12th ke baad kya kare ki puri jaankari

Parents kehte hai bas school khatam karlo phir to aram hai. Par koi nahi batata ki aage future mein career ka faisala lene ka time yahi hota hai. Aap bhi baaki bacchon ki tarah soch me honge ki 12th ke baad kya kare? School to pass karliya ab aage kare kya zindagi mein? Kaunse field ko chune taaki usme ek shaanadaar career banakar apni zindagi ko safal bana sake . Ye sawaal sabke zehan mein hota hai par  sahi jawaab ki talaash mein sab rehte hai. Iss article mein aapko isi sawaal ka jawaab milega.

Iss article mein 12th ke baad kya kya options hai unke baare mein janenge:

12ke baad kya course kare

12th ke baad Polytechnic courses

12th ke baad ITI courses

12ke baad Diploma courses

12th ke baad Distance education

12th ke baad Sarkari Naukri

12th ke baad Private jobs

12th ke baad apna Business shuru kare


12th ke baad kya course kare

12th pass karne ke baad agar aap aage padhai karna chahte hai to aapko uske liye Graduation degree karni hogi. Graduation mein aap apne interesta ur qualification ke hisab se apni pasand ka course aur college chun sakte hai. Jab graduation ki baat aati hai to log sarkari college se graduation karna pasand karte hai. Par ab private colleges bhi bahut khul gaye jaha acchi padhai hoti hai. Courses ko mainly 3 streams/field mein bata gaya hai:

  1. Arts
  2. Commerce
  3. Science

Ab ek ek har stream ke alag- alag courses aur unn courses ko karne ke baad kya career options hai uske baare mein janenge.

12th arts ke baad kya kare

Arts stream mein sabse zayda options hote hai specialisation ke liye. Arts field ko define karna bahut mushkil hai kyunki isme alag alag professions hote hai jo ek dsure se ek dum alag hote hai. Par is field mein hi sabse zayda career ke liye options hote hai.

Course type: Undergraduate

Course duration: 3 years

  1. B.A. ka full form hota hai Bachelor of Arts. B.A. course alag alag specialization mein kiya ja sakta hai. Jaise ki:
  • B.A. Psychology
  • B.A. History
  • B.A. Archaeology
  • B.A. Economics
  • B.A. Journalism
  • B.A. English
  • B.A. Hindi
  • B.A. in other languages (state wise)/foreign languages, like B.A. French
  • B.A. Sociology
  • B.A. Politics
  • B.A. Geography
  • B.A. Indian Culture
  • B.A. Social Work etc.

Career options:

  • Education sector (Teacher/Professor)
  • Media (Journalism)
  • NGO (Social Worker)
  • Media (Copy writer)
  • Politics
  • Embassies (Translator)
  • Hospitals/NGO’s (Psychologist)

Journalism career ki puri jaankari ke liye click kare

2. B.H.M.-Bachelor of Hotel Management

Hotel Management Puri jaankari ke liye click kare

Chef career ki details ke liye click kare

3. B.J.M.C -Bachelor of Journalism and Mass Communications

Journalism career ki puri jaankari ke liye click kare

4. D.El.Ed.-Diploma in Elementary Education.

Teaching career ki jaankari ke liye click kare

5. B.F.A -Bachelor of Fine arts

Career options:

  • Arts Teacher
  • Writer
  • Fine Artist
  • Craft Artist
  • Multimedia Artist
  • Art Director
  • Actor

6. B.SW – Bachelor of Social Work.

7. Animation and Multimedia course

Career options:  

  • Illustrator
  • Image Manipulator
  • Graphic Designer
  • Cinematographer
  • Photographer
  • 3d Animator
  • 2d Animator
  • Video Editor
  • Game Designer
  • 2D Animator
  • 3D Animator
  • Animator
  • Cinematographer
  • Game Designer
  • Graphic Artist
  • Image Editor

Graphic designer career ki jaankari ke liye click kare

8. Aviation courses

  • Ground staff jobs

Ground staff career ki jaankari ke liye click kare

  • Air hostess/Flight attendant

Air Hostess/Cabin crew career ki jaankari ke liye click kare

Course duration: 3-4 years

9. B.T.T.M -Bachelor of Travel and Tourism Management

10. B.E.M -Bachelor of Event Management

11. B.F.D-Bachelor of Fashion Designing
Agar aapka fashion industry mein interest hai to aap is course ko kare.

Fashion Designing career ki puri jaankari ke liye click kare

12. B.Des. in Interior Design– Bachelor of Interior Designing

Interior Designer career ke liye click kare

12. B.El.Ed.-Bachelor of Elementary Education
Agar aap primary teacher ka banana chahti ai to ye course aapke liye hai. Ye course teaching career aspirants ke liye bahut accha maana jaata hai.

Teaching career ki jaankari ke liye click kare

Course duration: 5 years

13.Integrated Law course– B.A.+L.L.B.

Agar aap Lawyer (Advocate) banana chahte hai to aap ye degree kare.

Lawyer career ki details ke liye click kare

Course duration: 1 year

14. B.P.Ed.– Bachelor of Physical Education.

12th commerce ke baad kya kare

Course options:

  1. Bachelor of Commerce [B.Com/B.Com (Hons)]
  2. Bachelor of Business Administration (BBA)
  3. Bachelor of Management Studies (BMS)

Career after B.Com, BBA, BMS :

  1. Administration and Operations
  2. Project Management (Executive Level)
  3. Enterprise Management
  4. Human Resource Management and Development
  5. Customer Management
  6. Data Management and Systems Analysis
  7. Sales and Marketing
  8. Financial Management
  9. Communications Management

Industries/sectors

  • Banking
  • Consultancy
  • Digital Marketing
  • Entertainment
  • Finance
  • Information Technology (IT)
  • Insurance
  • Media
  • Offline Marketing
  • Manufacturing
  • Advertising

4. Chartered accountancy
Career : Accountant, CA

5. Company Secretary
Career : CS

6. Cost and Management Accountant
Career :Cost Accountant

12th science ke baad kya kare

Course options & career:

  1. Doctor banane ke liye 5 years ki Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery (MBBS) degree karni hogi.

2. Dentist banane ke liye 4 years ki Bachelor of Dental Surgery (BDS) degree chahiye

Doctor/Dentist career ki jaankari ke liye click kare

3. Nurse banane ke liye  4 years ki B.Sc. Nursing degree karni hogi.

Nurse career ki jaankari ke liye click kare

4. Paramedicin field mein ja sakte hai.

  • Career Options: Physiotherapy, Speech Therapy, Audiology, Nursing,
    Occupational Therapy, Prosthetics and Orthopaedics, Medical Lab Technology,
    Optometry and Ophthalmic technology, Nutrition And Dietetics

5. Pharmacist banane ke liye B Pharma degree karni hogi.

6. Veterinary Doctor banane ke liye 4 years ki B.V.Sc degree karni hogi.

Courses options in  Engineering aur baki fields mein:

1.Engineer banane ke liye B.tech (Civil Engineer, Mechanical Engineer, Electrical Engineer) degree karni hogi.

2. Software Engineer banane ke liye Bachelor of Computer Application degree karni hogi.

  • Computers computer mein career options- Information Technology/Software/Systems-Application Programmer, Database Administrator, Information Technologist, Medical Transcriptionist, Network Administrator, Software Engineer, System Architect, Technology Manager, Web Developer, Multimedia Designer
  • Hardware-Hardware Design And Development Engineer, Design and Development of Computer Hardware, Design And Development of Customized Microprocessor, Design and development of networking hardware, Service Maintenance Engineers/technician

Engineering career ki jaankari ke liye click kare

3. Architect banane ke liye Bachelors of Architecture degree karni hogi.

4. Commercial Pilot banane ke liye Aircraft operations, aviation ya aeronautical engineering field mein course karna hoga.

Click karke jaaniye Pilot kaise bane

5. Merchant Navy ya Naval Engineering ke liye course karna hoga.

Merchant Navy career ki jaankari ke liye click kare

12th ke baad Polytechnic Courses

Polytechnic courses ek bahut accha option hai unn logo ke liye joh 10th ke baad sidha apna career shuru karna chhate hai. Polytechnic courses mein aapki skill based training hoti hai aur polytechnic institutes desh bhar mein hai.

Polytechnic courses ki puri jaankari ke liye click kare

12th ke baad ITI Courses

ITI ka matlab hota hai ‘Industrial Training Institute’. ITI mein trades jaise ki electrician, plumber, fitter etc.. ki vocational training di jaati hai.

ITI course ki puri jaankari ye liye yaha click kare

12th ke baad Diploma Courses

Diploma courses Arts stream

  • Diploma in Multimedia 
  • Diploma in Photography
  • Diploma in Travel and Tourism
  • Diploma in Event Management
  • Diploma in Kitchen and Catering Operations
  • Diploma in 3D Animation
  • Diploma in Advertising and Marketing
  • Diploma in Interior Designing
  • Diploma in Hotel Management
  • Diploma in Fashion Designing
  • Diploma in Physical Education
  • Diploma in Computer Application
  • Diploma in Various Languages: French, German, Spanish etc…

Diploma courses in Commerce stream

  • Diploma in Financial Accounting
  • Diploma in Retail Management

Diploma courses in Science stream

  • Diploma in Mechanical Engineering
  • Diploma in Chemical Engineering
  • Diploma in Civil Engineering
  • Diploma in Biotechnology
  • Diploma in Nutrition and Dietetics
  • Diploma in Nursing
  • Diploma in Computer Engineering
  • Diploma in Information Technology

Job Options:

  • Media and Advertising Agency
  • Marketing Agencies/Companies
  • Corporates
  • Banks
  • Hospitality sector
  • Hospitals
  • Salons/Parlours
  • Textiles industry
  • IT sector
  • Fashion industry
  • Freelancer
  • Business

12th ke baad Distance Education 

Aap 12th pass karne ke baad padhai ke sath sath job ya business karna chahte hai to distance education aapke liye hai. Distance education yani ‘open school’ se apni school ki padhai complete kar sakte hai. Open college mein aapko ya to weekends par college jana hota hai ya sirf exams dene ke liye jana hota hai. Aap graduation government institution jaise ki School of Open Learning (SOL) ya private institutions se bhi complete kar sakte hai. Distance education ke sath aap upar diye gaye sarkari ya private job kar sakte hai.

Sarkari job for 12th pass

Ye post males aur females dono ke liye.
1. Railway Group D 2019 Recruitment
Qualification: 10th Pass ITI from institutions recognised by NCVT/SCVT (or) equivalent (OR) National Apprenticeship Certificate (NAC) granted by NCVT
Age Limit: 18 years – 33 years
Selection Process: Computer Based Test (CBT), Physical Efficiency Test (PFT),Document Verification and Medical Examination

RRB Railway Group D ki puri jaankari ke liye click kare

2. ALP- Technicians in Indian Railways

Age Limit : 18 years – 30 years (relaxation to reserved categories)
Qualification: 10th Pass
Selection Process: Written exam & Interview
Railway Technician ki puri jaankari ke liye yaha click kare

3. RRB NTPC

Age Limit : 18 years – 30 years (relaxation to reserved categories)
Qualification: 12th Pass
Selection Process: Written exam & Interview
Puri jaankari ke liye click kare

4. SSC CHSL

Age Limit : 18 years – 27 years (relaxation to reserved categories)
Qualification: 12th Pass
Selection Process: Written exams (2) & Typing Test

5. SSC Multi Tasking Staff (MTS)

Age Limit : 18 years – 25 years (relaxation to reserved categories)
Qualification: 10th Pass
Selection Process: Written exams (2)
Puri jaankari ke liye click kare

6. SSC Stenographer (Grade C and Grade D)

Age Limit Grade C : 18 years – 30 years (relaxation to reserved categories)
Age Limit Grade D : 18 years – 27 years (relaxation to reserved categories)
Qualification: 12th Pass
Selection Process: Written exams & Typing Test
Puri jaankari ke liye click kare

7. Indian Army Female Soldier

Iss post ke liye females apply kar sakti hai.
Age Limit : 17.5 years – 21 years
Qualification: 10th Pass
Selection Process: Shortlisting, Physical, Medical & Written exam
Puri jaankari ke liye yaha click kare

8. Indian Army Vacancy Males

Inn post ke liye sirf 12th Pass males hi apply kar sakte hai.
Puri jaankari ke liye yaha click kare

9. Indian Airforce Vacancy Males

Inn post ke liye sirf 12th Pass males hi apply kar sakte hai.
Puri jaankari ke liye yaha click kare

10. Indian Navy Vacancy Males

Inn post ke liye sirf 12th Pass males hi apply kar sakte hai.
Puri jaankari ke liye yaha click kare

11. Haryana Police Constable Bharti

Iss post ke liye males aur femlaes dono apply kar sakte hai. Other state ke log bhi apply kar sakte hai.
Puri jaankari ke liye click kare

12th pass jobs private

Jaaniye ki kaun kaun si private jobs ke liye aap eligible hai 12th complete karne ke baad aur shuru kare apna career. Agar aap upar diye courses mein koi courses karte hai toh aap uss field mein private naukri kar sakte hai.

  1. Customer Care Executive in BPO Jobs
  2. Data entry operator in banks and corporates
  3. Sales agents in companies
  4. Administration job (office administrator)
  5. Front desk job
  6. Clerk job

12th ke baad apna Business shuru kare

Agar aap 12th ke baad khud ka business shuru karna chahte hai to ye kuch business options hai jisme aap khud ka business khol sakte hai. Inn business ki puri jaankari ke liye click kare:

Foodtruck business kaise shuru kare

Achar ka business kaise khole

Bakery business kaise shuru kare

Kirana store ya General store kaise shuru kare

Mobile repairing business kaise start kare

Pharmacy business kaise shuru kare

Beauty Parlour kaise khole

Tailoring ki shop kaise khole

Ola/Uber ka Business Plan

Agar aapko koi bhi sawaal ya doubt hai to neeche comment kare hum aapko jawaab dene ki puri koshish karenge

8 COMMENTS

  1. Great article sir, yah article bahut hi motivational or informative hai, or sabse jyada useful hai, jo hamare jaise youth bahut inspire karega.
    Thanks a lot for your informative article

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here