Call Centre ya BPO job interview mein kya pucha jata hai

Call centre ya BPO job interview ki puri jaankari iss article mein padhe. Call centre job karne ke bahut fayde hai. Call centre mein logo ki personality par kaam kiya jaat hai aur unko groom kiya jaata hai. Bahut saare fresh college graduates apne career ki start call centre/BPO job se hi karte hai.

Aap neeche diye gaye section par click karke apna topic asaani se padh sakte hai

Voice process interview round ki puri jaankari

Non-Voice process interview round

Question Bank

Zaruri documents

Call Centre ya BPO job interview rounds Voice-Process ke liye

Call Centre/BPO mein selection hona zyada tough nahi hai lekin uske liye interview ki taiyari acche se karna zaruri hai.

Call centre job ke liye generally ye rounds conduct kiye jaate hai:

  1. Screening Interview
  2. GAT
  3. Group Discussion
  4. Computer proficiency test
  5. Final Personal Interview (HR)

Call Centre ya BPO interview rounds Non-Voice/Chat Process ke liye

Voice and Non-Voice Process ke interview mein thoda hi difference hota hai. Jaise Voice Process mein communication skills pa zyada focus hota hai, usi tarah Non-Voice Process mein writing skills par zyada focus hota hai kyunki ismein client se interaction mails/chat ke through hota hai. Ek aur baat jo important hai wo ye hai ki har round ko clear karna equally important hai because jo bhi round clear nhi hoga usmein aapko pure interview process se eliminate hi kar diya jayega.

  1. Written Test
  2. Typing Speed Test
  3. GAT 
  4. Final Personal Interview (HR)

Call centre job ke baare mein aur jaankari ke liye yaha click kare

 Voice-Process interview ke rounds ki jankaari

  1. Screening Interview

Screening Interview ke dauraan recruiter do cheeze check karte hai:

  • Accent (words ko pronounce karne ka tarika)
  • Field Knowledge (kaam ke baare me basic knowledge)
Accent

Voice process ki job ke liye ek accha aur clear accent ek basic requirement hoti hai jisapar recruiter focus karte hai. Ismein wo aapse koi bhi general sawaal puch sakte hai ya phir kuch words ki list bhi de sakte hai jo apko bolne honge. Isse recruiter bas aapki language fluency check karte hai.

  1. Aapne subah naashte mein kya khaya? (What did you have in your breakfast?) 
  2. Apne bare mein btaye. (Tell us about yourself.)
  3. Kisi bhi topic par 2 se 3 minute ke liye bole. (Speak on any topic for 2-3 minutes.)
  4. Apne roz ke din chariye (time-table) ke baare mein btaye. (Tell us your daily schedule.)

Ye questions sunkar ho sakta ki aapko thoda ajeeb lage, par inko puchane ke peeche ka reason bahut hi simple sa hai. Recruiter bas ye dekhna chahta hai kitna easily aap kisi bhi topic par ya apni day to day activities aur apne baare mein bina ruke ya atake bol paate hai. Woh aapka confidence, communication skills and language par aapki command dekhna chahate hai, isiliye bina ghabaraye hue jawaab de.


English Improvement ke liye Click Karein


Questions ke alawa recruiter aapko words ki ek list bhi de sakte hai jisse wo aapki accent aur pronunciation check kar sake.

  • Crisps (क्रिस्प्स)
  • Should (शुड)
  • Would (वोउल्ड)
  • Order (आर्डर)
  • Murder (मर्डर)
  • Air (एयर)
  • Literature (लिटरेचर)
  • Language (लैंग्वेज)
  • Alter (आल्टर)
  • Law (लॉ)
  • Low (लौ)
  • Development (डेवलपमेंट)
  • Decision (डिसिशन)
  • Gorgeous (गॉर्जियस)
  • Thoroughly (थोरोगःली)
  • Enhance (एनहान्स)
  • Influence (इन्फ्लुएंस)
  • Affect (एफेक्ट)
  • Effect (इफ़ेक्ट)
  • Adjective (एडजेक्टिव)
  • Island (आइलैंड)
  • Cough (कुघ)
  • Though (थौघ)
  • Through (थ्रू)
  • Vocabulary (वोकैबुलरी)
  • Psychologist (साइकोलोजिस्ट)
Word ki pronunciation sune

Google translate ke liye yaha click kare

Field Knowledge

Accent ki tarah field knowledge bhi bahut important hai aur iske peeche ka reason bas ye check karna hai ki aapko call Centre/BPO ki basic terms ke bare mein pata hai ya nahi. Neeche kuch basic aur common field knowledge related questions diye gaye hai:

(i) BPO and call centre mein kya farak hota hai? (What is the difference between BPO and call centre?)  

Answer: BPO i.e. Business Process Outsourcing mein third party organisation ke through logo backend cheezo ko karne ke liye hire kiya jata hai. And call centre mein business clients ke saath voice calls ke through deal karna main kaam hota hai.

(ii) BPO ki alag alag categories bataye aur aap kismein kaam karna pasand karenge. (What are the different categories in BPO and which one do you prefer working?)

Answer: BPO ko business divisions ke according categorise kiya jaa sakta hai. Aap apne interests ke according kaam karne ke liye division choose kar sakta hai.

  • Administrative Department
  • Purchase Department
  • Selling Department
  • Call Centre (Customer care)
  • Back Office

(iii) Voice BPO and Non-Voice BPO mein se kiska future better hai? (Which one has better future, voice BPO or a non voice BPO? Justify your answer)

Answer: Voice BPO mein employee clients ke saath directly voice calls ke through deal karta hai. Aur Non-Voice BPO mein clients ke saath mails ya documents ke through interaction hota hai.  

Iss question ka answer aap apne interest ke according de because kuch logo ki social skills acchi ho sakti hai vahi dusri taraf kuch log sara kaam ko document ya likhne mein acche ho sakte hai.  

2) GAT (General Aptitude Test)

Call Centre/BPO ke liye bahut hi simple aptitude test liya jata hai. Iss test ki duration generally 30 minutes hoti hai. Iss round mein candidate ko uski General Analytical Ability, English Vocabulary aur Logical Abilities ke liye test kiya jata hai. Candidate ka basic aptitude aur knowledge dekhi jaati hai. Internet par practice ke liye bahut saare sample papers available hai. Iss round ko clear karne ke liye around 60% score chahhiye hota hai.

3) Group Discussion

Group discussions (GD) mainly speaking ability check karne ke liye conduct kiye jaate hai. Saath hi dekhne ke liye ki aap real world ke issues ke se kaise deal karte hai and aapke thoughts kya hai duniya mein ho rahi cheezo ko lekar. GD mein ek group me kuch candidates ko saath baitha diya jaat hai aur unko koi bhi ek topic de diya jaata hai jispar sabko group mein discuss karna hota hai aur sabko apna viewpoint dusro ke aage rakhna hota hai. Dhayan rakhe ki interview mein jaane se pehle sare current and recent topics ke bare mein padhkar jaaye. 

4) Computer Proficiency Test

Call centre job mein computer par kaam karna aana bahut zaruri hai. Iss test mein candidate ki basic computer knowledge and typing speed ko check kiya jata hai. Iss round ko clear karna bahut important hai because aapka bahut sara kaam computer pe depend karega, aur agar aap iss test ko qualify nahi kar payenge toh aapko job milne ke chances naa ke barabar honge. Isiliye interview dene jaane se pehle aap Microsoft office (Word, Excel) ke basics aur fundamentals ke bare mein acche se padhkar jaye.

5) Final Personal Interview (HR)

Question Bank (Call center Interview questions in Hindi)

(i) Apne baare mein kuch bataye. (Tell me about yourself.)

Ye sabse pehla question hota hai jo har interviewer conersation ko start karne ke liye puchta hai. Iske jawaab mein apko apna name, educational qualification,experience, strenghths etc ke baare mein btana hota hai.

Agar aap experienced hai toh kuch iss tarah jawaab de sakte hai – Main BPO industry mein pichle __ saalo se kaam kar raha/rahi hu. Maine isse pehle __ company me kaam kiya hai. Mujhe ye job isliye pasand hai because mujhe logo se baat karne ko milta hai aur ab main ek challenging position dhund raha/rahi hu jaha par main apni skills ko aur acche se apply kar saku aur saath hi main kuch naya bhi seekh saku.

And agar aap fresher hai toh apne college ki activities ke bare mein bataye ya apki koi bhi aisi khoobi jisse apki communication skills ke bare mein pata chale. Aur saath me ye bhi bole ki apko logo se baat karna kitna pasand hai aur apke liye ye kitna asaan hai.

(ii) Aap BPO ke bare mein kya jaante hai? (What do you know about a BPO?)

Ye question zyadatar freshers se pucha jata hai. Iska jawaab aap start kar sakte hai ki BPO ka matlab hota hai Business Process Outsourcing. Iska matlab hai ki ek business apne kuch business functions ya processes kisi aur company ko outsource kar raha hai jo un kamo ko karne mein behtar hai. Zyadatar functions like, back office processing, customer support, technical support outsource kiye jate hai. Phir bole ki 2 tarah ke BPO’s hote hai i.e. Domestic BPO and International BPO.

(iii) Aap Call Centre/BPO mein kyu kaam karna chahhte hai? (Why do you want to work at a Call Centre/BPO?)

Ye question un logo se pucha jata hai jinhone ya toh masters ki padhai kari hoti hai ya phir jinke paas engineering, english hons jaisi degree’s hoti hai. Interviewer ya recruiter ko lagta hai ki aap BPO ki job ke liye overqualified hai. Isliye iss sawaal ke jawaab mein aap khaas dhyan de ki aap BPO industry ke advantages ke bare mein baat kare – ki kaise aap apni communicatio skills, personality ko accha karna chahte hai, saath hi mein iss tezi se badhti hui industry ka hissa bankar salary aur baki incentives ko enjoy karna chahte hai. 

(iv) Hum aapko hire kyu kare? (Why should we hire you?)

Iss sawaal ke jawaab mein aap apni qualities ke bare mein batakar interviewer ko dikha sakte hai ki aap iss job ke liye ekdum suitable candidiate hai. Job requirements ke according apni qualities ko btaye. For example, agar calling profile hai different shift timings ke saath toh aap jawaab mein bole ki apki communication skills bahut acchi hai aur saath mein ye bhi ki aapko night shift mein bhi koi problem nahi hai. Agar aisa job hai jsimein aapko ek given time frame mein kaam deliver karna hai toh bole ki aap bahut mehanti hai aur asaani se pressure mein bhi kaam kar sakte hai. Aur agar aapko ek team mein kaam karna hai toh bole ki aap ek acche team player hai aur jante hai ki sabke saath kaam coordination mein kaam kaise kiya jata hai.

(v) Inbound and outbound calling mein kya farak hota hai? (What is the difference between inbound and outbound calling?)

Ye sawaal tabhi pucha jayega agar aapne calling profile i.e. customer care, customer support ya telle-sales ke liye apply kiya hai.

Jawaab mein bas bataye ki, inbound calling mein callers ko calls attend kane hote hai and outbound calling mein callers ko customers ya logo ko call karna hota hai.

(vi) Apni strengths ke baare mein bataye. (What are your greatest strengths?) 

Ismein interviewer bas ye dekhna chahte hai ki aap job ke liye kitne suitable hai. Jawaab mein aap apni qualties ke bare mein bole ki aap kitne hard-wroking hai, apki communication skills kitni acchi hai, aap ambitious hai aur company ke saath apni growth ke chahte hai.

(vii) Kya aap customers se phone ke through deal karne mein comfortable hai? (Are you comfortable handling customers on the phone?)

Agar aap ek fresher hai toh bole ki apne pehle kabhi ye kiya nahi hai lekin sahi guidance aur training ke saath aap asaani se customers ko handle kar paynge.

Aur agar aap experienced hai toh kuch purane instances btaye aur phir ek mock call ke liye bhi ready rahe.

(viii) Kya aap raat ko kaam karne mein comfortable hai? (Are you comfortable working in night shifts?)

Iss question ke answer mein humesha YES bole, ise recruiter sure hojayega ki aap kaam karne ke liye serious hai.

(ix) Aapki computer knowledge kitni acchi hai? (How good is your computer knowledge?)

Iske jawaab mein apni computer qualifications ke bare mein btaye agar apne koi diploma, certificate ya short-term course kiya hai. Aur agar nahi kiya hai toh bole ki apko basic computer knowlwdge hai aur woh chahe toh apka practical test le sakte hai.

(x) Aap kitni salary expect kar rahe hai? (What is your salary expectation?)

Agar aap fresher hai toh jawaab mein bole ki as per the company policy and/or standards. Aur agar aap experienced hai toh bol sakte hai ki aap previous salary me 20-30% hike expect kar rahe hai jo ki bahut normal hai aur industry norm bhi hai.

Non-Voice/Chat Process interview ke rounds ki jankaari

1) Written Test

Iss round me writing skills, grammer aur creativity ko check kiya jaata hai. Recruiter aapko randomly koi bhi topic de sakte hai aur aapko uss topic par ek short essay ya paragraph likhne ko kaha jaa sakta hai. Ye test isiliye bhi liya jata hai kyunki Non-Voice ya Chat process mein writing ka hi kaam hota hai.

2) Typing Speed

Ye test candidates ki typing speed ko check karne ke liye jaata hai. Iss round ko clear karna bahut important hai kyunki inn job profiles mein computer par kaam karna hota hai, aur agar aap iss test ko qualify nahi kar paate toh aapko job milne ke chances naa ke barabar ho jayenge. Isiliye interview dene jaane se pehle aap daily 15-20 min alag se nikaalkar koi bhi paragraph ya 8 se 10 lines ko 1 minute ke andar type karne ki practice kare. 

3) GAT (General Aptitude Test)

Call Cantre/BPO job ke liye basic aptitude test liya jaata hai. Iss test ki duration generally 30 minutes hoti hai. Iss process mein candidate ko uski General Analytical Ability, English Vocabulary aur Logical Abilities test ki jaati hai. Internet par practice ke liye bahut saare sample questions answers available hai. Iss round ko clear karne ke liye around 60% score chahhiye hota hai.

Iss round ke liye practice karne ke liye aap online free tests le sakte hai.

4) HR Round

Non-Voice ya Chat process ke liye jo Final HR round hota hai uske do parts hote hai:

  • General Interview Questions (yaha click kare)

    Har BPO job ke HR questions same hote hai.

  • JAM

    ‘JAM’ ka matlab hota hai ‘Just A Minute’, ismein aapko randomly koi bhi topic de diya jata hai aur aapko uspe ek minute ke liye bolna hota hai.Ismein aapke paas kuch sochne ka time nahi hota hai isiliye jo aapke dimaag mein aatey jaye aapko bolna hota hai. Ise conduct karne ke bas ek hi reason hota hai ki recruiter aapke thoughts, presence of mind and creativity ko check karna chahhta hai. Neeche kuch topics diye gaye hai jo commonly puche jaate hai:

     Global Warming, The Role of Women in Society, Illiteracy, Time Management, Demonetisation,

Call centre ya BPO jobs interview ki taiyyari

Call centre ya BPO job interview ki taiyari kaise kare ke baare mein janane ke liye yaha click kare

Zaruri Documents ki list:

  • 10th & 12th Marksheets
  • Graduation Marksheets (Only if you’ve done graduation)
  • Post-Graduation Marksheets/Degree (Only if you’ve done post-graduation)
  • Address Proof (Voter ID Card/ Passport/ Driving License)
  • Aadhaar Card
  • Govt. Id Proof (PAN Card) or PAN Receipt/ Acknowledgement Number
  • All organisation’s Date of Joining and Last Working Day proof/ Experience Letters.
  • Last 3 months ki Salary Slips (only for last organisation)
  • 9 Passport Size photos (White background)
  • 2 postcard Size Photos Head to Toe (any background)

NOTE: Originals ke saath 2-3 photocopy sets carry karna na bhoole.

Call centre ya BPO job interview ke Do’s and Don’t ke liye yaha click aur jaane ki interview mein kin kin chizo ka dhyan rakhna chahiye

Call centre mein job karke aap apno personality aur communications skills bahut acche se improve kar sakte hai. Isliye call centre job ke interview ko lighlty na le aur interview ke liye acche se prepare karke jaaye.

Agar abhi bhi aap call centre/BPO job se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh humse comment box mein puche, hum apki poori madad karenge. 

2 COMMENTS

    • Hello Sakshi, aap BPO mein jaa sakte hai aur agar aapko blog se kuch samajh nahin aaya hai toh wo point batayiye.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here