boutique_business _plan

India mein fashion industry bahut fast rate par grow kar rahi hai. Pichle 10 saalo mein Indian fashion industry ek bahut hi unche starr par pahunch chuki hai jisase mahilaon ko kayi fashion designing courses aur small scale  businesses jaise boutiqe etc. shuru karne ki opportunities mili hain. Aaj hum fashion ke business mein  boutique business plan se judi baat kareinge. Aaj hum aapko  boutique ka business shuru karne se lekar uske profit ke bare mein detail mein btayenge. Aaj hum har us pehlu par baat karenge  jo aapko boutique business karne ki shuruwat se anth tak ki saari jaankari dega.

Boutique ka kaam kaise shuru karein se judi puri jaankari yahan jaaniye-

Boutique business kya hota hai

Boutique business ke liye qualification

Boutique business kahan shuru kar sakte hain

Registration, Licenses aur Documents

Laagat aur Boutique ke liye Jaruri Cheezein

Boutique business mein munafa

Boutique ke liye kapde kahan se laaye/Supplier

Marketing kaise karein

Boutique Business ko kaise badhayein

Boutique business ke liye tips

Boutique Business se jude kuch Sawaal

Boutique business kya hota hai

Boutique business plan ki agar hum baat karein toh yeh ek aisa busniess hai jahan fashionable kapde aur fashion se related anya cheeze milti hain. Ek aisi dukaan jahan fashionable kapde aur fashion se judi anya cheeze bechi jaati hain, usse boutique kaha jaata hai. Aajkal sabhi ko achhe aur fashionable kapde pehanane ka shauk hai, isliye aaj ke zamaane mein boutique business kholna profitable ho sakta hai. Agar aap apne skill/kaarigari se fashionable kapde design karke, apne ghar, online ya market ke ek chote se kone me dukaan ke maadhyam se bechte hain toh usse boutique kehte hain. Aap kayi prakar ke boutique khol sakte hain jaise-

  • Ladies Boutique
  • Men’s Clothing Boutique
  • Kids Boutique

Boutique business ke liye qualification

Boutique business shuru karne ke liye minimum qualification 10+2 honi chahiye aur saath mein aapke pas fashion designing courses ya boutique management ke courses mein certificate, degree ya diploma hona chahiye. Ye courses alag alag tarah ke hote hain jinke bare mein humne puri detail mein neeche bataya hai:

1) Design in Boutique Apparel & Accessory

Iss course ko karne ke liye minimum qualification 10+2 hona chaiye. Is course mein aapko sikhaaya jayega:

  • From fiber to fabric
  • Pattern making
  • Fashion boutique management
  • Draping
  • Garment construction Fashion Illustrations
  • Design development
  • Extensive service ornamentation and embroidery
  • Costing and Sourcing

2) Diploma in Fashion Designing and Boutique Management

Is course ki duration 1 saal hai.  Yeh course un logon ke liye suitable hai jo fashion, textile aur accessories industries ka part banna chaahte hain. Yeh course aapke thought process aur skills ko enhance karne ke liye bnaaya gaya hai taaki aap apne brand ya boutique ko promote kar sakein. Is course mein aapko sikhaaya jayega –

  • Pattern making
  • Garment construction
  • Fashion merchandising
  • Computer aided designing
  • Ornamentation

Note : Aisa zaroori nahin hai ki ek boutique kholne ke liye sirf yahi 2 courses hain, aajkal aisi bhot si mahilaaye hain jihone anya fashion designing ke courses mein certificate, diploma ya degree paakar apne boutique kholein hain. India mein aise bhot se institues hain jo fashion designing ke courses provide karte hain. Toh ayiye ab hum detail mein jaante hain aise hi kuch top institutes ke baare mein –

National Institute of Fashion Technology
NIFT India ke top 5 Fashion Designing, Management aur Technology ke institutes mein se ek hai. Inki branches Bengaluru, Bhopal, Bhubaneshwar, Chennai, Gandhinagar, Hyderabad, Jodhpur, Kangra, Kannaur, Kolkata, Mumbai, Patna, Raebareli, Shillong aur Srinagar mein hai. NIFT mein “Design in Boutique Apparel and Accessory” ka course, jo humne uper bataya hai, available hai. NIFT mein aur bhi bhot types ke fashion designing courses hain jis mein aap degree, diploma ya certificate praapt kar sakte hain. NIFT mein admission process, courses, duration, aur zyada jaankari ke liye aap inki official website se purri jaankari le sakte hain.

Pearl Academy
Pearl academy India ke top 5 Beauty and Fashion Designing institutes mein se ek hai. Inki branches Delhi, Mumbai, Noida aur Jaipur mein hain. Pearl academy mein fashion designing ke courses undergraduate, post graduate aur professional certificate level par provide kiye jaate hain. Pearl Academy ka admission process, courses, duration aur zyada jaankari ke liye aap inki official website se puri jaankari le sakte hain.

Apeejay Institue of Design

Yeh Institute undergraduate aur post graduate degree aur diploma ke designing courses ke liye jaana jaata hai. Yahan provide kiye jaane wale kuch courses ke naam hain-

  • Fashion designing
  • Dress designing
  • Fashion designing and merchandising

Jyada jaankari ke liye aap inki official website par jaa sakte hain.

Note: In institutes mein training lena aur course karna aapke fashion designing aur boutique management career ke liye kaafi accha rahega, par agar aap in institutes se courses na bhi kar paye, toh bhi apne shahar ke kisi bhi achhe institute se course kar sakte hain. Jyada important ye hai ke aapko achha kaam aana chahiye aur fashion related har cheez ki knowledge honi chahiye.

Boutique business kahan shuru kar sakte hain

Boutique business ek aisa business hai jisse aap 3 jagha shuru kar sakte hain jaise-

  1. Apne ghar se boutique business shuru karein
  2. Stand Alone boutique kholein
  3. Online boutique business shuru karein

1. Apne ghar se boutique business kaise shuru karein

Aap apne budget ke hisaab se kisi bhi prakaar ka boutique khol sakte hain fir chaahe wo bazar ki kisi dukaan mein ho ya apne ghar par. Apne ghar par boutique kholne ke liye iss baat ka dhyaan rakhein ki boutique wale kamre ka kam se kam ek hissa sadak ki or khula ho. Issase logon ka dhyan boutique mein rakhe kapdo ki taraf jayega jissase ho sakta hai ki log aapke boutique mein kapde khareedne aaye. Ghar par boutique ka business kam laagat mein bhi shuru kiya jaa sakta hai. Iske liye apki Rs 40,000-50,000 ki laagat lagegi. Shuru mein aap ek machine, ek kaarigar aur kuch kachhe maal jaise dhaage, button,lace, borders etc. khareed kar boutique shuru kar sakte hain. Jaise jaise kaam badta jayega aap karigar aur materials badate jayein.

2. Online boutique kaise kholein

Online boutique business ek aisa boutique hota hai jisme aap apne boutique ke kapdo ke designs internet ke dwaara apni khud ki website par ya kisi E-Commerce website par daalte hain. Online boutique business shuru karne ke liye aapko iss baat ka dhyaan rakhna chahiye ki market mein current fashion ke trends kya hain, aapke competitors kaun honge aur kaunsa E-Commerce platform aapke liye best rahega. Online boutique kholne ke liye in steps ko follow karein –

a) Apne boutique ke liye ek aakarshit naam sochle. Yeh naam aisa ho ke log aapke online boutique par visit karein.
b) Nam sochne ke baad agla step hai apne boutique ki website develop karna aur uske liye aapko jarurat padegi domain aur hostage space ki.
c) Agla step hai website design karna. Apki website impressive aur user friendly honi chaiye taki zyada customers aapke online boutique ko visit karein.
d) Agla step hai apne boutique ki branding karwana jismein aap yeh btayenge ki aap kis prakar ke kapdo mein deal kar rahe hain jaise ladies boutique ke kapde, kids boutique ke kapde etc.
e) Apne best products ko highlight kijiye aur unki clear images unki correct details ke saath apne online portal par upload kijiye.
f) Apne online boutique ke liye proper delivery service ka channel decide kare.

Niche humne kuch online boutiques ke websites ki design dikha rakhi hain. Aap bhi agar apna online boutique shuru karna chahte hain toh kuch aisi website ki design bana sakte hain –

online_boutique_store
Image Credits: Vika Boutique
Image credits: Pavitraa

3. Stand Alone Boutique kaise kholein

Stand Alone boutique vo boutique hota hai jiski ek location aur ek hi owner hota hai. Iss type ka boutique aap market mein ek dukaan rent par lekar ya khareed kar shuru kar sakte hain. Stand Alone boutique kholne ke liye licenses aur documents, laagat aur infrastructure ke baare mein humne aage bataaya hua hai.

NOTE- Boutique business plan banaane se pehle aap apne area aur locality ki achhe se research karlein. Area aur locality ke bare mein jankari nikalne par aapko ye samajh ajyega ke aisii kya chiz ya facility ya offer hai jo ki sirf aapka boutique provide kar sakta hai jo ki baki nahi kar pa rahe, jaise offers, jyada se jyada services, etc.

Registration, Licenses aur Documents

Boutique business plan banaate time aapko yeh pata hona chahiye ki aapko kaunse licenses aur documents ki jarurat padegi. Toh ayiye detail mein jaante hain inn Licenses aur Documents ke baare mein-

1) Registration aur License

Registration Certificate

Apna boutique shuru karne ke liye aapko  apne boutique ko “ Shops and Establishments Act” ke under register karwaana padega jisase ki Trade Law ke anusaar aapka boutique legal ho jayega. Apne boutique ki registration ke liye aapko kuch documents ki zaroorat padegi jaise:

  • Commercial Address Proof,
  • Identity Proof,
  • Pan Card,
  • Fee payment Challan.
Trade License

Trade License ek aisa document hai jisase aapko apna business carry karne ki permission mil jaati hai. Boutique ke liye Trade License ki Application Citizen Service Bureau (CSB) aur Internet ke through file ki jaa sakti hai. Trade License ki application file karte time aapko kuch documents ki zaroorat padegi jaise:

  • Sanction plan ki copy/ completion certificate
  • Site Plan,
  • Key Plan,
  • Water connection aur sewer connection,
  • Indemnity Bond  Rs.100/- ,
  • Affidavit Rs.10/7,
  • Partnership deed ki copy agar aap partnership mein hain

Agar aap Trade License ke application ke process ke baare mein aur jaankari lena chaahte hain toh iss link par click kijiye

Online terms and Privacy policy (For Online Boutique only)

Online boutique shuru karne ke liye aapko online registration karwaana padta hai, yeh registration Trade ki term, site ki privacy policy aur boutique ke copyrights ke saath safety ka dhyaan rakhti hai.

2. Documents

Company Bank Account (For Online Boutique only)

Agar aap online boutique shuru karte hain toh aapko jis document ki sabse pehle jarurat padegi wo hai company ka bank account. Business se related sabhi transactions iss account ke dwaara ki jaayegi. Jo customers online payment dwaara aapke boutique se kapde khareedenge, wo is bank account mein paise jama karwayenge.
Niche aap images mein payment se juda detail dekh sakte hain –

Company’s PAN Card(For Online Boutique only)

Online boutique business shuru karne ke liye sabse important document hai Registered PAN Card jo ki company ke naam ka bana hona chaiye. Iss legal document ke bina bhot si permits aur grants nahin mil sakti.

Boutique Ownership Papers

Jab bhi koi owner Trade License jaise important documents ke liye apply karta hai, tab usse agency ki ownership ke type ke baare mein bhi bataana padta hai jaise ki vo akela hi boutique ka maalik hai (Sole Proprietor) ya uski partnership firm hai ya Limited Liability Partnership (LLP). Ye sab baate registration form mein bataani important hai.

Identity proof

Boutique ke owner ko apna Identity Proof bhi dena padta hai jaise ki apna Voter ID card, PAN card,Passport.

GST Registration Documents

India me Goods and Service Tax(GST) ke laaghu hone par naye aur puraane dono types ke organisations ke paas GST Registration documents hone important hai. Issase boutique ke owner ko tax bharne mein suvidha hogi. Jyada jaankari ke liye aap GST ki official website visit kar sakte hain jiska link  humne provide kar rakha hai.

Laagat aur boutique ke liye jaruri cheezein

Boutique business plan banaate time aapko dhyaan mein rakhna hoga ki aap kitna bada boutique kholna chaahte hain, uske liye laagat kitni lagegi aur boutique ke liye jaruri cheezein kya hoti hain.

Rent

Agar aapke boutique shop ke area ki baat kia jye toh, kam se kam 100-1000 Sq. ft. ka area kisi bhi boutique ko kholne ke liye jaruri hai. Is area ke barabar shop lene par uska price aapke area ke economic status pe depend karega. Jaise agar aap 500 sq. ft. ka boutique kholte hain aur agar aapka area kaafi mehenga hai toh aapko jyada rental charges lagenge aur agar sasta hai toh kam charges lagenge. Aap apne area mein parlour lene ke liye niche diye gaye sites se rates pata kar sakte hain –

Agar aap kisi mehenge area mein apna boutique khol rahe hain aur wo 500sq.ft ka boutique hai to aapka shop ka rent Rs.15,000-20,000 tak ke beech mein hoga.

Boutique ka interior kaise design karein

Boutique ke liye dukan ki sajawat aur interior bahut matter karta hai. Dukaan ke saamne ka bhaag sheeshe ke banwaaye taaki logon ko kapde bahar se dikhayi de. Grahko ke baithne ke liye sofa aur kusriyo ki vyavastha rakhein. Latest aur sundar dresses ke posters deewar par lagwaye. Apne boutique me trial room zaroor banwayein.

Boutique ki equipment list

EquipmentsQuantityPrice INR (per set-per item)Total (In Rs)
Clothing stands2-3 sets1,200-3,0002,400 – 6,000
Hangers2-3 sets1,100-2,5002,200 – 5,000
Steam Iron11,800-5,0001,800-5,000
Outdoor Signage board15,000-15,0005,000-15,000
Floor carpet11,200-7,3001,200-7,300
Full size mirror13,500-8,5003,500-8,500
Boutique racks2-35,500-12,00011,000 – 24,000
Total13
27,100- 70,800

Machines

MachinesQuantityPrice (INR) Approx.
Silaayi machine14,000-10,000
Overlock machine17,500-33,000
Single needle lock machine111,000-60,000
Total322,500-1,03,000

Ek boutique ko kholne ke liye inhi machines ki jarurat padti hai. Humne apne blog mein machines ki quantity ek mid level boutique ke hisaab se bataayi hai, agar aap ek bada boutique kholna chaahte hain ya fir apne boutique ki chains kholna chaahte hain, toh aap machines ki quantity uss hisab se badha sakte hain.

Baaki kharcha

S.NoParticularsPrice (INR) Approx.
1Electricity charges1,000 – 2,000
2Telephone charges750 – 1,000
3Other unforeseen expenses1,000 – 1,500
4Water charges250 – 300

Total3,000 – 4,800

Kitna Staff hire karein

Boutique kholne se pehle aapko yeh decide karna padega ki aap kitne log/staff hire karna chaahte hain. Aap kitne log hire kar sakte hain ye aapke boutique ke size aur kaam par depend karta hai. Hum aapko ek mid level boutique ke hisaab se bataayenge ki aapko kitne log hire karne chaiye aur unhe per month kitni salary deni chahiye.

StaffNumberSalary(per head-per month) (In Rs)Total (In Rs)
Tailors220,000-25,00040,000 – 50,000
Sales girl18,000-15,0008,000-15,000
Store Manager (Agar required ho)115,000-20,00015,000-20,000
Designers220,000-25,00040,000 – 50,000
Total6
1,03,000 – 1,35,000

Loan

  1. Waise toh Personal investment yani apne hi paison ko apne shop ke liye invest karna sabse best option hota hai. Agar aap personal investment nahi kar paa rahe toh aap apne dosto ya rishtedaaro se paise udhaar le sakte hain.

2. Aap bank se Business loan ke liye bhi apply kar sakte hain. Business loan sanction karwaane ke liye kuch chizon ki requirements hongi jaise-

  • Aapki age limit 21-65 years ki honi chahiye.
  • Aapko ek profit margin dikhani hogi jo bank ko trust provide karegi. Profit kam se kam 1,50,000 INR ka hona chaiye.
  • Ek proper Boutique business plan dikhana hoga jo ki loan provider ko aapke business ke bare mein puri jaankari de sake.

3. Sarkaar ne mahilaon ke liye bahut si Women Entrepreneurship Schemes nikaali hain jiske tahat wo apna business start karne ke liye loan le sakti hain. Inme se sabse important scheme hai-

Mudra Yojana Scheme

Yeh scheme un mahilaon ke liye hai jo small scale business jaise ki beauty parlour, boutique, etc shuru karna chahti hain. Iss scheme ke under Rs 50,000 se lekar 50 lakhs ka loan sanction kiya jaata hai. Iss schemes ke under 3 plans aate hain-

  • Shishu plan– Is plan ke under aapko naya business shuru karne ke liye Rs 50,000 tak ka loan mil sakta hai.
  • Kishor plan- Agar aapka ek well-established business hai toh aapko Rs 50,000 aur Rs 5 lakhs ke beech tak ka loan mil sakta hai.
  • Tarun plan- Is plan ke under aapko Rs 5 lakhs aur Rs 10 lakhs tak ke beech ka loan mil sakta hai.

Iske alaawa bhi bahut si schemes hain jiske dwaara aap loan le sakte hain. Zyada jaankari ke liye yahan click kijiye.

Ab aap yeh toh jaan chuke hain ki aap apne business ke liye loan le sakte hain lekin agar aap yeh janana chahte hain ki aap apne business ke liye loan kaise aur kahan se le toh uske liye aap humara blog padh sakte hain jiska link humne de rakha hai.

Aapki boutique shop ka rent, staff ki salary, machines aur equipments ka price aur baaki kharcha milaakar aapka total investment Rs. 1,58,600- 3,13,600 ke beech tak aayegi. Yahan par humne investment ka amount ek mid- level boutique ke according bataaya hai, Agar aap ek bada boutique kholne ka business plan bana rahein hain, toh aapka investment ka amount vary kar sakta hai.

Boutique business mein munafa

Boutique business ko agar aajkal ke lifestyle aur fashion trends ke according dekha jaaye toh yeh ek aisa bsuiness hai jismein kabhi kami nahi aayegi. Isliye iss business ko establish karna aur profit kamaana zyaada mushkil nahi hai. Toh ayiye hum aapko bataate hain boutique business plan se jude munafe ke baare mein.

Aap boutique business mein kitna profit kaamaate hain yeh depend karta hai ki aapka  boutique konse area mein hai, aap kis tarah ke boutique items mein deal kar rahe hain, aapke rates baakiyo ke comparison mein kitne hai, market mein competition kitna hai etc.

Humne kaafi research karke pata kiya hai ke shurwat mein Rs 35,000-40,000 per month kaamai ki jaa sakti hai, jaise jaise boutique ka kaam badhega, kaamaai bhi badti jayegi. Boutique business ek aisa business hai jo shaadiyo ke season mein sabse jayada chalta hai kyonki aajkal har koi phir chahe wo middle class ho ya upper class, veh readymade kapdo se zyaada handmade design kiye hue kapde pehanana jyada pasand karte hain.

Boutique ke liye kapde Kahan se laaye/Supplier

Chaahe aap khud ka brand establish kar rahe hon ya pehle se established kisi brand ke kapde apne boutique ke dwaara bech rahe hon, dono situations mein aapko apne boutique business ke liye supplier dhoondhne ki jarurat padegi. Agar aap pehle se established kisi brand ke kapde khareedne ki sochte hain, toh aapko kapde supply karne wale supplier ki bhi jarurat padhegi lekin agar aap khud ka brand establish karke, uske through kapde bnaane aur bechne ka sochte hain toh aapko kachha maal (Raw material) supply karne wale supplier ki jarurat padhegi. Supplier dhoondne ke liye aap bahut se online platforms ya phir apne shahar ki wholesale market mein se saste rates par le sakte hain.

India mein aisi bahut si online aur offline wholesale markets hain jahan se aap boutique dress ke lie kachha maal saste rate par khareed sakte hain-

India Mart- India mart ek B2B e-commerce marketplace hai jahan se aap apne boutique ke liye raw material saste wholesale rates par khareed sakte hain. Aap unki website par unke best sellers ko contact kar sakte hain. Yahan par aapko Indian Traditional Items aur western items, dono ke liye hi raw material milta hai. Zyada jaankari ke liye aap inki website visit kar sakte hain jiska link hamne de rakha hai.

Chandni Chowk Market- Chandni chowk ki market Asia ki sabse badi market maani jaati hai. Chandni chowk ka ‘ Kinari Bazaar’ bahut famous hai. Kinari Bazar mein aapo fancy gota patti, lace aur boutique mein use hone wale anya raw material bahut saste rate par mil sakti hain.

Marketing kaise karein

Chahe kisi bhi type ka boutique business plan ho, chhota ya bada, usse successful banaane ke liye uss business ki achhi marketing karna bahut jyada jaruri hai. Iske liye dhyaan rakhein ke aapke business ke according aise kon se marketing ke tarike hain jissey aap jyada se jyada logon tak apne business ko pahuncha sakte hain.

Boutique business plan banaate time aapko iss baat ka dhyaan rakhna hoga ke aap apne baki competitors ke comparision mein aisa kya kar rahe hain jo ki aapke busniess ko bakiyon se alag bana raha hai aur apke customers ki list badha raha hai. Ek successful boutique business plan tabhi kehlayega jab aap apne boutique business ko aage badha paayein. Apne business ko agey badhane ke liye aapko in ka dhyaan rakhna hoga – Shop ki Advertisement yani Prachar ka dhyaan rakhna hoga.

Aap apne boutique ka prachaar online aur offline dono tareeko se kar sakte hain. Aaiyiye baat karte hain in sabhi tareeko ke baare mein-

1. Online

Google my business- Google my business google ka ek aisa tool hai jisase aap apne business ko google ki listing mein daal sakte hain. Iska fayeda aapko ye hoga ki jab bhi koi google par aaspas ke kisi boutique ke baare mein search karega ya aapke boutique ka naam search karega, toh usse bahut easily aapke boutique ki saari details unhe mil jaayengi.

Just Dial- Just Dial ek aisa platform hai jo ki kisi bhi area ke local businesses ki information provide karta hai jo ki aapko ya toh internet ke through aapko milegi ya fir call ke through pata chalegi.

Social media par promotion- Apne boutique ko promote karne ka best tareeka hai social media ke platforms jaise fcebook, instagarm aur whats app ka use karna. Agar aap apne facebook par regularly apne boutique ke designs ki pictures upload karte hain, toh aap apne customers ko easily attract kar sakte hain.

E- Commerce website- Social media par promotion karne ke saath saath aap  aapne boutique ke kapde E- Commerce websites jaise amazon, flipkart, snapdeal etc par bhi list karwa sakte hain.

2. Offline

Hoardings – Boutique business esa business hai jo ki log jyadatar offline yani bina internet ke madhyan se dhundte hain, isiliye ye jaruri hai ke aap apne business ka prachar hoarding aur paper media ke through bhi karein. Hoarding ko lekar aapko kuch important baton ka dhyaan rakhna chaiye jaise –

  • Boutique kholne se kuch dino pehle aap apne shop ke agey “Opening Soon” ka hoarding jarur laga dein. Taki aate jaate logon ko pata rahe ke ek nayi boutique shop unke area mein khulne wala hai.
  • Aap apne boutique ki hoardings har un areas mein lagwa dein jahan logon ki bhid, jahan logon ko aapke shop ki jarurat hogi ya jahan market hai jaise Markets mein, colonies mein, cosmetic shops ke aas pas, apne area ke residential area ke aas pas etc.

Pamphlets – Apne shop ki advertisement aap pamphlets ke through bhi kar sakte hain. Isse ya toh aap khud aane jane wale logon ko dein ya fir apne area ke local newspaper wale ko kuch paise dekar bhi ghar ghar tak pahuncha sakte hain.

Boutique business ke liye tips

  • Agar aap ek stand-alone boutique khol rahe hain toh uski location ka khaas  dhyaan rakhein. Apne boutique ko kisi famous marketplace mein hi kholein taaki jyada se jyada customers aapke boutique par aayein.
  • Apne boutique ke kapdo ka price decide karne se pehle research karle ki aapki locality mein baaki boutiques kitna price charge kar rahe hain. Agar aap overpricing kareinge toh aapke customers aapka boutiqe na chunkar doosre boutiques par jaayenge
  • Aap apne boutique par har type ke payment methods provide karein- Cash aur online payment. Aap apne customers se online payment Paytm, Google pay, Debit Cards aur anya types ke non-cash payment methods ke dwaara le sakte hain.

Boutique Business ko kaise badhayein

Aajkal logon ka view fashion ki taraf badal raha hai. India mein middle class se lekar upper class tak sab log fashion trends ko follow karte hain. Iss badalte fashion trend mein ek aisa business jo kaafi jyaada demand mein hone ke kaaran ek successful business idea ban chuka hai, wo hai boutique business plan. Isliye ye kehna galat nahin hoga ke boutique business ek bahut hi faydemand business hai. Issase hame yeh pata chal jata hai ki agar hum apna boutique business ek chote level par bhi shuru karte hain toh iss business ko expand karna bahut asaan hai.

  • Agar aapka stand alone boutique hai toh aap future me zyada profits kamaakar apne boutiques ki chains alag alag jagha par khol sakte hain. Chain boutiques kholte hue apne boutique ki location ka dhyaan rakhein. Apne boutique ki chains famous marketplace mein agar aap kholenge toh aapke boutique ki chains mein bahut munaafa hoga.
  • Agar aap online boutique khol rahein hain, toh aap usse expand karne ke liye warehouses khareed sakte hain jahan par aap apne boutique ke kapde store kar saken.
  • Agar aap apne ghar par boutique khol rahe hain toh aap 2-3 saalo mein achhe profits kamaakar ya toh ek dukaan rent par le sakte hain ya ek dukaan khareed sakte hain. Aisa jaruri nahin hai ki aap ek badi dukaan hi khareede ya rent par le, aap ek choti dukaan ke dwaara bhi apne boutique ka kaam shuru kar sakte hain.

Boutique Business se jude kuch Sawaal

Q1. Boutique kholne ke liye latest fashion ki jaankari kaise rakhein?

Ans.Boutique kholne ke liye aap latest fashion ki jaankari anya fashion magazines and advertisements ke dwaara le sakte hain.

Q2. Delhi mein fashion designer ka course kahan se best rahega?

Ans. Delhi mein aise bahut se Institutes hain jaise NIFT, Pearl Academy etc jahan se fashion designing ka course best rahega. In Institutes ke baare mein detail mein jaanane ke liye yahan click kijiye.

Q3. Agar aap 12th pass nahin hain toh kya aap boutique khol sakte hain?

Ans. Boutique kholne ke liye aapko fashion designing ya fir boutique management ka course karna padega jiske liye 10+2 qualification jaruri hai. In courses ke baare mein detail mein jaanane ke liye yahan click kijiye.

Q4. Agar financial problem hai toh boutique kaisi shuru karein?

Ans. Agar financial problem hai to aap ghar se apna boutique shuru kar sakte hain. Zyada jaankari ke liye yahan click kijiye.

Humein umeed hai ki iss boutique business plan se aapko samajh agaya hoga ke kaise aap ek boutique business shuru kar sakte hain. Agar aapke mann mein iske alawa aur bhi koi sawal hai toh comment karke humse jarur pucchein.

I am a student of Shaheed Bhagat Singh College, University of Delhi. I am the head of Operations Department at Encode- The Internship Cell of SBSC and I am also the part of Organising team of TEDxSBSC. I am an enthusiast who is always keen to explore different things in life.

4 COMMENTS

  1. Hi, very informative. I m going to start a boutique very soon. I hope I will go right way and follow your tips. Thanks a lot.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here