Agar aap athlete banna chah rahe hain but kisi reason se aap apne aapko us specific profile me fit nahi pate hain, tab bhi aap dusre options chun ke apna ek secure aur respectful job le sakte hain jaise coaching or working with athletes.

Earning Potential
Agar aap already sports mein compete kar rahe hain aur as a professional athlete career pursue karna chahte hain, toh ek chiz jo apke sabse jyada motivate karegi wo hai potential. Professional athletes jaise ki soccer ya football players, basketball players, baseball players, cricketers ki earning kaafi acchi hoti hai. Agar aap sports ko lekar dedicated hain aur humesha apne aapko sports profession mein rakhna chahte hain toh sports apke liye right choice hai.

Progression aur Promotions
Agar aap sports industry mein kaam karne k liye passionate hain aur apne life me sports mein hi kamyabi achieve karna chahte hain toh sports industry apko behtareen opportunities provide karega. Jaise jaise aap experince gain karte jayenge apka career improve hota jayega aur ek higher-paid profile aur senior positions bhi mil jayegi.

Health benefits
Agar aap apna lifestyle aur health humesha accha rakhna chahte hain, toh sports mein career apko ek easy way deta hai jissey aap apne aap ko humesha healthy and fit rakh sakte hain. Iske alawa sports apko apki life mein motivated, focused aur disciplined rakhta hai jo ke ek ideal life ke sapne ko pura kar sakta hai.

Sports industry mein kon kon se career options available hain?

Sports industry mein kafi wide level pe jobs options available hain. Agar aap ek athlete nahi bhi hain toh bhi apke liye sports industry kaafi opportunities lata hai.
Pehle ke comparison mein aaj ke date me sports industry mein occupational areas badh hi rahi hain. Aur ab females bhi utni hi actively sports industry ke jobs mein part le rahin hain. Toh ayiye jaane sports industry apko kon kon se job opportunities de sakta hai –

Fitness Directors

Fitness directors wo professionals hain jo ki individual aur group ki fitness activities ka dhyaan rakhte hain, including fitness facilities, hotels, and corporations. Iske alawa Fitness Directors health education programs ko develop karne ka kaam bhi karte hain.
Fitness Directors me multiple roles hote hain jaise –

Fitness Program Coordinator

Academic Requirements
Bachelor’s Degree
(Fitness Management. Health and Fitness, or related)
Master’s Degree
(Health and Fitness Management, Exercise Physiology, or equivalent)

Fitness Director

Academic Requirements
Bachelor’s Degree
(Fitness Management. Health and Fitness, or related)
Master’s Degree
(Health and Fitness Management, Health Business Management, Exercise Physiology, or equivalent)

Therapeutic Recreation Director

Academic Requirements
Bachelor’s Degree
(Fitness Management. Health and Fitness, or related)
Master’s Degree
(Health and Fitness Management, Health Business Management, Exercise Physiology, or equivalent)

Sports and Fitness Coordinator

Academic Requirements
Bachelor’s Degree
(Fitness Management. Health and Fitness, or related)
Master’s Degree
(Health and Fitness Management, Health Business Management, Exercise Physiology, or equivalent

Coaches

Schooling se lekar professional sports tak, coaches ki demand hoti hai. Har level ke sath different responsibilities aati hain aur different educational backgroud se lekar different sports ke liye coaches ki jarurat hoti hai.

Professional sports mein coaches ki kaafi prestigious coaching positions hoti hain. Ek high level coach banne ke liye shuruwat college coaches or athletes ki ja sakti hai aur fir dhire dhire aap head coach ke level tak pahunch sakte hain. Kyunki ek head coach ki responsibility hai ke wo team organize, direct and motivate kare so usey apne sports ko lekar kaafi passionate hona jaruri hai.

Yahan humne 2 level pe coaches ki profile define ki hai –

1 – High School Coaches

Education Requirements
Ek high school coach ke pas atleast bachelor’s degree aur teaching license hona jaruri hai. Inke pas education degree ya fir Exercise, Kinesiology, Physical Education, or relevant field mein degree hona jaruri hai. High school coaches ka CPR (Cardio-Pulmonary Resuscitation) certified hona jaruri hai. Iske alawa high school coach drug test and background test bhi pass karna hota hai.

Experience
High school coaches ko sports coach rules aur regulations. High school coaches basically sports strategies taiyar karwate hain. Har ek sports ke season mein ek coach ko naye changes ko authorize aur implement karna hota hai.

2 – College Sports Coaches

Education Requirements
College coaches k pas kam se kam ek Bachelor’s degree ka hona jaruri hai. Iske alawa college sports coaches ko Athletic Coaching, Sports Science, Physical Education, or another sports-related area mein experience hona jaruri hai. College coaches k pas CPR (Cardio-Pulmonary Resuscitation) certification, first aid certification, aur kisi state or institution-specific certifications hona jaruri hai.

Note – Current position coaches, coordinators, aur assistant head coaches, NCAA (National Collegiate Athletic Association) ya NFL (National Football League) coaches Academy ke liye apply kar sakte hain jo ki athletics education aur training mein help karega.

Experience
Ek acche level pe college coach banne ke liye shuruwat school ke coach bankar ki ja sakti hai. Coach ek esa profession hai jo ki experience ki demand karta hai aur uske liye entry-level pe hi sahi par shuruwat karna jaruri hai. After all, kisi bhi player ko tranin karne ke liye apka ek well qualified coache hona jaruri hai.

General Managers

General manager (GM) ki position kisi bhi sports organization mein sabse higher position maani jati hai aur is position ke sath hi aati hai kaafi badi responsibility. General manager team ke saare business matters handle karta hai, including budgets and revenues, bhale aap college level pe ho ya professional level pe. Iske alawa jab bhi koi press conferences ya koi events hota hai, ek General manager hi spokesperson hota hai. Is position mein kaafi travel karna pad sakta hai jissey ki ye profile kaafi time consuming hai and life ko busy rakhta hai.

Job Requirements
Baki responsibilities ke alawa, GM contracts and trade deals ke negotiations ko handle karta hai. Professional sports level pe, GM ki responsibilities hai head coaches ko hire karna aur administrative positions ka dhyaan rakhna. GM directly team owner ke under kaam karta hai but player-related decisions ke mamle mein final veto power DM ke hath mein hoti hai. Aur isilye, GM ka confident, strong-willed, aur passionate hona kaafi important hai.

Education
Waise dekha jaye toh GM banne ke liye apka experienced holder hona jaruri hai but iske alawa GM banne ke liye atleast graduate hona important hai. Business administration, sports management, ya physical education mein bachelor’s degree aur sports mein ya coaching mein experience important hai.

Sports Journalism

Sports industry me unke liye bhi bhot scope hai jo ki behind-the-scenes kaam karna chahte hain. Sports journalism kaafi variety of career options deta hai jaise online media, print aur broadcast journalism. Niche hum different kind of Sports Journalism aur unke liye education ki baat karenge –

1 – Sports Announcer/Commentator

Sports announcers kisi bhi game ke relevant aspects ko discuss karte hain on live radio ya television. Unka main role hota hai players ya coaches ki interviews conduct karna. Sports announcing mein job kaafi competitive hota hai, aur kam se kam sports journalism ya related field mein bachelor’s degree aur sports and writing mein experience hona jaruri hai.

Education

Sports announcers banne ke liye usually local level, college ya school level pe radio broadcasts mein involved hona jaruri hai. Iske alawa aap kisi commercial radio stations me paid ya unpaid internship bhi kar sakte hain.

2 – Sports Radio Show Host

Sports radio hosts ka role announcers se different hota hai. Is role me host ko har sports ke bare me ek basic knowledge hona jaruri hai taki wo latest news ke bare me discuss kar sakein. Aur agar aap kaafi lucky hue toh apka apna show bhi ho sakta hai jahan aap athletes and coaching staff ki interviews le sakte hain.

Education

Ye ek competitive field hai aur generally ye role kisi players or coaches ke dwara acche tarike se nibhaya ja sakta hai, isilye sports journalism, radio broadcasting, or communications mein bachelor’s degree ka hona jaruri hai. Iske alawa kisi local radio station se as an intern bhi broadcasting experience lia ja sakta hai jo ki.

3 – Sports Writer

Sports writers ka role hota hai apne fans ko latest sporting news ke bare me up-to-date rakhna aur har ek aspect pe apne opinion ko express karna. Kuch topics jo ki ek sports writer cover karta hai that includes game play predictions, drafts, trades, coaching, aur individual players. Iske alawa newspaper sports writer bhi ban sakte hain aur freelancing bhi kar sakte hain.

Education

Education requirement mein apke pas sports journalism, communications ya kisi equivalent field me bachelor’s degree ka hona jaruri hai. Aur iski shuruwat aap school ya college level pe apne school magazines ya newsleter ke liye likhkar kar sakte hain.

Sports Medicine Careers

Sports medicine ek orthopedic specialty hai jo ki injuries heal karne ya athletic training related traumas ko focus karti hai. Medical doctors (MD) aur osteopathic physicians (DO) ese do profiles hain jo ke is role ke liye fit hain. Iske alawa sports medicine mein other health care professionals bhi include kiye jate hain jo ki acute ya chronic injuries ko treat karte hain aur athletes ko overall health improvement ke liye advise karte hain.

1 – Doctor of Osteopathy

Doctors of Osteopathic Medicine (DOs) or Osteopathic Physicians, athletic injuries ko heal karte hain. Medical doctors (MDs), ki hi tarah DOs ko 4 saal ka medical school karna hota hai.

Education

DO banne ke liye in degrees ka hona jaruri hai – Bachelor’s, Doctor of Osteopathic Medicine, Residency, Fellowship, Licensure, Board Certification in Sports Medicine.

2 – Medical Doctor

Medical Doctors sports medicine mein specialized hote hain. MD athletic injuries jaise ki strains, sprains, and fractures ka dhyaan rakhte hain. Aur is specialization ke liye MD ko musculoskeletal system mein extensive training leni hoti hai. Iske alawa ye doctors, chronic conditions ka bhi dhyaan rakhte hain aur patients ko health and nutrition management mein advise dete hain.

Education

Iske liye apke pas ye kuch degree ka hona jaruri hai – Bachelor’s (4 years), Doctor of Medicine (4 years), Residency (3 years), Fellowship (2 years).

Athletic Trainer

Athletic Trainers wo healthcare professionals hote hain jo ki sports medicine team ke sath milkar medical care provide karte hain. Iske liye bachelor’s degree ke bad kam se kam do saal ka clinical experience lena must hai. Athletic trainers dwara provide ki jaane wali kuch services hain – preventative services, emergency care, clinical diagnosis, aur rehabilitation. Most cases me ek bachelor’s degree ka hona sufficient hai to obtain an entry-level position.

Sports industry mein career ke liye kahan apply karein

Picchle kuch saalon me India mein sports career mein kaafi growth dekhi gayi hai. Aur iska karan hai logon ka sports ki aur rujhan aur isme teji se badh rahe career options. Magar sawal ye hai ke kya aap bhi har un opportunities ke bare me knowledge rakhte hain jo apko apke sapne ke karib le jayega? Toh ayiye jaante hai ke aise kon se institutes ya organisations hain jahan aap apne dream career ki shuruwat kar sakte hain –

Inke alawa aap kisi bhi general naukri dilane wale platforms pe jaker sports job ke liye apply kar sakte hain jaise –

Sports ek kaafi fascinating field hai jisme aap career bana sakte hain. Agar apka kaam bhot accha raha toh bhot jald hi aap is field mein naam aur sauhrat pa sakte hain. Sports me career banana ek mushkil task hai lekin namumkin nahi. Isilye kosish karein ke kisi tarah ek bar apke favorite sports pe entry-level job le lein taki us profile me agey badhne me madad miley.

Aur agar abhi bhi aap sports mein career se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh humare Facebook group par ayiye aur apna sawal pucchiye, hum apki poori madad karenge. Group se judne ke liye niche click karein.

 

3 COMMENTS

  1. I am good player games runing and kho kho and any one games I am playing but I don’t know I will make good player and games kese phuchu gi what tak ja me Jana chati hu

    • Hi Seema, aap apne games mein agey badhne ke liye school level / college level, district level, state level aur isi tarah agey ke har levels mein bhaag lekar agey badh sakti hain.
      Iske alawa agar aap uper diye gaye dusre sports related job options jaise coach ya trainer mein jana chahti hain toh aapko ek entry level job lene ki koshish karni chahiye.

      Sports mein agey badhne ka bas ek hi rule hai, ke apne game ko har din strong banaye aur khub practice karein.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here